Saturday, September 21, 2013

Main kitnaa badal gayaa hoon

tumhaare hone se dekho naa kitnaa badal gayaa hoon
ladkhadaataa thaa pehle, ab main sambhal gayaa hoon
yeh mohabbat nahi hai to kaho naa yeh aur kyaa hai
jo tumhaare hi saanche mein main to dhal gayaa hoon

yeh shaam ki hai laali aur yeh thandi si hawaayein
kuch keh rahi hain mujhse magar kyaa keh rahi hain
main thaa nahi aisaa kabhi jo aaj lag rahaa hoon
hai asar yeh kiskaa, jo main yun badal gayaa hoon

dhadkano ki yeh tezi aur mere dil ki yeh baatein
kuch to hai bahut khaas jo in mein ho rahaa hai
aankhon mein hai khwaab aur hai chehraa kisi kaa
thodi si beqaraari, main thodaa machal rahaa hoon

hai kyaa yeh mohabbat jis mein main jal gayaa hoon
kyun kisi mom ki tarhaa aaj main pighal gayaa hoon
hai dil mein thodi aag, hai bas thodaa saa paani
ufff yeh kaisaa safar hai jis mein nikal gayaa hoon

koi rok lo, koi tok lo, main aage nikal naa jaaun
abhi thodaa jalaa hoon, main pooraa jal naa jaaun
aaj pankh failaa ke main aasmaan chhoonaa chaahun
chhoo lene woh aasmaan zameen par uchhal gayaa hoon

yeh mohabbat nahi hai to kaho naa yeh aur kyaa hai
ab tumhaare hi saanche mein main jo dhal gayaa hoon
ladkhadaataa thaa pehle, ab main sambhal gayaa hoon
tumhaare hone se dekho naa kitnaa badal gayaa hoon

No comments:

Post a Comment