Thursday, April 26, 2012

Mera saajan nahi aayaa

patjhhad ke chale jaane ke baad saawan har baar aayaa,
ek mera saawan tha jo jaake kabhi laut kar nahi aayaa,

har phool khila, fir murjhaaya, murjhaake fir se khila,
ek mera hi aangan tha jahaan laut ke bahaar nahi aayaa,

kai tyohaar aaye, sangh uunke khushiyon ka rang aayaa,
ek mera jeewan tha jisme kabhi koi rang hi nahi aayaa,

garajte baadalon ke baad har baar yahaan barsaat aayaa,
ek meri hi hatheli thi jahaan ek boond paani nahi aayaa,

rooth jaate hain log fir manaane se maan bhi jaate hain,
par mera saajan aisa rootha ki kabhi laut ke nahi aayaa,

aaye sab log mere ghar poochhne mere ghum ki kahaani,
ek mera mehboob hi tha jo laut ke mere ghar nahi aayaa....

No comments:

Post a Comment