Monday, March 24, 2014

Pighalne to do naa

saanson ki garmi mein thodaa aur jalne to do naa
jaadu mohabbat kaa kuch der aur chalne to do naa

yeh baahon ki garmi, haan yeh zulfon ki khushboo
baahon mein aake khudko zaraa pighalne to do naa

kabhi tum sambhaalo, kabhi tumhein hum sambhaalein
kabhi ladkhadaane do, kabhi tum fisalne to do naa

hamaaraa dil to beheltaa hai tumhaare ehsaas se hi
reh ke kareeb dil ko thodaa aur behelne to do naa

yeh geeli si baarish, aur yeh bahaaron kaa mausam
machaltaa hai dil apnaa, thodaa machalne to do naa

chaahat hai is dil ki, bas tumhe paanaa hai jaanaa 
ab is chaahat ko mere dil mein tum palne to do naa

bas abhi to yeh mausam kuch suhaanaa saa huwaa hai
chale jaanaa, tum mausam ko thodaa badalne to do naa

Saturday, March 22, 2014

Lajawaab tu hai

dil ke har ek sawaal kaa, sirf ek jawaab tu hai
haqeeqat hai, yaa fir khoobsoorat khwaab tu hai

aankhon mein nashaa tere, jism mein khushboo hai
hothon se lagaaloon jise aisi koi sharaab tu hai

nazar kisi gair ki tujh par kabhi pad naa jaaye
kitaab ke panno mein chhipaa koi ghulaab tu hai

cheez bhalaa kyaa hai tu, kyaa teri taarif ho ab
tujh ko main chaand keh dun, yaa aaftaab tu hai

ragon mein khoon bankar, jism mein hai jaan bankar
dil mein mere rehti hai tu, ehsaas lajawaab tu hai