Saturday, September 21, 2013

Hai mohabbat kahaan

yahaan mohabbat ki koi qadar kahaan
jo dekhe pyaar se, woh nazar kahaan

woh jaayen laut kar jahaan shaam ko
yahaan deewaano kaa koi ghar kahaan

chaahte hain unko khudse bhi badhke
magar is baat ki unko khabar kahaan

kehte hain log, mohabbat ab bhi hai
poochhte hain hum, hai magar kahaan

jisko taraash ke rakhen mandir mein
koi bataade hai woh paththar kahaan

log sunkar jise bas waah waah kahen
hamari ghazal mein woh hunar kahaan

so jaayen bachche chain ki neend ab
maa ki lori mein ab woh asar kahaan

No comments:

Post a Comment