Friday, June 14, 2013

Tumhe laajawaab kehne do

naa sambhaalo mujhe ab, meri haalat kharaab rehne do
naa roko mujhe ki mere haathon mein sharaab rehne do

dhadkane bhi tez hain, seene mein kuch toofaan saa hai
naa hone do raat ki abhi kuch pal aur aaftaab rehne do

dil mein hai kuch baat magar main kahun to kahun kaise 
mere har sawaal kaa tum khud ko ban ke jawaab rehne do 

nashaa mohabbat kaa asar kar rahaa hai ab dheere dheere
jaadoo iskaa ab to mere dhadkano mein behisaab rehne do

band aankhon mein ek chehraa tumhaaraa nazar aataa hai
naa chhedo ki khud ko ban ke khoobsurat khwaab rehne do

sochaa hai ek geet likhun tumhaari taarif mein main aaj
aankhon ko saagar aur hothon ko khiltaa gulaab kehne do

kyaa karun taarif tumhaari, alfaaz kahaan se laaun main
husn ki malikaa ho tum, tumhe to bas laajawaab kehne do

No comments:

Post a Comment