Thursday, April 26, 2012

Dhyaan se dekha nahi shaayad

bahauton se dil ko lagaaya usne, bahauton ne toda uska dil,
ab lagaane ko apna dil kisi se firse darti hai wo shayad,
kehti hai ki kuch nahi mere paas main ashiyaan banaaun kaise,
kisi chidiyaa ke ghosle ko usne dhyaan se dekha nahi shaayad,

lehren samundar ki takraake kinaaron se tut ke bikhar jaati hai,
kabhi un tut_ti lehron ko usne dhyaan se dekha nahi shayad,
tute huye dil ko leke apne aansoo bahaati rehti hai harpal,
kabhi kisi sahaare ki taraf usne dhyaan se dekha nahi shaayad,

saath mere wo rehti hai harpal, sunaati hai apne ghum ke kisse,
kabhi usne meri geelee aankhon ko dhyaan se dekha nahi shaayad,
kai baar socha ki use sab kehdu, par har baar chalte chalte ruka,
kabhi mere dil ka ye haal usne dhyaan se dekha nahi shaayad,

kehti hai main tanha hoon, akeli hoon main is sansaar mein, kabhi
saath chal rahi apni parchhaayi ko dhyaan se dekha nahi shaayad,
gaati hai mere geeton ko, jhoomti hai wo mere ghazal pe, par
un geeton me likhe apne naam ko usne dhyaan se dekha nahi shaayad,

dhundti rahi mohabbat hameshaa gairon ke dil me magar,
kabhi kareeb waalon ko usne dhyaan se dekha nahi shaayad,
har baar kehti rahi ki kaash koi mujhse pyaar kar leta,
kabhi meri aankhon ko usne dhyaan se dekha nahi shaayad....

No comments:

Post a Comment