Saturday, June 8, 2019

Woh


aankhon mein saare dard chhipaa ke
zamaane ke saamne bas muskuraayegaa

use log kal bhi deewaanaa kehte they
woh aaj bhi deewaanaa hi kehlaayegaa

sazaa bhugat chukaa hai mohabbat ki
ab bas mohabbat hi nahi kar paayegaa

aaj bhi hai use intezaar kisi kaa
woh yunhi intezaar kartaa jaayegaa

Thursday, May 16, 2019

Gum liye baithaa hoon


ishq  naa  karungaa, yeh  kasam liye baithaa hoon
toote  huwe  dil kaa  main ghum liye baithaa hoon

bheegey  se  ehsaas  baras  naa  jaayein  kahin  aaj
aankhon  mein  fir  se shabnam  liye  baithaa hoon

kabhi  bas naam teraa is dil mein mere rehtaa thaa
yaadon  mein ab saare tere sitam liye baithaa hoon

kisine  kaha  hai  likhne  se  dard  halkaa hotaa  hai
tabhi  haathon  mein  aaj  kalam  liye  baithaa hoon

naa koi  maqsad  hai, naa  hi  koi  manzil  hai meri
bewajah  hi shaayad  yeh  janam liye baithaa hoon


Tuesday, April 30, 2019

Sataate They Woh


nazar mil jaaye to nazar churaate they woh
jaane kyun mujhse itnaa sharmaate they woh

main kabhi samajh hi nahi paayaa ki kyun 
meri har kisi baat pe muskuraate they woh

poochhlun unse kyaa baat hai muskuraane ki
mere us baat ko bas hasi mein udaate they woh

paagal banaate they adaaon se saamne reh kar
raat mein khwaabon mein aake sataate they woh


Monday, April 29, 2019


Tum se hi



tum se hi
sab baatein hain
tum se hi
yeh saansein hain

tum baadal ho
tum baarish bhi
tum se hi
har mausam hai

tum nadi bhi ho
tum jharnaa ho
tum se hi
to saagar hai

tum chaahat ho
tum mohabbat ho
tum se hi
har dhadkan hai

is shaayar ki
tum khwaahish ho
tum se hi
har ghazal bhi hai

tum anamika
tum kasak bhi ho
tum se hi
yeh Hriday bhi hai

Saturday, February 2, 2019


kuch yaadein thi saath hamaare,
kahin kisi kone mein padi hongi,
kuch baatein thi khaas tumhaari,
woh tanhaayi mein tadapti hongi...


Mere aansuon ki kahaani


aansuon se apne kuch yun main nikhartaa rahaa
kabhi jeetaa rahaa, to kabhi main martaa rahaa

yeh pataa hi nahi, ki thaa mujhe jaanaa kahaan 
main kabhi chaltaa rahaa, kabhi thahartaa rahaa

taanhaayi kaa aalam, kuch yun rahaa mere yaaron
tanhaa rahi raatein, tanhaa din guzartaa rahaa

keh paayaa nahi dil ki main baat kabhi kisi se
baat dil mein dabaake toot_taa bikhartaa rahaa