Monday, September 9, 2013

Saaraa zamaanaa bhool gaye

panchhi aasmaano ke ghar kaa thikaana bhool gaye
mor jungle ke ab baarish kaa bahaanaa bhool gaye

shahar huwaa begaanaa hai jab se woh hi dur huwe
apne hi shahar mein hum aanaa jaanaa bhool gaye

band lifaafaa pataa likhke rakhaa thaa jeb mein
usko sahi manzil tak hum pahuchaanaa bhool gaye

manzil thi, do raahi the, thodi si mohabbat thi
aisaa hai haal huwaa, safar puraanaa bhool gaye

dard bahut hotaa hai ab hothon ko failaane mein
ab to yun lagtaa hai hum muskuraanaa bhool gaye

saath kaun nibhaayegaa chhodke aaye hum sab kuch
apni parchhaai bhi apne saath laanaa bhool gaye

ehsaason ke samundar mein kashti apni doobi hai
uske door ho jaane se ghazal banaanaa bhool gaye

ek mohabbat naa hone se kuch bhi humko yaad nahi
aisi apni haalat hai, saaraa zamaanaa bhool gaye

No comments:

Post a Comment