Ehsaas
kyaa huwaa agar duur ho tum mujhse
tumhaare sangh beete huwe har us lamhe kaa
ehsaas ab bhi baaki hai in dhadkano mein
mehsoos kar letaa hoon main tumhe
bas kuch pal aankhon ko band karke....
ab bhi mere haathon mein
tumhaare aanchal kaa
woh makhmal saa ehsaas baaki hai
kabhi main apne haathon ko
apne hi haathon se chhoo letaa hoon
aur fir yunhi akele muskuraa detaa hoon...
haaye, woh aankhen hi to hain tumhaari
jaan le leti hain meri har baar
dar lagtaa hai tumhaari aankhon ko der tak dekhne se
itnaa nashaa hai un aankhon mein
ki dar lagtaa hai saansein naa ruk jaayein...
tumhaare honthon kaa woh mulaayam saa ehsaas
jab bhi yaad aataa hai jhoom jaataa hoon
apne paagalpan mein apne hi hothon ko
chhoo kar apni ungliyon se
main tumhe mehsoos kar letaa hoon...
jab bhi kabhi yaad tumhaari
hadd se bhi zyaadaa badh jaati hai
takiye ko seene se lagaake
tumhe mehsoos kar letaa hoon
band karke aankhein apni
main soch leta hoon, tum hi ho....
ab bhi judaa huwaa hoon main
tum sangh beetaaye har us lamhe se
aksar log deewaanaa keh dete hain mujhe
meri harkatein dekh kar deewaano si
achchaa lagtaa hai koi jab
is naam se bulaataa hai mujhe
aur sunkar unki baatein main
bas.... muskuraa detaa hoon.....
No comments:
Post a Comment