Sunday, April 30, 2017

Kyaa yahi mohabbat hai

kabhi aankhein milaanaa teraa
kabhi aankhein churaanaa teraa

kabhi kisi ko yaad kar ke
chupke se muskuraanaa teraa

apne hi khayaalon mein kho ke
akele mein sharmaanaa teraa

sab kuch jaan ke samajh ke bhi
naasamajh saa ban jaanaa teraa

kyaa isi ko kehte mohabbat hain
aaj tu hi humein bataanaa zaraa 





Saturday, April 29, 2017

Tujhpe koi kitaab likh dun




tere har sawaal kaa main jawaab likh dun
tere naam main apne saare khwaab likh dun

puraane gulaabon mein jaan kahaan hai ab
naam tere main nayaa har gulaab likh dun

firse kuch taarif likhun teri geeton mein apne
aankhon ko samundar, labon ko sharaab likh dun

tujhse hi din ho meri, tujhse hi raatein ho
tujhe hi chaand aur tujhe hi aaftaab likh dun

bas ek teraa saath umar bhar rahe to
tujh par hi mohabbat ki har kitaab likh dun



Monday, April 24, 2017

Main kidhar jaaungaa



naa roko is tarhaa se mujhe
ki main kuch kar jaaungaa
baahon mein bharke tumhe
aaj hadd se guzar jaaungaa

geeley labon par tumhaare
lab apne main saajaa lungaa
aaj kho kar tum mein hi main
raat bhar thahar jaaungaa

nashaa aankhon mein tumhaare
aankhon mein doob jaaungaa
aankhon ke raste se main fir
tumhaare dil mein utar jaungaa

saanson ki garmi ko tumhaare
main saanson mein bhar lungaa
nikalkar zulfon ke ghere se
bhalaa main kidhar jaaungaa

tumse hi to dil hai meraa
tumse hi har dhadkan hai
judaa tumse honaa pade agar
jaanaa main to mar jaaungaa...