Thursday, October 9, 2014

Choton ki aadat


kashtiyaan saahil ke kareeb aakar doob jaayaa karti hain
khwaahishein dil ki aksar tootke bikhar jaayaa karti hain

hasratein hazaaron jagti hain, dil mein hamaare har roz
har raat woh sangh hamaare, fir se so jaayaa karti hain

samundar ki ret par, roz ek nayaa ghar banaate hain hum
lehrein aakar us ghar ko, bahaa kar le jaayaa karti hain

kitnaa hi sambhal lein hum, aur koshishein kar lein hazaar
puraani yaadein hain, roz zakhm nayaa de jaayaa karti hain

fursat hi kahaan choton se ki mohabbat kisi se kar sakein
choton ki yun aadat bani ki humko hi aazmaayaa karti hain

in haathon ki lakeeron ko bhi, aataa hogaa taras hum par
ab dekh kar hamaaraa haal woh, bas muskuraayaa karti hain

No comments:

Post a Comment