Monday, April 23, 2012

Jaane kya kya lautaana chaahti hai

wo mujhe aaj meri duniyaa lautaana chaahti hai,
guzre huye wo lamhe jeewan ke lautaana chaahti hai,
jaana hai thaam ke kisi ka haath use aaj, isliye
wo mere likhe huye saare khat lautaana chaahti hai,

mere pyaar ki har ek nishani lautaana chaahti hai,
mere jeewan ki wo kahaani lautaana chaahti hai,
jaana hai use mujhse duur bahut duur, isliye
wo mujhe aaj meri jawaani lautaana chaahti hai,

mujhe meri khoi hui pehchaan lautaana chaahti hai,
mujhse li hui meri jaan lautaana chaahti hai,
loot ke le jaa rahi meri saanse mujhse wo, par
jaane kya kya wo naadaan lautaana chahti hai....

No comments:

Post a Comment