Saturday, September 14, 2013

Kyun use tabaah kiyaa

mehfil mein ab sunaaun kyaa, sur hai naa hi saaz hai
aasmaan tak pahuchun kaise, bandhan mein parwaaz hai

jab sunaa maine, tumhe hamaare rishte se aetraaz hai
sochaa maine, shaayad meraa yaar mujhi se naraaz hai

tum baar baar rooth ke kuch dino mein maan jaati thi
shaayad yeh bhi koi tumhaaraa roothne kaa andaaz hai

hosh mein main thaa nahi, jab tumne mujhse naa kahaa
kal dobaaraa haan kahogi, yeh raat bhar kaa raaz hai

jab alvidaa tumne kahaa mujhe jaate huwe aakhri baar
samajh hi naa paayaa ek nayi zindagi kaa aaghaaz hai

kyaa kahun main safaai mein, jo kiyaa woh kyun kiyaa
ab qaid kisi pinjre mein meraa shaayad har alfaaz hai

jisko thaa tu ne dil diyaa, usi ko kyun tabaah kiyaa
mere dil se raat raat bhar, sirf aati yahi aawaaz hai

No comments:

Post a Comment