Thursday, June 27, 2013

Tumhaaraa ho jaane do

bheege labon se mere labon ko bheego jaane do
aaj to hum dono ke darmiyaan kuch ho jaane do

keh do kuch aaj mujhe apni madbhari aankhon se
mujhe tumhaari gehri aankhon mein kho jaane do

taras rahaa hoon main do boond mohabbat ke liye
sar rakh ke tumhaari god mein mujhe so jaane do

kholdo zulfen apni mere chehre pe kuch is tarha
kho jaaun main aur tum khud ko bhi kho jaane do

geeli baarishein bhi ab mazaa nahi deti mujhe
ek baar ke liye hi sahi kuch khaas ho jaane do

todke bandishein saari aake ban jaao tum mere
tanhaa hoon main, mujhe tumhaaraa ho jaane do

Wednesday, June 26, 2013

Kyaa karenge

jo darte hain unchaai se woh wahaan jaa ke kyaa karenge
dil to paagal dil hai, hum usko samjhaa ke kyaa karenge
rishte tut_te hain jud_te hain kai kai baar jahaan mein
magar jinko jod naa sake kabhi, pachhtaa ke kyaa karenge

Rehne do

mere hothon pe tumhaare hothon kaa gulaab rehne do
mere saamne tumhaare aankhon kaa sharaab rehne do 

badh jaane do bekaraari chaahat ki hadd se zyaadaa
naa sambhaalo tum, ab meri haalat kharaab rehne do
Kyaa tum mujhe aazmaate ho

kabhi khwaab sajaate ho, kabhi haqeeqat ban jaate ho
kabhi duur baithe baithe mujhe dekh ke muskuraate ho

kyaa yeh mohabbat hai yaa hai koi sharaarat tumhaari
kabhi nazar milaate ho, kabhi mujh se hi churaate ho

tasveer tumhaari dekhun to usmein hi kho jaataa hoon
paagal main hoon nahi, magar tum hi mujhe banaate ho

suraj ki kirno mein to kabhi baarish ki boondon mein
tum nazar aate ho, mujhe tum chhoo ke chale jaate ho

kabhi ladkhadaataa hoon to kabhi main sambhaltaa hoon
besudh ho jaataa hoon main, jab tum saamne aajaate ho

baahen failaa ke jab main aawaaz tumhe lagaataa hoon
banke tum koi paagal hawaa mere seene se lag jaate ho

yeh aadat achchi nahi tumhaari humein yun sataane ki
tum khud hi pyaas badhaate ho fir khud hi bujhaate ho

dil se khel jaate ho jaanaa dil mein samaake tum mere
yeh khel hai tumhaaraa koi yaa fir humein aazmaate ho

Friday, June 14, 2013

Naa bhulungaa tumhe

main aaungaa meraa intezaar karnaa
hai vaadaa tumse, tum aetbaar karnaa

chaahe bhulaa de yeh duniyaa tumhe par
naa bhulunga kabhi main tumhe pyaar karnaa

Tumhe laajawaab kehne do

naa sambhaalo mujhe ab, meri haalat kharaab rehne do
naa roko mujhe ki mere haathon mein sharaab rehne do

dhadkane bhi tez hain, seene mein kuch toofaan saa hai
naa hone do raat ki abhi kuch pal aur aaftaab rehne do

dil mein hai kuch baat magar main kahun to kahun kaise 
mere har sawaal kaa tum khud ko ban ke jawaab rehne do 

nashaa mohabbat kaa asar kar rahaa hai ab dheere dheere
jaadoo iskaa ab to mere dhadkano mein behisaab rehne do

band aankhon mein ek chehraa tumhaaraa nazar aataa hai
naa chhedo ki khud ko ban ke khoobsurat khwaab rehne do

sochaa hai ek geet likhun tumhaari taarif mein main aaj
aankhon ko saagar aur hothon ko khiltaa gulaab kehne do

kyaa karun taarif tumhaari, alfaaz kahaan se laaun main
husn ki malikaa ho tum, tumhe to bas laajawaab kehne do

Sunday, June 9, 2013

Main apnaa ghar dhundtaa hoon

main apne hi galiyon mein apnaa shahar dhundtaa hoon
chhaaon  mile  thodi  jahaan aisi dopahar dhundtaa hoon

bhatkaa  saa  main  raahi hoon,  manzil  kaa pataa nahee
ab  main  apne  hi jeewan  kaa  sahi safar dhundtaa hoon

niklaa thaa talaash mein, dhundoo main humsafar apnaa
jo  dekhe  sirf mujhe hi, aisi  main  nazar dhundtaa hoon

gha r to  hai bas  naam  kaa, hai  sirf  deewaarein jahaan
deewaaron se zyaadaa ho aisaa koi ghar  dhundtaa hoon

jab  tak  woh  saath  the  tab  har  baat hi kuch khaas thi
aaj zindagi  hi  hai nahi main  ab  zidhar  dhundtaa hoon

mumkin nahi hai muskuraanaaa, aansuon kaa saath hai
kabhi  jeene  ki  chaah thi, ab  bas zeher dhundtaa hoon

khoyaa kuch khaas hai, magar kyaa khoyaa maloom nahi
kabhi  idhar  dhundtaa  hoon, kabhi  udhar dhundtaa hoon