Saturday, September 14, 2013

Hum mohabbat karne lage hain

dekh un ki tasveer aaj firse armaan machalne lage hain
kyaa huwaa jo kabhi girne to kabhi sambhalne lage hain

aankhon se hain baat karen woh, lab unke khaamosh rahe
abtak aisaa huwaa nahi, kyun aaj hum fisalne lage hain

uff yeh baarish kaa mausam, aur boondein mere jism par

kyaa huwaa aisaa aaj bheeg kar bhi hum jalne lage hain

hain koshish to bahut kar rahe, khud ko sambhaalen hum
magar hamaare kadam aaj, jaane kahaan chalne lage hain

shabd sab bikhre pade the, kahin koi bhi mel nahi thaa
ehsaas mere ab dekho naa ghazal mein badalne lage hain

log kehne lage deewaanaa aisaa apnaa ab haal huwaa hai
bikhre huwe baalon ko leke raahon pe nikalne lage hain

baahon mein bharke use hum, jee bharke bas pyaar karen
khwaab haseen mohabbat ke dil mein apne palne lage hain

uff yeh baarish kaa paani, thandi thandi hawaayein yeh
aasmaan ko chhoone ko hum zameen pe uchhalne lage hain

pehle yahi sochaa karte the, mohabbat nahi karenge hum
ab unki mohabbat mein mom ki tarhaa pighalne lage hain

No comments:

Post a Comment