Wednesday, September 11, 2013

Uskaa paighaam aayaa hai

sang hawaaon ke mohabbat kaa paighaam aayaa hai
aaj us ki duwaa ke saath uskaa salaam aayaa hai

main sambhlun yaa khushi se aaj paagal ho jaaun
kai barson baad us kaa khat mere naam aayaa hai

thaa uske intzaar mein aankhen bichhaaye rehtaa
mere intzaar kaa haseen saa koi inaam aayaa hai

thaa pareshaan duur usse us ki haalat jaanne ko
bechain dilko mere barson baad aaraam aayaa hai

main samajh hi nahi paayaa aaj kyaa huwaa mujhe
kyun aansoo in aankhon mein sar-e-aam aayaa hai

No comments:

Post a Comment