Saturday, April 14, 2012

Aaj mohabbat kar jaaun zaraa

aaj zulfen apni kholdo ki main unme kho jaaun zaraa,
bharke tumhe baahon me aaj tumhaaraa ho jaaun zaraa,

aag me chahat ke tumhaare aaj main jal jaaun zaraa,
chhoo ke tumhaare hothon ko aaj pighal jaaun zaraa,

laal kisi gulaab ki tarha aaj main mahek jaaun zaraa,
mai kho ke tumhaari aankhon me aaj bahek jaaun zaraa,

tum ho shamaa koi to main koi parwaana ban jaaun zaraa,
tumhaari mohabbat me main koi deewaana ban jaaun zaraa,

tum barasti koi boond ho main baadal ban jaaun zaraa,
tum ho koi ehsaas to main koi ghazal ban jaaun zaraa,

na roko mujhe na toko mujhe hadd se guzar jaaun zaraa,
dilki jo bhi hasratein hain aaj poori kar jaaun zaraa,

hoke tumhaari dhadkano se aaj main guzar jaaun zaraa,
aaj pyaar ko jannat samajhke main to mar jaaun zaraa...

No comments:

Post a Comment