Monday, April 30, 2012

Kyun ho

hamaari wafaa ko tum bewafaai bataate kyun ho,
pyaar karte ho humee se par chhipaate kyun ho,
hum to tumhaare liye sholon pe bhi chal jaayen,
tum baar baar hamaari wafaa ko aazmaate kyun ho....
Achcha lagaa

har baar ki tarha tumhaara yahaan aana achcha lagaa,
aake hamaare seene se lag jaana humein achcha lagaa,
aajaati ho to kuch pal baatein kar lete hain tumse,
tumhaaraa aake mere paas baith jaanaa achcha lagaa,

thaamke tumhaare haath kho jaate hain tumhaari aankhon me,
tumhaare aankhon ke samundar me doob jaanaa achcha lagaa,
sharmaake, aankhen jhukaa ke tumne humse apna haath chhuraaya,
tumhaaraa is tarha se apna haath chhuraanaa humein achcha lagaa,

chhuraake apne haath humse jab dekha usko tumne bahut gaur se,
apne haathon ko dekhte huye tumhaara muskuraana achcha lagaa,
ye kaisi kashish hai, ye kaisa ehsaas hai jaan nahi paate hain,
par har baar tumse is tarha se milna humein bahut achcha lagaa,

laal ek gulaab diya humne tumhe pyaar ki nishaani bataake,
us gulaab to tumhaaraa apne seene se lagaanaa achcha lagaa,
badi pyaar bhari nazron se dekha tumne us gulaab ko us pal,
fir us gulaab ko dekhte huye tumhe dekhna achcha lagaa,

kuch pal hamaare saath reh ke tumhe laut jaana tha har baar,
jaate huye tumhaaraa mud mud ke humein dekhna achcha lagaa,
saalon ke baad mila tumse aaj magar bas kuch lamho ke liye,
us intezaar ke baad timse milna humein bahut achcha lagaa....
Mazaa maloom na tha

tujhe chaahne se pehle chaahat ka mazaa maloom na tha,
tujhse milne se pehle milan ka mazaa maloom na tha,
jee rahe the hum ab tak bina aazmaake mohabbat ko,
jeete the hum magar zindagi ka mazaa maloom na tha....
Mann karta hai

barasti boondon me bheeg jaane ka mann karta hai,
hawaaon ke sangh sangh udd jaane ka mann karta hai,
shauk na tha humein sangeet ka magar jaane kyun,
aajkal humein hal pal gungaane ka mann karta hai,

deewaaron se aajkal baatein karta rehta hoon main,
tanha akele hi aajkal muskuraata rehta hoon main,
log poochhte hai ki aajkal tanha kyun rehta hoon,
to kehta hoon unhe ki tanha rehne ka mann karta hai...
Maaloom na tha

kyun likhte hain log apne dil ka haal,
judaai se pehle humein maloom na tha,
dard kitna hota hai dil ke tootne ka,
tootne se pehle humein maloom na tha,

duur hi rehte the hum mohabbat se magar,
huwa jab humein pehli baar to achcha laga,
sukoon milta hai sanam ko baahon me bharke,
baahon me lene se pehle humein maloom na tha,

subah se shaam tak, aur shaam se leke subah,
uusi ki aankhon me doob ke rehna achcha laga,
pyaas bujhti hai uski aankhon se is dil ki,
unme doobne se pehle humein maloom na tha,

par wo saath hamaaraa bas kuch pal ka tha,
kuch palon ke liye usko paa lena achcha laga,
dard-e-judaai kya cheez hoti hai bhalaa,
judaa hone se pehle humein maloom na tha,

hum bhi likhte hain apne tute dil ke kisse,
likhte huye dard ka kam hona achcha laga,
kitna sukoon milta hai likh lene se dilko,
ye likhne se pehle humein maloom na tha....

Friday, April 27, 2012

Naadaan hoon main

naadaan hoon samajh na paaunga
hawaa ka jhaunka jis od hoga
main usi od chalaa jaaunga

na samajh lena ki main tumhe samajhta hoon
na kabhi main tumhe samajh paaunga
tum kaun ho, kyun paas rehti ho mere
chaah ke bhi kabhi na jaan paaunga

saaya ko apne dekh ke sochta hoon main
ye saath saath mere chalta kyun hai
kisi haseen chehre ko dekh lun to
mera ye mann machalta kyun hai
naadaan hoon main kuch na samajh paaunga
hawaa ka jhaunka jise taraf le jaayega
main bhi usi taraf chalta chala jaaunga

dekh ke kabhi kisi dariya ko main
thodi der wahaan ruk jaaunga
pee ke thoda paani pyaas bujhaake main
fir se apne safar pe aage badh jaaunga
hawaa ka jhaunka jise taraf le jaayega
main bhi usi taraf chalta chala jaaunga

main kisi anjaan path ka raahi hoon
main to yunhi chalta reh jaaunga
naadaan hoon samajh na paaunga
hawaa ka jhaunka jis od hoga
main usi od chalaa jaaunga.....

Jaana hai tumse duur mujhe

jaanaa hai tumse duur par
jaisa tum mujhe jaanti ho
jaisa tum mujhe samajhti ho
kya koi aur jaan paayega
kya koi aur mujhe samajh paayega

yun to bhoolna mushkil hoga tumhe
par tumhe main bhulaa dunga
par kya tumhaari yaadon se
duur jana mumkin ho paayega

tum hi kaho kaun hai mera
tum hi dost ho, tum hi sab kuch
kya tumse judaa hoke jee paana
mere liye mumkin ho paayega

bas kuch sawaal hain dil me
jaana tha tumhe humse duur
to aaye hi kyun the itne paas
ab tumhaari nazdikiyon ko bhulaana
kya inti asaani se ho paayega
is dil ko ab tumhaari aadaat si hai
is aadat ko chhod paana ab
kya mumkin ho paayega

chale jaaoge tum mujhse duur
ehsaas hai mujhe is baat ka
par sach ye bhi hai ki
tumhaare chale jaane ke baad
zinda to rahunga main par
jeenaa aasaan na ho paayega
reh jaayegi kuch yaadein dil me
aur kankaalon ka dher reh jaayega....

Thursday, April 26, 2012

Dhyaan se dekha nahi shaayad

bahauton se dil ko lagaaya usne, bahauton ne toda uska dil,
ab lagaane ko apna dil kisi se firse darti hai wo shayad,
kehti hai ki kuch nahi mere paas main ashiyaan banaaun kaise,
kisi chidiyaa ke ghosle ko usne dhyaan se dekha nahi shaayad,

lehren samundar ki takraake kinaaron se tut ke bikhar jaati hai,
kabhi un tut_ti lehron ko usne dhyaan se dekha nahi shayad,
tute huye dil ko leke apne aansoo bahaati rehti hai harpal,
kabhi kisi sahaare ki taraf usne dhyaan se dekha nahi shaayad,

saath mere wo rehti hai harpal, sunaati hai apne ghum ke kisse,
kabhi usne meri geelee aankhon ko dhyaan se dekha nahi shaayad,
kai baar socha ki use sab kehdu, par har baar chalte chalte ruka,
kabhi mere dil ka ye haal usne dhyaan se dekha nahi shaayad,

kehti hai main tanha hoon, akeli hoon main is sansaar mein, kabhi
saath chal rahi apni parchhaayi ko dhyaan se dekha nahi shaayad,
gaati hai mere geeton ko, jhoomti hai wo mere ghazal pe, par
un geeton me likhe apne naam ko usne dhyaan se dekha nahi shaayad,

dhundti rahi mohabbat hameshaa gairon ke dil me magar,
kabhi kareeb waalon ko usne dhyaan se dekha nahi shaayad,
har baar kehti rahi ki kaash koi mujhse pyaar kar leta,
kabhi meri aankhon ko usne dhyaan se dekha nahi shaayad....
Mera saajan nahi aayaa

patjhhad ke chale jaane ke baad saawan har baar aayaa,
ek mera saawan tha jo jaake kabhi laut kar nahi aayaa,

har phool khila, fir murjhaaya, murjhaake fir se khila,
ek mera hi aangan tha jahaan laut ke bahaar nahi aayaa,

kai tyohaar aaye, sangh uunke khushiyon ka rang aayaa,
ek mera jeewan tha jisme kabhi koi rang hi nahi aayaa,

garajte baadalon ke baad har baar yahaan barsaat aayaa,
ek meri hi hatheli thi jahaan ek boond paani nahi aayaa,

rooth jaate hain log fir manaane se maan bhi jaate hain,
par mera saajan aisa rootha ki kabhi laut ke nahi aayaa,

aaye sab log mere ghar poochhne mere ghum ki kahaani,
ek mera mehboob hi tha jo laut ke mere ghar nahi aayaa....
Maine mohabbat ka naam liya

poochha mere yaaron ne jab mere ghum ka kaaran,
maine muskuraake tab mohabbat ka hi naam liya,
raaz mere behte aansuon ka jab poochha unhone,
bas tute huye apne dil ka tab  maine naam liya...
Mera saajan laut ke nahi aayaa

ye sach hai ki har patjhhad ke baad fir saawan jarur aata hai,
mere jeewan se saawan aisa gaya ki kabhi laut ke hi nahi aayaa,

har phool khila, fir murjhaaya, murjhaake fir se khila,
ek mera hi aangan tha jahaan laut ke bahaar nahi aayaa,

raat ke baad subah aati hai aur roshan fir se ye samaa hota hai,
mere jeewan ka suraj mujhse aisa rootha ki kabhi laut ke nahi aaya,

kaale ghane baadalon ko dekh ke bheeg jaane ka mann hota hai,
aayaa baadal ke saath barsaat bas mera saajan laut ke nahi aayaa....

Tuesday, April 24, 2012

Mera saath chhod jaaoge tum

meri ankhon me doobke kahaa tha ki umra bhar saath nibhaaoge tum,
yeh kise pata tha ki ek roz is tarha mera saath chhod jaaoge tum,

tod ke saare rishtey saare naate maine tumse rishta yeh joda tha,
yeh kise pata tha ki ek roz is tarha mujhse rishta tod jaaoge tum,

waada kiya tha tumne humse kabhi saath jeene ka, saath marne ka,
na socha tha khwaab me bhi ki is tarha tadapta chhod jaaoge tum,

tumse hi meri saansen thi, meri dhadkano me bas tumhaara naam tha,
na ehsaas tha is baat ka mujhe ki is tarha mera dil tod jaaoge tum...
Kya zaroorat hai

tum murat ho mohabbat ki, tumhe sanwarne ki kya zaroorat hai,
roshan tumse hai ye jahaan, tumhe roshni ki kya zaroorat hai,

tumhaare honth hain gulaab, tumhe phool ki kya zaroorat hai,
tumhaare aankh hain sharaab, tumhe jaam ki kya zaroorat hai....
Humein jalan hoti hai

wo haste hain kisi ke saath to jalan hoti hai,
wo chalte hain kisi ke saath to jalan hoti hai,

ghum nahi is baat ka ko wo mere kareeb nahi hain,
ho jaayen wo kisi aur ke kareeb to jalan hoti hai,

humein pyaar nahi apna dost samajh ke milte hain,
wo kisi aur ko apna pyaar kahen to jalan hoti hai....
Aashiqon ki jaan 

baarish ki boond tujhe chhoone ke liye barasti hogi,
chaand ki chaandni bhi tujhe dekh dekh tarasti hogi,

suraj ki pehli kiran jab dharti pe subah padti hogi,
wo tere labo ke deedaar ke liye jaroor tadapti hogi,

teri hasee ki taarif main karun to bata kaise karun,
bijliyaan chamakti hongi jab bhi kabhi tu hasti hogi,

jaane teri chaahat me kitni hi laashein nikalti hongi,
jab bhi kabhi tu aashiqon ki galiyon se guzarti hogi,

kaash mere kabar pe aake wo ek laal gulaab chadha deti,
aashiqon ki jaan nikalne se pehle yahi duwa karti hogi...
Paagal huwa jaa raha hoon

tumse milne ke khayaal se aaj deewaana huwa jaa raha hoon,
tuhmaari chaahat ko soch ke main paagal huwa jaa raha hoon,

koi sambhaalo mujhe ki main mar na jaaun apne paagalpan me,
masti bhare is mausam me main aaj mastaana huwa jaa raha hoon,

kabhi girke, kabhi sambhalke, aaj ladkhadaaye jaa raha hoon,
aaine me dekh apni tasveer khud se baatein kiye jaa raha hoon...
Mujhe kuch hosh nahi

jhoom lene do aaj mujhe ki mujhe kuch hosh nahi,
mera mehboob aane waala hai mujhe kuch hosh nahi,

aayegi wo to laga lunga use main seene se apne,
ho jaaye mujhse koi bhool to mera koi dosh nahi....
Main khush hoon

jaane kin khayaalon me kho ke khush hoon,
kuch to hai aisa jise soch ke khush hoon,
main aaj khud se bekhabar, khud se anjaan,
bas us aane waale waqt ke liye khush hoon,

kareeb hai manzil is baat ka ehsaas hai,
kisi ke milne ke ehsaas se hi khush hoon,
wo aayegi, aake seene se lag jaayegi mere,
main uske paas aane ke ehsaas se khush hoon,

ek waada tha usse kiya jo poora karna hai,
paana hai use aaj ye soch ke khush hoon,
muskura raha hoon main akele hi aaj yahaan,
bas us milan ke baare me soch ke khush hoon...

Monday, April 23, 2012

Jaane kya kya lautaana chaahti hai

wo mujhe aaj meri duniyaa lautaana chaahti hai,
guzre huye wo lamhe jeewan ke lautaana chaahti hai,
jaana hai thaam ke kisi ka haath use aaj, isliye
wo mere likhe huye saare khat lautaana chaahti hai,

mere pyaar ki har ek nishani lautaana chaahti hai,
mere jeewan ki wo kahaani lautaana chaahti hai,
jaana hai use mujhse duur bahut duur, isliye
wo mujhe aaj meri jawaani lautaana chaahti hai,

mujhe meri khoi hui pehchaan lautaana chaahti hai,
mujhse li hui meri jaan lautaana chaahti hai,
loot ke le jaa rahi meri saanse mujhse wo, par
jaane kya kya wo naadaan lautaana chahti hai....
Tujhpe koi ghazal likhun to kaise likhun

mujhe tujhpe aaj ghazal likhna hai,
par tu hi bata likhun to kaise likhun,

tere aankhon ko samundar kahunga to kam hoga,
tere aankhon ko baadal kahunga to kam hoga,
kahun to kya kahun aaj teri aankhon ko,
main kuch bhi kahun inhe to bahut kam hoga,
socha aaj teri taarif me koi geet likhun,
par tu hi bata likhun to kaise likhun,

tere hothon ko gulaab kahunga to kam hoga,
tere hothon ko sharaab kahunga to kam hoga,
tu hi bata de mujhe main inhe kya kahun,
main inhe kuch bhi kahunga to kam hoga,
socha main aaj tujhpe koi ghazal likhun,
par tu hi bata likhun to kaise likhun,

teri har taarif mujhe kam lagti hai,
karun main teri taarif ko kaise karun,
banaane waale ne fursat se banaaya hoga tujhe,
ye jo karishma hai iski taarif kaise karun,
socha hai aaj teri taarif me koi geet likhun,
par tu hi bata likhun to kaise likhun....
Zindagi ko safal samajh lunga

har ghum ko apne liye bachaake main tumhe khushiyon se sajaa dunga,
tumhaare har kadam ke saath main tumhaari parchhaayi banke chal lunga,

thaamke tumhaaraa haath main tumhaare sangh sangh chal lunga,
ladkhadaane lago agar kabhi tum to main tumhe sambhaal lunga,

chal chuke ho bahut tum akele zindagi ke safar me,
thaam lo mera haath main tum sangh zindagi bhar chal lunga,

maangte ho mujhe tum apni har duwa me har sajde me,
mil jaaao tum mujhe to main apni har duwaa qubool samajh lunga,

meri saanse bhi tumse hain, meri dhadkan bhi tumsi se hai,
tum mil jaao agar to main apni is zindagi ko safal samajh lunga....

Saturday, April 21, 2012

Main tumhe yaad nahi karta hoon

haan ajkal main tumhe yaad nahi karta hoon,
sach kehta hoon mujhe tumhaari yaad nahi aati hai,

jab kabhi mera dil tanhaayi me kho jaata hai,
main chhip ke is duniya se aansoo bahaa leta hoon,
laal meri aankhon ko dekh agar koi poochta hai raaz,
main hawaa ke saath aaye dhool ka naam le leta hoon,
haan ajkal main tumhe yaad nahi karta hoon,
sach kehta hoon mujhe tumhaari yaad nahi aati hai,

kabhi kabhi jab neend nahi aati mujhe raat ko,
main tumhaari tasveer se baatein kar leta hoon,
band kamre me reh ke main deewaaron se baate karta hoon,
kabhi tanhaayi me hoke main apni parchhai se darta hoon,
haan ajkal main tumhe yaad nahi karta hoon,
sach kehta hoon mujhe tumhaari yaad nahi aati hai....
Main sambhalna bhool gaya

do pal ka sahaara deke wo samjhe ki main sambhal gaya,
sach to ye hai ki main unke bina sambhalna bhool gaya,
zindagi saath bitaane ki kasam khaai thi kabhi unhone,
ab lagta hai main zindagi ki raah pe chalna bhool gaya...

Friday, April 20, 2012

Meri mohabbat ban jaao tum

meri bekarari ko aur na badhaao tum,
aake mere seene se aaj lag jaao tum,

fero mere baalon pe haath apne, aur
aaj fir mujhe paagal banaa jaao tum,

faila do apne zulfon ko mere chehre pe,
aur unse baarish banke baras jaao tum,

pyaasa hoon kabse tumhaari chaahat ka,
aaj aake apni aankhon se pila jaao tum,

chhoo lene do gulaab se hothon ko aaj,
apni khushboo se mujhe mehka jaao tum,

baahen failaake main khadaa hoon raah pe,
jaana aaj aake meri mohabbat banjaao tum...
Main laut aaunga

main bahut jald tumhaare paas laut aaunga,
firse tumhe 'jaanu' kehke main bulaaunga,
tum baahen apni failaake dekhlo zaraa,
main aake tumhaare seene se lipat jaaunga...
Wo tumhaaraa apna kahaan

naa samajh paaye jo tumhaara dard wo tumhaara apna kahaan,
jo jaaye tod ke dil mohabbat mein wo tumhaara apna kahaan,
mohabbat wo haseen ehsaas hai jisme log jaan de dete hain,
jo le jaaye jaan mohabbat mein wo tumhaara apna kahaan...
Main tumse haal-e-dil bayaan karta hoon

tumse duur hoke main aaj bhi tumhi ko yaad karta hoon,
jeeta hoon kehne ke liye, har roz kai baar marta hoon,

badi aasaani se tumne hamaari mohabbat ko bewafaa kaha,
main naasamajh aaj bhi bas tumhi pe aetbaar karta hoon,

ye aur baat hai ki main waqt nahi de paaya tumhe kabhi,
main is jahaan me sabse badh ke tumse pyaar karta hoon,

kuch waqt hi aisa tha aur kuch meri majburiyaan rahi,
lo main aaj meri har ek bhool ko sweekaar karta hoon,

chhipaake rakha tha dil me kabse ye mohabbat humne,
aaj tumhaare saamne main haal-e-dil bayaan karta hoon...

Thursday, April 19, 2012

Hawaaon ka humse kuch keh jaana huwa

aaj hawaaon ka behte behte humse kuch keh jaana huwa,
arse baad mere dil ka fir se tadap ke reh jaana huwa,

aaj ek udte hue chunri ne dhaka aake mere chehre ko,
aur fir hamaari pehli mulaaquat ka yaad aajaana huwa,

kuch isi tarha se miley to wo humse kuch saal pehle,
us mulaaquat me hi mere dil ka paagal ho jaana huwa,

leke unka haath apne haathon me hum baitha karte the,
jaane kyun apne haathon ko dekh mera muskuraana huwa,

ye hawaayein jaise chhoo ke aayi hon aaj unka aanchal,
fir se mera unke jism ki khushboo se mehek jaana huwa,

bhulaane ki bahut koshish karte hain hum jin yaadon ko,
aaj fir se hawaaon ke saath un yaadon ka aa jaana huwa,

ab tak unki tasveer bhi kahin kisi kitaab me chhipi thi,
jaise unka tasveer se nikal ke mere saamne aajaana huwa,

laal ek gulaab unhone diya tha humein pyaar ke naam pe,
jaane kaise us sukhe gulaab ka fir se mehek jaana huwa,

ehsaas hai humein is baat ka ki wo hamaari nahi hain ab,
par jaane kyun fir se unki yaadon me guum ho jaana huwa,

aaj behti hui hawaaon ka jab humein chhoo ke jaana huwa,
samundar me yaadon ke hamaaraa fir se doob jaana huwa...
Aajaao ek baar

aajaao ek baar ki tumhe aankhon me basaa lunga,
baahon me bhar ke tumhe seene me chhipaa lunga,
yun to tum bin koi pehchaan hi nahi meri yahan,
aajaao tum to tumhaari khushboo se mehek jaaunga...
Kya hoga

ye khayaal nahi aaya kabhi ki kya hoga,
na mil sake tum humein to kya hoga,
hum to tumhaari aankhon pe mar mite the,
na dekh paaye in aankhon ko to kya hoga,

tumhi ho jise dekh ke muskuraate hain hum,
na muskuraa sake hum kal to bolo kya hoga,
tumhe dekh ke bhool jaate hain sab kuch,
kal agar khud ko bhool jaaen to kya hoga,

jee lene do aaj is pal ko zaraa khul ke,
kal koi pal is tarha na ho to kya hoga,
khush hain aaj jis daur me hain hum yahaan,
kal ka koi pal hamaara na ho to kya hoga,

aaj humein jee bhar ke dekh lene to tumko,
kal tumse bichhad jaayen hum to kya hoga,
koi bharosa nahi hai humein zindagi pe,
kal ye zindagi hamaari na rahi to kya hoga....

Wednesday, April 18, 2012

Tum bulaao hum aayenge

meri saanson ka bandhan tumhaari saanson se hai,
apni saanson se rishta bhala kaise tod paayenge,
tum bulaake dekh lena humein tanhaayi me kabhi,
hum chhod ke saare bandhan daude chale aayenge....
Tum bin reh paate nahi

hum kehna to chaahte hain par tumse keh nahi paate hain,
dil me jo dard hai hamaare wo hum seh nahi paate hain,
bepanaah mohabbat ko dil me dabaa ke rakhe hain hum, par
bataate nahi tumhe aur tum bin hum reh nahi paate hain....
Kaise bhool paaoge

bhulaana chaahti ho tum meri yaadon ko,
chaahke bhi tum humein bhulaa na paaoge,
itna aasaan nahi hai mohabbat bhulaana,
tum bas koshish ki karte reh jaaoge....

Tuesday, April 17, 2012

Dil tod jaane ki baat karte ho

batao bhala kitni der hui hai tumhe aaye huye,
jaana kyun tum abhi se jaane ki baat karte ho,
abhi to humne tumhe thik se dekha bhi nahi hai,
aur tum is tarha laut jaane ki baat karte ho,

ye aadat achchi nahi tumhaari hume jalaane ki,
dil pe teer chalaake muskuraane ki baat karte ho,
hum to ghayal hain tumhaare ishq me o jaanaa,
aur tum humse ab dil churaane ki baat karte ho,

zaraa baitho do ghadi saamne tumhe dekh le hum,
doob jaayen kuch der tumhaari aankhon me hum,
kuch pal baith ke kuch pyaari baatein kar lo,
kyun aane se pehle hi jaane ki baat karte ho,

kya tumhe maaloom hai kya haal hai mere dil ka,
kyun har baar dil tod jaane ki baat karte ho,
pal bhar ke liye hi saath milta hai tumhaaraa,
aur tum bas saath chhod jaane ki bat karte ho,

kai baar toota hai ye dil is shahar mein pehle,
ab fir se tum mera dil todne ki baat karte ho,
badi mushkil se jeene ki aadat daali hai maine,
aur tum mujhe ab mar jaane ki baat karte ho....

Monday, April 16, 2012

Mujhe dar hai mohabbat na ho jaaye

tum yun mere saamne se na jaaye karo
mujhe dar hai mohabbat na ho jaaye
yun saj sanwar ke na tum aaya karo
mujhe dar hai mohabbat na ho jaaye

main darta nahi mohabbat ke hone se
mujhe dar hai dil ke toot jaane se
tum yun mere paas aaya na karo jaana
mujhe dar hai mohabbat na ho jaaye

jabse dekha hai tumko kuch hosh rehta nahi
kehne ko bahut hai par tumse kuch kehta nahi
darta nahi main tumhare rooth jaane se
mujhe dar hai mohabbat na ho jaaye....
Kyun mere pas aate nahi

tanha tha main, tanha hoon, tum mere paas kyun aate nahi,
gaaye the kabhi geet sangh mere wo aaj kyun gaate nahi,

mujhe pyaar tha, mujhe pyaar hai, par tumko bataate nahi,
mere dil me jo bhi baat hai tum kyun samajh paate nahi,

sukha huwa gulab hoon main, kyun tum taazgi ban aate nahi,
baarish ki koi boond ban ke kyun mujhpe baras jaate nahi,

jana tha tumko duur par kyun yaadon se duur jaate nahi,
aa jaate ho tum khwaabon me par haqeeqat mein aate nahi...

Saturday, April 14, 2012

Aaj mohabbat kar jaaun zaraa

aaj zulfen apni kholdo ki main unme kho jaaun zaraa,
bharke tumhe baahon me aaj tumhaaraa ho jaaun zaraa,

aag me chahat ke tumhaare aaj main jal jaaun zaraa,
chhoo ke tumhaare hothon ko aaj pighal jaaun zaraa,

laal kisi gulaab ki tarha aaj main mahek jaaun zaraa,
mai kho ke tumhaari aankhon me aaj bahek jaaun zaraa,

tum ho shamaa koi to main koi parwaana ban jaaun zaraa,
tumhaari mohabbat me main koi deewaana ban jaaun zaraa,

tum barasti koi boond ho main baadal ban jaaun zaraa,
tum ho koi ehsaas to main koi ghazal ban jaaun zaraa,

na roko mujhe na toko mujhe hadd se guzar jaaun zaraa,
dilki jo bhi hasratein hain aaj poori kar jaaun zaraa,

hoke tumhaari dhadkano se aaj main guzar jaaun zaraa,
aaj pyaar ko jannat samajhke main to mar jaaun zaraa...

Friday, April 13, 2012

Mohabbat kar jaane do

apni khooshboo me tum mujhe aaj mahek jaane do,
chhoo ke tumhaare hothon ko aaj bahek jaane do,

khud ko meri baahon me toot ke bikhar jaane do,
aaj apni mohabbat ko thoda aur nikhar jaane do,

aag ki chaahat me tum khud ko aaj jal jaane do,
dil ko apne aaj firse tum zara pighal jaane do,

aaj zulfon ke baadal me humein tum kho jaane do,
paani banke baras jaao aur humko bheeg jaane do,

apni saanson se hoke aaj humein guzar jaane do,
ji liya hai bahut humne aaj tumpe mar jaane do...

Thursday, April 12, 2012

Muskuraate hoge na

aankhon ki taarif me unhe samundar kaha tha humne,
aaj bhi khud ko aaine me dekh ke muskuraate hoge na,

tofhe me tumhe laal koi gulaab kabhi diya tha humne,
aaj bhi us gulaab ko sakhiyon se chhipaate hoge na,

chhooke tumhaare hothon ko kabhi pyaar kiya tha humne,
aaj bhi apne hothon pe hothon ko mehsoos karte hoge na,

kabhi tumhaari taarif me kuch ghazal likhe the humne,
aaj bhi akele me mere un geeton ko gungunaate hoge na...
Humse milne aa jaaya karo

guzarte hain tumhaari gali se ek deedaar ke liye,
ek pal ke liye tum khidki pe nazar aa jaaya karo,

tumhaare hone ke ehsaas se hi khush ho jaate hain,
kisi bhi bahaane se tum humse milne aa jaaya karo,

humein to aadat si ho chuki hai tumhaare saath ki,
is tarha tadpaake humein humse na duur jaaya karo,

aa jaate ho tum har raat haseen koi khwaab ban ke,
kabhi khwaab se nikalke haqeeqat me aa jaaya karo,

barso se pyaase hain hum tumhaare chaahat ke liye,
kabhi to tum barsaat banke humpe baras jaaya karo...

Wednesday, April 11, 2012

Pyaar bas tum se ki karta hoon

main tumhaari adaaon ko dekh ke roz kai kai baar marta hoon,
kehna to hai par kaise kahun ki main tumse pyaar karta hoon,

tum nahi hote to bas tumhaare aane ka intzaar hota hai mujhe,
dikh jaate ho to main nigaahon se tumhaara pichha karta hoon,

pee leta hoon tumhaare roop ko main apni pyaasi aankhon se,
aur dil hi dil bas tumhe paane ki chaahat main karta hoon,

tum kya samajh paaoge mera haal aur haal mere dil ka jo hai,
kaise tumhe paane ke liye main subah shaam aahen bharta hoon,

jab guzarti ho kabhi mere paas se tum to mehek jaata hoon main,
tumhaare jaane ke baad bhi tumhaari khushbu mehsoos karta hoon,

apne julfon ko dheere se jab aankhon par se hataati ho tum,
tumhaari julfon me main apni moujudgi ko mehsoos karta hoon,

bheege barsaaton ke nashe me aajkal bheega karta hoon main,
aaine me dekhta hoon khudko aajkal aur sajta sanwarta hoon,

tumse baatein karne ke liye roz naye bahaane banata hoon,
tokoge tum mujhe ye soch ke hi galtiyaan main karta hoon,

dil me jo bhi baat hai main tumse kahun par kaise bhalaa,
mujhse rooth na jaao kahin tum ye soch ke main darta hoon,

main jeeta to hoon par roz tumpe kai baar main marta hoon,
sach hai meri jaana ki main pyaar bas tumse hi karta hoon....
Tumhe aaj thoda yaad kar loon

leke kaagaz kalam baitha hoon aaj tumhaari yaad me,
socha tumhe yaad kar thoda jee loon, thoda mar loon,

bhulne ki koshish bahut ki hai tumko par na huwa,
to tasveer seene se lagaake thoda pyaar kar loon,

kitaab me rakhe sukhe gulaab ko chhoo ke aaj main,
tumhaari moujudgi ka thoda thoda sa ehsaas kar loon,

baarish ke har boond me tumhaaraa hi to ehsaas hai,
chhooke boondon ko main tumhe aaj mehsoos kar loon,

lagaayaa tha maine tumhe seene se kabhi barson pehle,
aaj tum nahi, takiye ko hi zaraa baahon me bhar loon,

banke haseen khwaab bas jaao meri aankhon me aaj tum,
tumhe khwaab me dekh ke thoda jee loon, thoda mar loon,

jaana, kabse kuch likha nahi hai maine tumhaari yaad me,
aaj tumhe yaad kar ke likhne ki thodi si koshish kar loon...

Friday, April 6, 2012

Wo apna pataa bataana bhool gaye

jaate jaate wo humein apna pata bataana bhool gaye,
aur hum hain jo unki yaad me muskuraana bhool gaye,

mile the us khwaab se kabhi aashiqon ki mehfil mein,
ab apna ye haal hai ki mehfilon me jaana bhool gaye,

chaand si chamak thi usme suraj ke jaisa hi tez tha,
ab apna ye haal hai ki hum diyaa jalaana bhool gaye,

peenaa humein sharaab tha maikhane tak jaayen kaise,
maikhaane tak jaane ka bahaanaa banaanaa bhool gaye,

sharaabi unke honth the, nasheeli unki aankhein thi,
jab se unko dekha hai hum hosh me aanaa bhool gaye,

pehle jab hum likhte the tab ban jaate the geet magar,
jabse unko dekha hai hum ghazal hi likhnaa bhool gaye,

nikle the unko dhundne par hum kaise unko dhundenge,
dhundte dhundte unko hum apna hi thikaanaa bhool gaye...

Thursday, April 5, 2012

Tumse hi har kahaani hai

tum se shuru, tum pe hi khatam meri har kahani rahi,
aaj tak tum hi mere is deewaaangi se anjaani rahi,
aaj barso ke baad seene se lagaake tunko ro lene do,
tumse hain sanse aur tumse hi meri zindagaani rahi...
Kyun duur jaane ki baat karte ho

kyun tum humse yun duur jaane ki baat karte ho,
kyun doob ke yaadon me tum rone ki baat karte ho,
khwaaish hai meri tumhaare sangh zindagi bitaane ki,
kyun tum humein chhod ke mar jaane ki baat karte ho....
Ishq na samajh lena

hawaaon ki khushboo ko tum ishq na samajh lena,
aankhon ki chamak ko tum ishq na samajh lena,
ishq me to dil ki dhadkane hi band ho jaati hain,
tum dil ki kisi hulchul ko ishq na samajh lena,

kisi roshni ki kiran ko tum ishq na samajh lena,
shor agar pyaaraa lage use ishq na samajh lena,
ishq me humne cheezon ko bigadte dekha hai,
kuch sanwarne lag jaaye to ishq na samajh lena,

koi khud se pyaara lage to use ishq na samajh lena,
koi khwaabon me aane lage to use ishq na samajh lena,
ishq to wo rog hai jo dheere dheere maarti hai,
kisi pe marne lago to use ishq na samajh lena ....

Wednesday, April 4, 2012

Main gungunaane aaya hoon

chhed ke dil ke taar main aaj geet gaane aaya hoon
apne dil ka haal apne geeton me sunaane aaya hoon

mehfil me yaaron ke main ghum bhulaane aaya hoon
jo likhe the uski yaad me wo gungunaane aaya hoon

main sangh apne kai raaz kai saaz leke aaaya hoon
mere dil me jo bhi dard hai sabko batane aaya hoon

aansuon ko ponch ke main aaj muskuraaane aaya hoon,
main aaj is mehfil me jhoom ke gaane aaya hoon......
Humse duur kaise jaa paaoge

humse baahen chhudaake kaise jaa paaoge
thodi dur jaake hi tum waapas laut aaoge
ye bandhan to saanson ka hai saanson se
saanson se apne rishta kaise tod paaoge...
Mujhe sataate kyun ho

hamaari har wafaa ko bewafaai tum bataate kyun ho,
chaah ke humein humko tum is tarha sataate kyun ho,
humne to chaaha tha tumhe har ek cheez se badhkar,
tum hamaari mohabbat ko ab jhoota bataate kyun ho...
Khwaabon me bas jaao mere

main ye nahi kehta ki aake seene se lag jaao mere
main ye nahi kehta ki har pal tum saath raho mere
maine to bas tumhaara saath maanga hai neendon me
bas yahi kehta hoon ki khwaabon me bas jaao mere
Aaj bhi mere dil me ho tum

tumhaari har ek dhadkan ko aaj bhi mehsoos karta hoon,
aur bheeg jaata hoon baarish me jab bhi haste ho tum,
chhod gaye the mujhe par mohabbat aaj bhi karta hoon,
aaj bhi mere dil ke kisi kone me kahin baste ho tum...
Haste haste mar jaaunga

main zameen ka dhool kahaan chaand ko chhuu paaunga
main hoon ban phool kahaan aasmaan ko chhuu paaunga
yunhi koshish karte beet jaayegi poori zindagi apni
zameen ka hoon main zameen me hi mil ke reh jaaunga

na keh paaya hoon na kabhi main tumse ye keh paaunga
yun khaamoshi se main tumse bahut duur chala jaaunga
jhoot hi sahi par keh do ki tumhe mujhse mohabbat hai
tumhaari isi baat me main aaj haste haste mar jaaunga
Mera mehboob laut aaya hai

jhoom loon ji bhar ke aaj main
ki mera mehboob laut aaya hai
na mujhe ab kuch hosh rahe
ki mera mehboob laut aaya hai

khoke use tanha tha main biklul
ki aaj dil mera muskuraaya hai
na rahe ab dard koi seene me
ki mera mehboob laut aaya hai

ho jaaun paagal aaj main
ki mera pyaar laut aaya hai
tod duun aaj bandhan saare
ki mera mehboob laut aaya hai

na koi roko mujhe aaj
na koi toko mujhe aaj
jee lene do ek pal me zindagi
ki mera mehboob laut aaya hai....

Tuesday, April 3, 2012

Main usse pyaar karta raha

meri khamoshi ko wo mera inkaar samajhta raha,
aur main uski har adaa ko pyaar samajhta raha,

na wo kuch keh paaya humse kabhi na humne kaha,
pyaar jo dil me thaa wo dil me hi tadapta raha,

milnaa to bahut huwaa par banke hum dost miley,
har mulaquaat ke baad bas dil ye machalta raha,

nazrein kai baar mili meri uski nazron se magar,
wo bhi khaamosh rahi aur main bhi khaamosh raha,

yaaron se khul ke kaha sirf usko hi keh na sakaa,
usko hi chaahta hu main aur usko hi chaahta raha,

wo mere paas hi thi aur main bhi uske paas raha,
zubaan khaamosh rahi aur main bhi khaamosh raha,

main koi chor nahi par jaane kyun main darta raha,
kuch bhi main keh na saka aur roz main marta raha...
Dil churaa lete hain

haseeno ki aadat hai, wo adaaon se dil chura lete hain,
dil ki khabar poochhun agar to wo muh hi fer lete hain...
Dard ka bazaar

bazaar me dard ke kyun kahin mera hi dard bikta nahi,
dikh jaate hain aansu magar muskaan kyun dikhta nahi...
Humein mehka jaao na

aaj tum un saazon ko firse chhedo to jaane,
wo geet mohabbat ke fir se gungunao to maane,
hawaaon me bhi tumhaari mehek hoti thi pehle,
aaj fir se humein tum mehka jaao to jaane...
Khud ko chaahta kyun hoon

chhooke hawaaon ko main aajkal jhoom jaata kyun hoon,
chalte chalte raahon me aajkal thahar jaata kyun hoon,

pedon se baatein karun, main titliyon ke pichhe chalun,
panchhiyon ke sang aajkal main yun gungunaata kyun hoon,

khud ki koi khabar nahi, dil ka haal main kisse kahun,
har musaafir ko main apni kahaani sunaata kyun hoon,

har naye chehre se aajkal khud ko chhipaata kyun hoon,
aaine me khud ko dekh aajkal main muskuraata kyun hoon,

khud se hi baatein karun, main khud se hi pyaar karun,
apni chaahat ko aajkal main khud pe lutaata kyun hoon...
Hum tumhe paagal kar jaayenge

hum in hawaaon me ho ke tumhaare saanso me samaa jaayenge,
hothon ko chhooke tumhaare madhosh tumhe hum kar jaayenge,
hamaare jaane ke baad bhi tumhe hamaare hone ka ehsaas hoga,
hum apne mohabbat me tumhe is tarha paagal kar jaayenge....

Monday, April 2, 2012

Tumhe yaad karta hoon main

tumhaari saanson ki khushboo aaj bhi mehsoos karta hoon main,
tumne dekha na hoga par tumhaari hi gali se guzarta hoon main,
is soch se tumhaari khidki pe dekhta hoon ki tum dikh jaao,
tumhaari tasveer ko seene se lagaa ke tumhe yaad karta hoon main....
Humein bewafaa bataate ho

ye kaisi mohabbat tumhaari jo tum humse chhipaate rehte ho,
humse tum kehte nahi par poore jahaan ko bataate rehte ho,
muskuraake saamne tum tanhaayi me aansoo bahaate ho, aur
chhipkaake mohabbat dil me humein bewafaa bataate rehte ho...
Ghum bhool jaate hain

yaaron ki mehfil me hum sabko apna ghum bataate hain,
dusron ka sunke hum, apne ghum ko kam bataate hain,
aadat si ho chuki hai humein ab seene pe khanjar ki,
maut ki raah pe bhi hum khushi ke geet gungunaate hain....
Mohabbat ka jo bhi anjaam hoga

agar is jahaan me mera ye naam badnaam hoga,
yakeen hai mujhe ki wo tumhaara hi kaam hoga,

waqt bewaqt aake sataunga main tumhe ab se,
mohabbat ka asar subah se lekar shaam hoga,

na chhupaunga is duniya se dil ka haal apne,
meri mohabbat ka izhaar ab se sar-e-aam hoga,

baahon me bhar ke bas tumhe main pyaar karun,
ab is aashiq ka iske siwa na aur koi kaam hoga,

chhupke kyun pyaar karen daren kis baat se hum,
ab dekh lenge hum mohabbat ka jo bhi anjaam hoga....
Mujhe pyaar nazar aa jaata hai

tumhaare har ek ada pe mujhe pyaar nazar aata hai,
tumhaare har andaaz me mujhe pyaar nazar aata hai,

sambhaale se sambhalta nahi hai dil apna kya karen,
tumhaari aankhon ko dekh humein nasha ho jaata hai,
sheeshe me jaam le ke hothon se lagaa lete hain,
jaam ko dekh tumhaara chehra nazar aa jaata hai,
tumhaare har ek ada pe mujhe....
tumhaare har andaaz me mujhe....

mujhe kuch hosh nahi aaj kal jo bhi main karta hoon,
kisliye jeeta hoon aur kis baat pe main marta hoon,
meri neendon me tumhaara khwaab nazar aa jaata hai,
har kahin julfon ka tumhaare sringaar nazar aata hai,
tumhaare har ek ada pe mujhe....
tumhaare har andaaz me mujhe....

barasti har boond ko dekh mera dil gungunaata hai,
bheege baarish me ye bas pyaar ke geet gaata hai,
tumhaari chaahat me mujhe aetbaar nazar aata hai,
tumhaari aankhon me mera chehra nazar aajaata hai,
tumhaare har ek ada pe mujhe....
tumhaare har andaaz me mujhe....

tumse milke main kabhi tumse duur na jaa paaunga,
na mili tum kabhi to main sach me hi mar jaaunga,
tumse duur hoke mera aankh hi bhar aata hai,
tumhaare har baat me iqraar nazar aa jaata hai,
tumhaare har ek ada pe mujhe....
tumhaare har andaaz me mujhe....
Khush hoon main

kaho na, kyun staate ho tum mujhe,
apni tanhaayiyon me khush hoon main,
saath chhoda tha tumne jis raah pe
aaj bhi unhi raahon par hoon main,
haan sach kehta hoon khush hoon main,

ye tumhaari aadat achchi nahi sanam
aake meri yaadon me mujhe sataane ki,
main akela, apni duniya me hoon main,
band kamre me aajkal rehta hoon main,
haan sach kehta hoon khush hoon main,

sukha huwa ek gulaab kitaab main hai,
jo kabhi pyaar ke naam pe tumne diya tha,
usme aaj bhi khushboo talaashta hoon main,
us gulaab ko seene se lagaata hoon main,
haan sach kehta hoon khush hoon main,

kahin duur bahut duur baithi ho tum aaj,
kabhi baithe wahaan meri yaad aajaaye to,
aankhen band kar dekhna, wahin hoon main,
aaj bhi tumhaare kareeb hoon main,
haan sach kehta hoon khush hoon main,

shayad tumhe aaj mujhse mohabbat na ho,
shayad mere liye dil me koi jagah na ho,
par bhoole se kabhi agar meri yaad aajaaye,
to pukaar ke dekhne, wahin hoon main,
haan sach kehta hoon khush hoon main,

kyun jhoote aansoo bahaake mujhe sataate ho,
jaana tha chhod ke mujhe jaa chuki ho tum,
main jahaan tha aaj bhi wahin hoon main,
kabhi tumhaare saath tha, aaj tumhaare bagair hoon main,
haan sach kehta hoon, aaj bhi bahut khush hoon main...