Tuesday, September 24, 2013

Woh mujhse pyaar kartaa hai

kaun hai yahaan jo ab mujhpe aetbaar kartaa hai
meraa aks mujhe pehchaanne se inkaar kartaa hai

khanjar liye haathon mein khadaa hai dard meraa
woh mere qatl ke liye meraa intezaar kartaa hai

shikaayat dushmano ki ab karun bhi to kyaa, jab
meraa dost bhi mujhpe pichhe se waar kartaa hai

ek waqt thaa, jab mehfilon mein meraa naam thaa
aaj kal to Hriday har kaam hi bekaar kartaa hai

hasi aajaati hai mere sukhe huwe hothon par bhi
jab koi kehtaa hai, woh mujhse pyaar kartaa hai

No comments:

Post a Comment