Friday, April 27, 2012

Jaana hai tumse duur mujhe

jaanaa hai tumse duur par
jaisa tum mujhe jaanti ho
jaisa tum mujhe samajhti ho
kya koi aur jaan paayega
kya koi aur mujhe samajh paayega

yun to bhoolna mushkil hoga tumhe
par tumhe main bhulaa dunga
par kya tumhaari yaadon se
duur jana mumkin ho paayega

tum hi kaho kaun hai mera
tum hi dost ho, tum hi sab kuch
kya tumse judaa hoke jee paana
mere liye mumkin ho paayega

bas kuch sawaal hain dil me
jaana tha tumhe humse duur
to aaye hi kyun the itne paas
ab tumhaari nazdikiyon ko bhulaana
kya inti asaani se ho paayega
is dil ko ab tumhaari aadaat si hai
is aadat ko chhod paana ab
kya mumkin ho paayega

chale jaaoge tum mujhse duur
ehsaas hai mujhe is baat ka
par sach ye bhi hai ki
tumhaare chale jaane ke baad
zinda to rahunga main par
jeenaa aasaan na ho paayega
reh jaayegi kuch yaadein dil me
aur kankaalon ka dher reh jaayega....

No comments:

Post a Comment