Tuesday, September 17, 2013

Kahaan nazar jaaye

yun tumhaari mohabbat kaa ho asar jaanaa
ho zindagi tum se, tumhi par mar jaanaa



tumse hat ke kahaan meri yeh nazar jaaye
mud mud ke ab to yeh bas tumhi par jaaye

jis par nashaa chadhaa ho mohabbat kaa
woh deewaanaa ab kaise apne ghar jaaye

hai shabnami hothon ki laali bhi zaalim
ek baar chhoone ko har koi thahar jaaye

sharbati aankhon kaa jaadu kyaa bataaun
koi chor bhi dekhe to woh sudhar jaaye

dard hotaa hai ishq mein yeh jaante hain
do zakham tum aisaa, deewaanaa mar jaaye

tum ko hi paa ke, sab kuch paa liaa hai
tumse judaa ho ke 'Hriday' kidhar jaaye

No comments:

Post a Comment