Thursday, September 12, 2013

Mohabbat kaa asar dikhaaun tumhe

jis mein aks dikhe tumhaaraa, woh nazar dikhaaun tumhe
kar de deewaanaa, woh mohabbat kaa asar dikhaaun tumhe

yun to khooshboo phoolon ki hai har dishaa mein, magar
jo mehektaa hai tumhi se aao woh shahar dikhaaun tumhe

pighlaade kisi paththar ko bhi junoon meri mohabbat kaa
lag jaao mere seene se, apnaa yeh hunar dikhaaun tumhe

yun to bhool jaaoge tum meraa chehraa dur jaake, magar
yaad rahe tumhe der tak, kuch aisaa kar dikhaaun tumhe

ek makaan hai jahaan mein, bas eent paththar kaa banaa
jo hai adhuraa tumhaare binaa, woh ghar dikhaaun tumhe

poochhte ho mujhse hi mere udaasi ki wajah hans hanske
dikhaanaa chaahun dil apnaa kaise magar dikhaaun tumhe

No comments:

Post a Comment