Tuesday, September 10, 2013

Maasoom mohabbat ki daastaan

kaagaz ki kashti thi apni, baarish mein pighal gayi
yeh un kaa humar thaa, woh ladkhadaake sambhal gayi

kisi ne aag aisaa lagaayaa, ki kuch naa baaki rahaa
maasoom mohabbat thi apni, woh sholon mein jal gayi

yeh unkaa naseeb thaa jo unhein farsh majboot milaa
chikni to yeh zameen thi, jo pairon tale fisal gayi

harpal unke haseen saath kaa dekhte rahe khwaab hum
thaam ke haath kisi aur kaa, muskuraa ke nikal gayi

dil mein thodaa dard hai bas, kuch hare zakham hain
aansoo ki boondein hain kuch jo aaj ban ghazal gayi

kasoor naa kabhi un kaa thaa, naa kami hum mein thi
woh to kismat thi apni, jo waqt ke saath badal gayi

No comments:

Post a Comment