Thursday, September 19, 2013

Unhe dekhiye

kabhi to unki aankhon kaa kaajal dekhiye
kabhi to unke zulfon kaa baadal dekhiye

kaisaa suroor hai unke moujudgi kaa
yahaan har koi ho rahaa paagal dekhiye

madhosh hone ke liye aur kyaa chaahiye
unkaa saraktaa huwaa aanchal dekhiye

unki sharm-o-hayaa, adaa ki shokhiyaan
apni aankhon se kar rahi qatal dekhiye

yun to kabhi likhne ko likh hi naa sake
bas naam se hi unke banaa ghazal dekhiye

husn naam hai kiskaa, aur ishq kisse ho
khwaab to dekhe kai, par ab asal dekhiye

No comments:

Post a Comment