Sunday, September 22, 2013

Nazar aayenge

aawaaz lagaa kar dekhnaa hum tere liye thahar jaayenge
hum tere aks hain, tere hi jism se jude nazar aayenge
kabhi dekhnaa khade ho kar aaine ke saamne tu khud ko
hai yakeen, hum tujhe teri aankhon mein nazar aayenge

haseen raaton mein chhat pe baahen failaaye khadi hogi
ban hawaa tujhe chhoo ke tere kareeb se guzar jaayenge
chaandni raaton mein jab tu dekhegi us chaand ko tab
hum uss chaand se tujhe, tujh ko dekhte nazar aayenge

dekhnaa gaur se kabhi uth_ti samundar ki lehron ko tu
jaanaa hum tujhe un lehron ke paani mein nazar aayenge
tu ho saahil par khadi dekhti mujhe, tujhe chhoone ko
takraake saahil se tootke boondon mein bikhar jaayenge

tere khwaabon mein aake tere neendon ko chhed jaayenge
kholegi aankh to haqeeqat mein har taraf nazar aayenge
hai yeh waadaa hamaaraa ki tujhe itnaa pyaar denge hum
ki tujhe humko chaahne ke liye majboor hum kar jaayenge

No comments:

Post a Comment