Friday, April 27, 2012

Naadaan hoon main

naadaan hoon samajh na paaunga
hawaa ka jhaunka jis od hoga
main usi od chalaa jaaunga

na samajh lena ki main tumhe samajhta hoon
na kabhi main tumhe samajh paaunga
tum kaun ho, kyun paas rehti ho mere
chaah ke bhi kabhi na jaan paaunga

saaya ko apne dekh ke sochta hoon main
ye saath saath mere chalta kyun hai
kisi haseen chehre ko dekh lun to
mera ye mann machalta kyun hai
naadaan hoon main kuch na samajh paaunga
hawaa ka jhaunka jise taraf le jaayega
main bhi usi taraf chalta chala jaaunga

dekh ke kabhi kisi dariya ko main
thodi der wahaan ruk jaaunga
pee ke thoda paani pyaas bujhaake main
fir se apne safar pe aage badh jaaunga
hawaa ka jhaunka jise taraf le jaayega
main bhi usi taraf chalta chala jaaunga

main kisi anjaan path ka raahi hoon
main to yunhi chalta reh jaaunga
naadaan hoon samajh na paaunga
hawaa ka jhaunka jis od hoga
main usi od chalaa jaaunga.....

No comments:

Post a Comment