Thursday, September 19, 2013

Pehchaan lijiye

meri aankhon mein hai aks kiskaa pehchaan lijiye
hai kiske dil mein ab thikaanaa, aap jaan lijiye

kiskaa woh chehraa nazar khwaabon mein aataa hai
kabhi aa kar kareeb jaan aap saare armaan lijiye

sach hai aap ki hi saadgi par mar mite hain hum
bas apni deewaangi se aap hamaaraa imaan lijiye

aapse karte hain mohabbat ab khud se bhi zyaadaa
naa maangiye saboot iskaa, meri baat maan lijiye

mere geeton mein hai naam kiskaa, kiskaa hai asar
dekhiye kabhi gaur se unhein aur pehchaan lijiye

jaanaa dil to de chuke hain aur kyaa den aap ko
agar lenaa chaahen kuch aur, hamaari jaan lijiye

No comments:

Post a Comment