Tuesday, September 10, 2013

Mohabbat unki

unki mohabbat rahi bas zamaane ke liye
karib hamaare rahe to aazmaane ke liye

jab bhi kabhi dil todaa kisi ne un kaa
kareeb hamaare aaye muskuraane ke liye

humne samajhne mein bahut der lagaa di
hum khilaunaa the dil behlaane ke liye

aankhen band thi apni, dekh paaye nahi
kareeb aaye hamaare, dur jaane ke liye

zamaane bhar mein koi milaa nahi humko
ek woh hi mile the dil lagaane ke liye

sochaa thaa basaayenge ghar unke sangh
thodi ret de gaye mahal banaane ke liye

kashti aisi di humein jisme chhed thaa
fir madat poori ki use dubaane ke liye

saleekaa achchaa thaa yeh bewafaai kaa
izazat humse li hume thukraane ke liye

zakham itne diye, kyaa kaafi nahi thaa
kasam de gaye woh, bhool jaane ke liye

No comments:

Post a Comment