Thursday, April 19, 2012

Hawaaon ka humse kuch keh jaana huwa

aaj hawaaon ka behte behte humse kuch keh jaana huwa,
arse baad mere dil ka fir se tadap ke reh jaana huwa,

aaj ek udte hue chunri ne dhaka aake mere chehre ko,
aur fir hamaari pehli mulaaquat ka yaad aajaana huwa,

kuch isi tarha se miley to wo humse kuch saal pehle,
us mulaaquat me hi mere dil ka paagal ho jaana huwa,

leke unka haath apne haathon me hum baitha karte the,
jaane kyun apne haathon ko dekh mera muskuraana huwa,

ye hawaayein jaise chhoo ke aayi hon aaj unka aanchal,
fir se mera unke jism ki khushboo se mehek jaana huwa,

bhulaane ki bahut koshish karte hain hum jin yaadon ko,
aaj fir se hawaaon ke saath un yaadon ka aa jaana huwa,

ab tak unki tasveer bhi kahin kisi kitaab me chhipi thi,
jaise unka tasveer se nikal ke mere saamne aajaana huwa,

laal ek gulaab unhone diya tha humein pyaar ke naam pe,
jaane kaise us sukhe gulaab ka fir se mehek jaana huwa,

ehsaas hai humein is baat ka ki wo hamaari nahi hain ab,
par jaane kyun fir se unki yaadon me guum ho jaana huwa,

aaj behti hui hawaaon ka jab humein chhoo ke jaana huwa,
samundar me yaadon ke hamaaraa fir se doob jaana huwa...

No comments:

Post a Comment