Tuesday, September 10, 2013

Is tarhaa use bhulaataa hoon

khwaab aankhon mein sajaake kho jaataa hoon
muskuraake apni palkon ko bhigo jaataa hoon
aksar rehtaa nahi hosh mujhe apne safar kaa
jidhar chali hawaa udhar kaa ho jaataa hoon

agar kabhi tanhaa apne kamre mein hotaa hoon
takiye ko seene se lagaa kar main sotaa hoon
agar hai nahi mohabbat tab yeh haal kyun hai
kyun aansuon se main takiye ko bhigotaa hoon

dard jab bhi hadd se zyaadaa badh jaataa hai
dekh uski tasveer main dil ko behlaataa hoon
likh letaa hoon geet koi main usi ke naam se
jaa ke wahi geet mehfilon mein sunaataa hoon

koi poochh le agar kabhi mere ghum kaa sabab
hai bas mohabbat main itnaa hi bataataa hoon
muh fer letaa hoon kuch der us ki tasveer se
kuch is tarhaa main us ko roz bhulaataa hoon

No comments:

Post a Comment