Tuesday, October 28, 2014

Chale jaaiyegaa


dil hamaaraa thodaa bahal jaaye to chale jaaiyegaa
aji haseen raat yeh nikal jaaye to chale jaaiyegaa

abhi to aaye hain, yeh jaane ki baat fir abhi kyun
zaraa mausam to yeh badal jaaye to chale jaaiyegaa

pyaase labon par hamaare, geeley labon ko rakhiye
aaj saans hi hamaare ubal jaaye to chale jaaiyegaa

mere baahon mein aayiye, aur kaske main pakad loon
jism yeh zaraa saa pighal jaaye to chale jaaiyegaa

humne abhi abhi jalaayaa hai chiraag mohabbat kaa
dhang se chiraag yeh jal jaaye to chale jaaiyegaa

aap sun to rahi hain naa mere dhadkanon ke shor ko
aaj ban koi haseen ghazal jaaye to chale jaaiyegaa

jaanaa hi hai aapko, yeh jaante hain hum bhi, magar
zaraa 'Hriday' yeh sambhal jaaye to chale jaaiyegaa

Sunday, October 26, 2014

Woh musaafir thaa



aasaan nahi milan fir se, ek baar bichhad jaane ke baad
musaafir waapas nahi aataa, ek baar guzar jaane ke baad


woh musaafir thaa, use kuch pal hi saath nibhaanaa thaa
raat ke khatam hote hi use bahut duur chale jaanaa thaa

aayaa thaa kuch pal, woh thakaan duur karne apni yahaan
kab kahaa thaa usne, ki yeh uskaa aakhri thikaanaa thaa

waaqif thaa taaqat se samundar ki lehron ke main, lekin
meri naasamjhi mujhe ret se hi apnaa ghar banaanaa thaa

usne to kahaa bhi nahi kabhi, 'Mujhe tumse mohabbat hai'
magar kyun main samajh baithaa, kyaa main deewaanaa thaa

jab bhi kabhi likhi jaayegi kahaani meri, log kahenge ki
mohabbat mein shamaa ke jalne waalaa, woh parwaanaa thaa

kismat ne mere hi, thaa mazaakh achchaa mere saath kiyaa
use dil tod jaanaa thaa, dekh kar mujhe muskuraanaa thaa

Thursday, October 23, 2014

Pyaar ke raahi


hum pyaar ke raahi hain, hum pyaar ki karte hain
hai pyaar humein itnaa, jeete hain naa marte hain

hain zulfon ke ghere mein, zulfon mein hi rehte hain
zulfon ke andhere mein, hum sajte hain, sanwarte hain

hai honthon kaa jo pyaalaa, honthon se hi peete hain
fir doob nashe mein hum, kuch paagalpan karte hain

aankhon kaa samundar hai, hain jaante, samajhte hain
aankhon ke samundar mein, hum har roz utarte hain

chingaari koi bhadke, chaahe sholon par chalnaa ho
hum pyaar ke raahi hain, nahi kisi baat se darte hain

Saturday, October 18, 2014

aansuon ke liye bhalaa zakhm ki kyaa zaroorat hai
mohabbat ho jaaye kisi se, bas itnaa hi kaafi hai

Kaisi mohabbat



naa sochiye ki mohabbat mein har kisi ko phoolon kaa baag milaa
humne ki mohabbat, humein to bas dard aur zakhmon kaa daag milaa

chale they yeh soch kar ki ho jaayegi roshan zindagi hamaari bhi
hamaari kismat thi aisi ki humein bujhaa huwaa har chiraag milaa

Monday, October 13, 2014

Mujhe tanhaai naa do



wafaa ki raahon par chalke, ab tum mujhe bewafaai naa do
baandhke rakho mujhe zulfon mein, ab mujhe rihaai naa do

jaanti ho tum bhi ki tum bin koi nahi meraa apnaa yahaan
bahut tanhaa hoon pehle se, tum mujhe aur tanhaai naa do

tumhaare rehne se, tumhaari aadat si pad chuki hai mujhe
dur jaake mujhse, mere hisse bas meri hi parchaai naa do

kahaa thaa maine bahut pehle tumse, mohabbat aasaan nahi
kyaa hain mushkil tumhaari, iski mujhe koi safaai naa do

jaanaa hai jaao lekin, is bimaar pe itnaa ehsaan karjaao
zeher gar mil jaaye to de do, ab mujhe koi dawaai naa do

'Hriday' kamzor nahi hai, aur naa hai usmein taaqat itni
zakhm chaahe de do hazaar, magar us ko tum judaai naa do

Saturday, October 11, 2014

Waqt ko thahar jaane do

raat baaki hai abhi, husn ko thoda aur qahar dhaane do naa
nashaa tumhaare jism kaa, mere jism mein utar jaane do naa

dekho to zaraa kaise rangeen hone lagi ho meri baahon mein
aajaao kareeb aur ki khudko thodaa aur nikhar jaane do naa

raseeley honth tumhaare aur us par paseene ki boond hai jo
chhooloon hothon se, in hothon ko unhein bhar jaane do naa

mere baajuon mein hai zamaane bhar kaa yakeenan pyaar saaraa
khud ko aaj in baahon mein, tum toot kar bikhar jaane do naa

haan baaki hai raat abhi, yeh raat kabhi bhi khatm hi naa ho
haseen yeh waqt hai, is ko tum aaj yahin thahar jaane do naa

'Hriday' ko ishq hai, ishq mein woh ban jaataa hai deewaanaa
tum uske ishq mein khud ko haddon ke paar guzar jaane do naa

adaa ki shokhiyaan, yun do aankhon se tumhaaraa qatl karnaa
jeene ki chaah kise hai, humko to ab yahin mar jaane do naa

Friday, October 10, 2014

thodi hamaari yaa shaayad thodi uski thi
kyaa bataayein hum ki woh galti kiski thi
fursat hi naa mili choton se ki mohabbat kar sakein
zindagi har mod par koi nayaa zakhm de gayi humein

Thursday, October 9, 2014

zindagi rahi kisi madaari ke bandar ki tarhaa
golaa banaa rahaa, naa andar reh sake, naa baahar jaa sake...
Choton ki aadat


kashtiyaan saahil ke kareeb aakar doob jaayaa karti hain
khwaahishein dil ki aksar tootke bikhar jaayaa karti hain

hasratein hazaaron jagti hain, dil mein hamaare har roz
har raat woh sangh hamaare, fir se so jaayaa karti hain

samundar ki ret par, roz ek nayaa ghar banaate hain hum
lehrein aakar us ghar ko, bahaa kar le jaayaa karti hain

kitnaa hi sambhal lein hum, aur koshishein kar lein hazaar
puraani yaadein hain, roz zakhm nayaa de jaayaa karti hain

fursat hi kahaan choton se ki mohabbat kisi se kar sakein
choton ki yun aadat bani ki humko hi aazmaayaa karti hain

in haathon ki lakeeron ko bhi, aataa hogaa taras hum par
ab dekh kar hamaaraa haal woh, bas muskuraayaa karti hain

Wednesday, October 8, 2014

Ghum kyaa hai



dete hain zakhm khud, aur poochhte hain ghum kyaa hai
zakhm to zakhm hai, ismein zyaadaa kyaa, kam kyaa hai

humein apno ne diyaa zakhm, hum gairon se kyaa kahein
humein aadat hai sehne ki, to fir unkaa sitam kyaa hai

kisi gair kaa thaam ke haath, unhein aayi nahi sharam
jo humne kiyaa fareb, to kahiye ismein sharam kyaa hai

kisi hawaa kaa jhaunkaa thaa, jo le ke gayaa sab kuch
kuch thaa hi nahi apnaa, to fir khone kaa ghum kyaa hai

humein muskuraate hi rehnaa hai, aisi kasam de ke gaye
khud tod gaye har kasam, to kahiye yeh kasam kyaa hai

humne ki hai mohabbat jo, shaayad koi paap huwaa humse
paap hai mohabbat to, koi bataa de paak karam kyaa hai

Monday, October 6, 2014

Hum muskuraane lage hain


jo aayaa tumhaaraa khayaal dil mein to hum gungunaane lage hain
aaj firse kho kar tumhaari yaadon mein hum muskuraane lage hain

chhoot hi chuki thi aadat hamaari raat bhar jaagne ki yun lekin
kuch to baat hai aaj ki hum firse in aakhon ko jagaane lage hain

aake dekho naa kaise khilne lagaa hai meraa jism, meraa har ang
dekhkar apni yeh haalat hum khud hi khud se sharmaane lage hain

bheegne lage hain bheege se un ehsaason ke samundar mein aaj fir
humne pee nahi hai sharaab, magar fir bhi ladkhadaane lage hain

lekar gulaab haathon mein, tumhaari tasveer ke saamne khade hain
aaj bujhe huwe chiraag fir tumhaare naam se hum jalaane lage hain
Nashaa teri mohabbat kaa




kyaa hai haal meraa kyaa tujhe bataaun main
samjhun khud aur kyaa dil ko samjhaaun main

ehsaas abhi baaki hai tere bheege labon kaa
us ehsaas mein baar baar bheegtaa jaaun main

utraa hi nahi kabhi nashaa teri aankhon kaa
laakh koshish karke bhi fisaltaa jaaun main

baat kartaa rehtaa hoon tasveer se raatbhar
neendbhari aankhon ko raatbhar jagaaun main

dekhun apni ungliyaan jinhe chhuwaa thaa tune
dekh kar unhe jaane kyun bas sharmaaun main

jo thaamle aake tu haath meraa khwaabon mein
yakeen hai girte girte bhi sambhal jaaun main

paagal saa dil meraa paagal hai bas tere liye
teri yaadon mein khoke tanhaa muskuraaun main

ultaa sidhaa likhne ki aadat hai 'Hriday' ko
tu aajaaye kareeb to shaayad kavi ban jaaun main

Sunday, October 5, 2014

Adhoori mohabbat



dil ki baaton kaa un se kar zikar lete
unke hisse kaa thodaa baant fikar lete

ek baar koshish to karke dekh lete woh
seekh unse hum mohabbat kaa hunar lete

der huwi thodi si unko muskuraane mein
warnaa hum to saare zamaane se lad lete

woh keh kar dekh lete humse bas ek baar
chaand par banaa unke liye ek ghar lete

maanaa dekhaa nahi humne pichhe mud kar
woh bulaate to hum kuch pal thahar lete

chhodaa thaa haath unkaa humi ne lekin
woh haath unhi kaa firse hum pakad lete

aajaataa likhne kaa hunar 'Hriday' ko to
do chaar panne hum bhi likhkar bhar lete

hoti khudaa ki meher hum par thodi si bhi
shaayad hum bhi kisi se mohabbat kar lete
Ehsaas




kyaa huwaa agar duur ho tum mujhse
tumhaare sangh beete huwe har us lamhe kaa
ehsaas ab bhi baaki hai in dhadkano mein
mehsoos kar letaa hoon main tumhe
bas kuch pal aankhon ko band karke....

ab bhi mere haathon mein
tumhaare aanchal kaa
woh makhmal saa ehsaas baaki hai
kabhi main apne haathon ko
apne hi haathon se chhoo letaa hoon
aur fir yunhi akele muskuraa detaa hoon...

haaye, woh aankhen hi to hain tumhaari
jaan le leti hain meri har baar
dar lagtaa hai tumhaari aankhon ko der tak dekhne se
itnaa nashaa hai un aankhon mein
ki dar lagtaa hai saansein naa ruk jaayein...

tumhaare honthon kaa woh mulaayam saa ehsaas
jab bhi yaad aataa hai jhoom jaataa hoon
apne paagalpan mein apne hi hothon ko
chhoo kar apni ungliyon se
main tumhe mehsoos kar letaa hoon...

jab bhi kabhi yaad tumhaari
hadd se bhi zyaadaa badh jaati hai
takiye ko seene se lagaake
tumhe mehsoos kar letaa hoon
band karke aankhein apni
main soch leta hoon, tum hi ho....

ab bhi judaa huwaa hoon main
tum sangh beetaaye har us lamhe se
aksar log deewaanaa keh dete hain mujhe
meri harkatein dekh kar deewaano si
achchaa lagtaa hai koi jab
is naam se bulaataa hai mujhe
aur sunkar unki baatein main
bas.... muskuraa detaa hoon.....

hum se churaake woh, bheegi si nazar dekh lete hain
chhipaate hain hum bahaut, woh magar dekh lete hain
aye dil tu hi bataade tujh ko itnaa ghum kyun hai
lamhaa khushi kaa zindagi mein itnaa kum kyun hai

Woh kal yaad aayaa



dekh tumhaari tasveer aaj fir woh beetaa huwaa kal yaad aayaa
yaad aayi tumhaari do aankhein, haseen saa woh pal yaad aayaa

yaadon mein aa gayi tumhaare narm gulaabi hothon ki woh laali
aur tumhaari aankhon kaa woh bikhraa huwaa kaajal yaad aayaa

yaad hogaa tumhe bhi kaise bheege they hum pehli barsaat mein
aaj fir mujhe woh pehli baarish, woh pehlaa baadal yaad aayaa

shor itnaa huwaa dhadkanon kaa, jab baahon mein tum aaye mere
aaj fir kaandhe se saraktaa huwaa tumhaaraa aanchal yaad aayaa

'Hriday' aaj bhi chaahtaa hai bheegnaa tumhe baahon mein lekar
jab bhi huwi baarish yahaan, mujhe guzraa huwaa kal yaad aayaa

Thursday, October 2, 2014

Mohabbat




jidhar rahen aap, yeh nazar udhar rahe
kijiye kuch aisaa ki der tak asar rahe

bheege labon se apne kuch kijiye aisaa
nashaa chadhe itnaa, ki raat bhar rahe

hon kareeb itne, saanson mein saans ho
haathon mein hamaare, aapki kamar rahe

aji doob jaayein hum aankhon mein aapke
do aankhon mein hi aapke samundar rahe

kijiye kuch aisaa ki aap hi ho har jagah
aapki khushboo se mehektaa yeh ghar rahe

hain maangte duwaa mein hum bas itnaa hi
aapki to umra bhar, solaah hi umar rahe

dekh kar ke aapko to, gaye hum bhool sab
aap hi kahiye ki ab 'Hriday' kidhar rahe

Wednesday, October 1, 2014

Paththar ke hum ho gaye

hawaaon kaa isharaa jis taraf bhi rahaa, udhar ke hum ho gaye
humein mil gayaa saathi jahaan koi, us shahar ke hum ho gaye

hamaaraa haath thaamaa jo kisine, jab kabhi hum ladkhadaayein
hum maan kar tab, humsafar usko, uske hi safar ke hum ho gaye

apni manzil, apnaa saahil, kabhi aisaa kuch thaa kahaan apnaa
humein chhuu liyaa lehron ne kabhi, to samundar ke hum ho gaye

sochte hain tanhaayi mein aksar bhalaa hum is tarhaa kaise huwe
poochh lete hain log humi se, ki kaise paththar ke hum ho gaye

Mausam guzar gayaa


ek karz hi thaa seene par mere, aaj woh utar gayaa
kharaab to mausam thaa jo ab yahaan se guzar gayaa

yun todaa kisine ki tinkaa bhi tut_ke bikhar gayaa
aakhri pattaa bhi peepal kaa aaj ped se jhar gayaa

ab taaqat hai nahi mujhme firse main sambhal sakun
aisaa toofaan thaa, mujhe mujhi se judaa kar gayaa

galti meri thi jo har waade par uske aetbaar kiyaa
mujhe afsos nahi woh har waade se apne mukar gayaa

'Hriday' kaun thaa, koi aashiq thaa yaa pujaari thaa
woh deewaanaa thaa jo mohabbat mein ek din mar gayaa