Tuesday, April 3, 2012

Main usse pyaar karta raha

meri khamoshi ko wo mera inkaar samajhta raha,
aur main uski har adaa ko pyaar samajhta raha,

na wo kuch keh paaya humse kabhi na humne kaha,
pyaar jo dil me thaa wo dil me hi tadapta raha,

milnaa to bahut huwaa par banke hum dost miley,
har mulaquaat ke baad bas dil ye machalta raha,

nazrein kai baar mili meri uski nazron se magar,
wo bhi khaamosh rahi aur main bhi khaamosh raha,

yaaron se khul ke kaha sirf usko hi keh na sakaa,
usko hi chaahta hu main aur usko hi chaahta raha,

wo mere paas hi thi aur main bhi uske paas raha,
zubaan khaamosh rahi aur main bhi khaamosh raha,

main koi chor nahi par jaane kyun main darta raha,
kuch bhi main keh na saka aur roz main marta raha...

No comments:

Post a Comment