Monday, September 30, 2013

Aapko paagal kar jaayenge

yeh beqaraari badhaa ke kidhar jaayenge
do kadam hi chal ke aap thahar jaayenge

aazmaa ke dekh lijiye shauk se humein
aankhon ke raste dil mein utar jaayenge

humein aap ki nazron ne paagal banaayaa
ab aapko bhi ab to paagal kar jaayenge
Failaaye par kaise

ghoslon mein aankh naa khuli ho
seekhey woh udne kaa hunar kaise

jo jagah hi naa ho kuch karne ki
parindaa failaaye apne par kaise

jis ped par banaayaa ghoslaa ho
woh kat jaaye to ho basar kaise

jo chidiyaa bhatak gayi raah se
laut  kar jaaye apne ghar kaise
Yaad

kuch to baat hai un aankhon mein
ab bhi khinchte hain apni od
main jaanaa chaahtaa hoon duur
magar yeh bulaate hain apni od

aaj kai tasveeron ke bich
teri ek puraani tasveer mili
woh tasveer jo tu ne diyaa thaa
hamaari pehli mulaaquat mein

us tasveer ko dekh ke
lagaa bas kal ki hi baat thi
jab tu mere kareeb thi
mere haathon mein haath daale
kuch keh rahi thi mujhse

aur main, khoyaa thaa
gehraai mein teri aankhon ke
doobaa huwaa thaa main
bhulaake khud ko
bas tujhe dekh rahaa thaa

haan jaantaa thaa main
kuch keh rahi thi mujhse
magar kyaa maaloom nahi
kahaan hosh thaa mujhe
ki samjhun teri baat main

kab rahaa hai hosh mujhe
jab jab tere kareeb rahaa
khoyaa hi rahaa main
teri nashili aankhon mein

bas tujhe mehsoos hi kiyaa maine
mehektaa rahaa teri khushboo se
khush hotaa rahaa tere hone se
achchaa lagtaa thaa saath teraa

pyaar se woh muskuraanaa teraa
palken jhukaa ke sharmaanaa teraa
kabhi kisi chhoti si baat par
khul kar khilkhilaanaa teraa

bhoolaa nahi hoon main kuch bhi
mujhe teri har baat yaad hai
jab jab milaa thaa main tujhse
mujhe har mulaaquaat yaad hai

tujhe teekhaa bahut pasand thaa
aur mere liye khaana mushkil
apne swaad ko badal ke tu ne
mere swaad ko apnaa banaa liyaa

is tarhaa aur hazaaron baatein
apni woh angeenat mulaaquaatein
phone par baat karte huwe
guzri woh saari raatein

aaj jaise sab kuch fir se
aankhon ke saamne aa gayaa
woh guzraa huwaa kal meraa
aaj mujhe yaad aa gayaaa..........

Aaine se dar lagtaa hai

anjaanaa saa ab yeh shahar lagtaa hai
anjaanaa saa apnaa hi ghar lagtaa hai

bhaagtaa hoon ab apni hi parchhhai se
kyun aaine se ab mujhe dar lagtaa hai

Khafaa khudaa huwaa thaa

unhi raahon pe nazar bichhaaye hoon jahaan tu judaa huwaa thaa
thaa koi khaas meraa jo us din in dhadkano se judaa huwaa thaa
tab se meri aankhon ko talaash hai bas tere hi chehre ki, magar
lagtaa hai tere jaane se mujhse khafaa meraa khudaa huwaa thaa

Tu ulajh jaayegi

ab chuski ek chaai ki
saath mein ho jaaye ji

kab tak bachchon saa
mujh ko samjhaaye gi

kab tambaaku malke tu
haathon se khilaaye gi

hothon se apne meraa
kab bidi tu jalaaye gi

kab aa ke seene se
tu mere lag jaaye gi

yun kab tak rasoi mein
tu roti hi banaaye gi

kahin chulhe mein girke
tu mar to nahi jaaye gi

jo chhod gayaa tujh ko
tu bahut pachhtaaye gi

apne hi uljhano mein
ulajhti reh jaaye gi

ek din sabji ki tarhaa
tu bhi sadd jaaye gi

Sunday, September 29, 2013

Please don't go

when you were about to go
my lips were saying 'yes'
my heart was saying 'no'
Oh my dear! please don't go
Oh my love! please don't go

dreams were with you
my life was with you
how lonely I was without you
i didn't knew how to show
so I was only saying 'no'
Oh my dear! please don't go
Oh my love! please don't go

i was saying were all lies
with tears full in eyes
said I don't love u, but
thought that you would know
i don't wan't to let you go
Oh my love! please don't go
Oh my dear! please don't go

you should have turned around
to see me waiting for you
but you never turned around
leaving me all alone
i know you are far away
but my heart is still saying 'no'
Oh my love! please don't go
Oh my dear! please don't go
Haseen kahaani hai

thodi si shakkar, thodaa paani hai
kuch pyaar ke rang ki nishaani hai

ab aayaa hai chehre par aisaa rang
lagtaa hai koi khwaab aasmaani hai

chhu loon hothon se yaa dekhun bas
koi jaadu hai yaa phir jawaani hai

gaayab naa ho jaaye kareeb aane se
hai haqeeqat yaa haseen kahaani hai
Mohabbat why karti tu

hai meri aankhon par die karti tu
magar hothon se kyun lie karti tu

mar jaataa hoon us style pe tere
jab jaate huwe mujhe bye karti tu

kehti rahi hai everything mujh se
i luv u kehne se bas shy karti tu

main bulaaun tab excuses deti hai
naa milun tujhe, tab cry karti tu

main tere liye hoon mad ho gayaa
mujh se yun mohabbat why karti tu
Mohabbat why karti tu

hai meri aankhon par die karti tu
magar hothon se kyun lie karti tu

mar jaataa hoon us style pe tere
jab jaate huwe mujhe bye karti tu

kehti rahi hai everything mujh se
i luv u kehne se bas shy karti tu

main bulaaun tab excuses deti hai
naa milun tujhe, tab cry karti tu

main tere liye hoon mad ho gayaa
mujh se yun mohabbat why karti tu
I will die

main biscuit hoon, tu chaaye
mix hone mein kyun sharmaaye

baith do ghadi paas mere tu
aakhir kuch to baat ho jaaye

waqt nahi tu ek pal kaa deti
har baar keh ke nikalti .. Hi

kaise tujhe samjhaaun main
jab har baat pe kehti ...why?

yaa to tu sab kuch jaanti hai
yaa sachmuch mein hai tu gaaye

yaa to meri aaj ban jaa tu
yaa in your love i will die

Saturday, September 28, 2013

Jalaa chiraag lete hain

andheron mein jalaa chiraag lete hain
khaane mein sarson kaa saag lete hain

baabu suttaa jalaane ke liye aksar hi
ab padosan ke chulhe se aag lete hain

namak ishaq kaa to bahut chakh chukey
ab to sirf saabun kaa jhaag lete hain

is se zyaadaa naa kuch kar paate, bas
kapdon par lipstick ka daag lete hain

hain chhakke lagaate ab yun baaton se
yuvraj to kabhi ban sehwaag lete hain

ab jab bhi aate hain kisi mehfil mein
apni shaayri se khaa dimaag lete hain

jab jhaadu liye biwi daudaati hai tab
chappal haath mein le bhaag lete hain

Apnaa naam dijiye

meri deewaangi ko kuch inaam dijiye
is mohabbat ko bas apnaa naam dijiye

thak gayee nazrein, aap ko dhund ke
thodaa meri nazron ko aaraam dijiye

pyaasi hain kabse jism aur rooh yeh
hothon kaa mujhe, ab to jaam dijiye

guzaar dun main, baahon mein aap ke
aisi mujhe koi, haseen shaam dijiye

Friday, September 27, 2013

Aafat

jab se woh chhori pataai hai
sar pe aafat si ban aayi hai

pappaa uske hain miltry mein
police mein us kaa bhaai hai

taarif bas bhaai ki hai itni
pooraa kaa pooraa kasaai hai

mere hi pichhe ab dikhaai de
jabse us se woh milwaayi hai

mujhpe hi nazar bas hai uski
jo uskaa padosi woh naai hai

subah hi jaake dus rupaye de
aaj usi se daadi katwaai hai

hai mujhse kehti woh I luv u
yeh sazaa hai yaa rihaai hai

koi bataa de ab kahaan jaaun
aage kuwaan pichhe khaai hai

jaan ke kudaa thaa kuwe mein
maine qabr apni khudwaai hai

kai barson se kunwaaraa hoon
shaadi hai naa hi sagaai hai

kyaa hai mohabbat bataao naa
zeher hai yaa koi dawaai hai

Inaam naa do

badnaam mohabbat ko ab apnaa naam naa do
tum mujhe khushi kaa koi paighaam naa do

aadat pad chuki hai mujhe chot khaane ki
ab mere zakhmon ko yun tum aaraam naa do

udaas saweraa hai, rukhe se din hain sab
lage haseen, mujhe koi aisi shaam naa do

jo hai muqaddar mein, bas wahi meraa hai
is se zyaadaa tum mujhe koi inaam naa do

mumkin nahi hai fir se mohabbat ho jaaye
jo naa kar sakun aisaa mujhe kaam naa do

Thursday, September 26, 2013

Meraa kyaa kasoor huwaa

jabse teraa tution mere ghar se door huwaa
meraa har sapnaa jaise chakhnaachoor huwaa

yun to mujhe interest nahi thaa fruits mein
magar lag rahaa hai ab khattaa angoor huwaa

tune kahaa thaa tujhe seventies pasand hai
isliye Bachchan to kabhi Shashi Kapoor huwaa

twachaa se umar kaa pataa naa chale, isliye
pehle rexonaa thaa, ab to main santoor huwaa

teri mohabbat mein main kyaa kyaa naa banaa
tere liye chamgadarh to kabhi langoor huwaa

jo meraa charming chehraa tujhe pasand nahi
tu hi bataa isme ab meraa kyaa kasoor huwaa

Wednesday, September 25, 2013

Dekhiye

un ki teer-e-nazar dekhiye
chaahaton kaa asar dekhiye

jaane hum ko kyaa ho rahaa
neend nahi raatbhar dekhiye

bheege sharbati honth unke
unki patli si kamar dekhiye

gehre hain kitne nain unke
kabhi unme doobkar dekhiye

pyaar un se kyun naa karen
kamsin si yeh umar dekhiye

unpar dil haarte hain kyun
unkaa hi hai hunar dekhiye

chhoo lenge aasmaan ko bhi
khwaahishon ke par dekhiye

hai khoobsurat yeh zindagi
kareeb unke thahar dekhiye

Tuesday, September 24, 2013

Woh mujhse pyaar kartaa hai

kaun hai yahaan jo ab mujhpe aetbaar kartaa hai
meraa aks mujhe pehchaanne se inkaar kartaa hai

khanjar liye haathon mein khadaa hai dard meraa
woh mere qatl ke liye meraa intezaar kartaa hai

shikaayat dushmano ki ab karun bhi to kyaa, jab
meraa dost bhi mujhpe pichhe se waar kartaa hai

ek waqt thaa, jab mehfilon mein meraa naam thaa
aaj kal to Hriday har kaam hi bekaar kartaa hai

hasi aajaati hai mere sukhe huwe hothon par bhi
jab koi kehtaa hai, woh mujhse pyaar kartaa hai

Monday, September 23, 2013

Ehsaas laayaa hoon

jo dikh gayaa maikhaanaa raaste mein
thahar gayaa thaa bas do pal ke liye

nazar aa gayi unki aankhen wahaan to
ehsaas le aayaa, apni ghazal ke liye


geeli aankhon se unke main thodaa paani laayaa hoon
dhadakte dil se unke saanson ki rawaani laayaa hoon

aur laayaa hoon kuch ehsaas un aankhon se churaa ke
sunaane mehfil mein mohabbat ki kahaani laayaa hoon

jo nashaa sharaab saa un ke sharbati un hothon mein
unke hothon se churaake sharaab puraani laayaa hoon

zulfon ke baadal un ke, jin se baarishein ho jaayen
main unke zulfon se baarish ki nishaani laayaa hoon

husn kaa jaadoo un kaa, aur adaa ki shokhiyaan unki
main unse maang udhaar thodi si jawaani laayaa hoon
Rukh badal lete hain

hum aise raahi hain jo hawaaon ke sangh chal lete hain
jis taraf chali hawaa hum usi taraf hi nikal lete hain

jaante hain pasand nahi un ko hamaaraa chehraa isliye
nazar aa jaayen woh to, apnaa hi rukh badal lete hain

raat hamaare jhopde mein andheraa badhne lagtaa hai jab
apnaa haath jalaate hain hum aur khud bhi jal lete hain

dard badh jaataa hai kabhi, tadaptaa hai jab dil apnaa
bheege ehsaason se apne hum, koi likh ghazal lete hain

kaun sambhaalegaa ab humein, hum kis ko ab apnaa kahen
khud hi ladkhadaate hain ab, khud hi sambhal lete hain

Sunday, September 22, 2013

Nazar aayenge

aawaaz lagaa kar dekhnaa hum tere liye thahar jaayenge
hum tere aks hain, tere hi jism se jude nazar aayenge
kabhi dekhnaa khade ho kar aaine ke saamne tu khud ko
hai yakeen, hum tujhe teri aankhon mein nazar aayenge

haseen raaton mein chhat pe baahen failaaye khadi hogi
ban hawaa tujhe chhoo ke tere kareeb se guzar jaayenge
chaandni raaton mein jab tu dekhegi us chaand ko tab
hum uss chaand se tujhe, tujh ko dekhte nazar aayenge

dekhnaa gaur se kabhi uth_ti samundar ki lehron ko tu
jaanaa hum tujhe un lehron ke paani mein nazar aayenge
tu ho saahil par khadi dekhti mujhe, tujhe chhoone ko
takraake saahil se tootke boondon mein bikhar jaayenge

tere khwaabon mein aake tere neendon ko chhed jaayenge
kholegi aankh to haqeeqat mein har taraf nazar aayenge
hai yeh waadaa hamaaraa ki tujhe itnaa pyaar denge hum
ki tujhe humko chaahne ke liye majboor hum kar jaayenge

Saturday, September 21, 2013

Main kitnaa badal gayaa hoon

tumhaare hone se dekho naa kitnaa badal gayaa hoon
ladkhadaataa thaa pehle, ab main sambhal gayaa hoon
yeh mohabbat nahi hai to kaho naa yeh aur kyaa hai
jo tumhaare hi saanche mein main to dhal gayaa hoon

yeh shaam ki hai laali aur yeh thandi si hawaayein
kuch keh rahi hain mujhse magar kyaa keh rahi hain
main thaa nahi aisaa kabhi jo aaj lag rahaa hoon
hai asar yeh kiskaa, jo main yun badal gayaa hoon

dhadkano ki yeh tezi aur mere dil ki yeh baatein
kuch to hai bahut khaas jo in mein ho rahaa hai
aankhon mein hai khwaab aur hai chehraa kisi kaa
thodi si beqaraari, main thodaa machal rahaa hoon

hai kyaa yeh mohabbat jis mein main jal gayaa hoon
kyun kisi mom ki tarhaa aaj main pighal gayaa hoon
hai dil mein thodi aag, hai bas thodaa saa paani
ufff yeh kaisaa safar hai jis mein nikal gayaa hoon

koi rok lo, koi tok lo, main aage nikal naa jaaun
abhi thodaa jalaa hoon, main pooraa jal naa jaaun
aaj pankh failaa ke main aasmaan chhoonaa chaahun
chhoo lene woh aasmaan zameen par uchhal gayaa hoon

yeh mohabbat nahi hai to kaho naa yeh aur kyaa hai
ab tumhaare hi saanche mein main jo dhal gayaa hoon
ladkhadaataa thaa pehle, ab main sambhal gayaa hoon
tumhaare hone se dekho naa kitnaa badal gayaa hoon
Hai mohabbat kahaan

yahaan mohabbat ki koi qadar kahaan
jo dekhe pyaar se, woh nazar kahaan

woh jaayen laut kar jahaan shaam ko
yahaan deewaano kaa koi ghar kahaan

chaahte hain unko khudse bhi badhke
magar is baat ki unko khabar kahaan

kehte hain log, mohabbat ab bhi hai
poochhte hain hum, hai magar kahaan

jisko taraash ke rakhen mandir mein
koi bataade hai woh paththar kahaan

log sunkar jise bas waah waah kahen
hamari ghazal mein woh hunar kahaan

so jaayen bachche chain ki neend ab
maa ki lori mein ab woh asar kahaan

Hai mohabbat kahaan

yahaan mohabbat ki koi qadar kahaan
jo dekhe pyaar se, woh nazar kahaan

woh jaayen laut kar jahaan shaam ko
yahaan deewaano kaa koi ghar kahaan

chaahte hain unko khudse bhi badhke
magar is baat ki unko khabar kahaan

kehte hain log, mohabbat ab bhi hai
poochhte hain hum, hai magar kahaan

jisko taraash ke rakhen mandir mein
koi bataade hai woh paththar kahaan

log sunkar jise bas waah waah kahen
hamari ghazal mein woh hunar kahaan

so jaayen bachche chain ki neend ab
maa ki lori mein ab woh asar kahaan

Friday, September 20, 2013

Mujhe badnaam kar diyaa

chaahat mein unhone aisaa kaam kar diyaa
deewaano mein khaas meraa naam kar diyaa

kartaa rahaa hoon main subah kaa intzaar
zulfon ne un ke subah ko shaam kar diyaa

bheegi si baarish mein bheege se unke lab
apne labon se pooraa meraa jaam kar diyaa

apne hi ghar mein ab lagtaa nahi hai mann
baahon mein unke khud kaa anjaam kar diyaa

kyaa kahun kisi se ab ki kyaa kiyaa sitam
mujhe mere apno mein hi badnaam kar diyaa

Teraa deedaar mile

thodi si khushi, thodaa saa pyaar mile
bas teri baahon mein mujhe qaraar mile

teri hi khooshboo se mehektaa hoon main
bas teri aankhon mein har aetbaar mile

kahaan koi fariyaad ki maine khudaa se
kab chaahaa duniyaa ki har bahaar mile

kab kahaa ki tu umar bhar kaa saath de
tere saath bitaane ko lamhe chaar mile

bas aankhein kholun subah jab bhi main
tab sirf teraa hi mujh ko deedaar mile

Mash-hoor hone lage hain

hum teri mohabbat mein yun choor hone lage hain
jo thi nahi apni, paa ke magroor hone lage hain

nashaa chadtaa hai jo sharbati teri aankhon kaa
doobne ko unhi mein hum majboor hone lage hain

kisi baat kaa aajkal humein rehta nahi hai hosh
lagtaa hai hum khudse hi ab door hone lage hain

apne khwaabon mein jaane kyaa ho rahe hain hum
dulhan ki saaree, kabhi sindoor hone lage hain

mehfilon mein aksar poochh lete hain haal meraa
ab deewaano mein hum to mash-hoor hone lage hain

Tujhe bhulaayaa hi kab thaa

tujhe  mere  paagal dil  ne bataa  bhulaayaa hi kab thaa
tujh se judaa deewaanaa  sambhal  paayaa  hi kab thaa

jab se teraa saath chhutaa tanhaa saa  ho  gayaa hoon
tere baad kabhi kisi aur ko apnaa banaayaa  hi kab thaa

yaad  teri aati  rahi  guzarte  hawaa  ke  jhaunkon mein
tujhe bhulaanaa  hai, khud ko  samjhaayaa  hi kab thaa

dard hotaa  hai  mohabbat mein yeh main jaantaa thaa
magar jaan  nikal  jaati hai, kisi ne bataayaa hi kab thaa

dhundtaa  rahaa  haath mein tere naam ki rekhaa main
apne haathon mein  naam teraa likhwaayaa hi kab thaa

koshish  to  bahut  ki  kismat  hi apni  badal doon main
magar  apni  kismat koi  khud  likh  paayaa  hi kab thaa

tadaptaa  rahaa  dard se, aansuon  mein  doob ke main
marham mere  zakhmon pe kisi ne  lagaayaa hi kab thaa

andhere is ghar  mein  mere roshni  bhi  ho jaati, magar
koi chiraag mohabbat  kaa  kisi  ne  jalaayaa hi kab thaa

dard  jaisaa  lagtaa  hai   abhi  hothon  ko failaane mein
yeh  'Hriday'  bin  tere  kabhi  muskuraayaa  hi kab thaa

Thursday, September 19, 2013

Pehchaan lijiye

meri aankhon mein hai aks kiskaa pehchaan lijiye
hai kiske dil mein ab thikaanaa, aap jaan lijiye

kiskaa woh chehraa nazar khwaabon mein aataa hai
kabhi aa kar kareeb jaan aap saare armaan lijiye

sach hai aap ki hi saadgi par mar mite hain hum
bas apni deewaangi se aap hamaaraa imaan lijiye

aapse karte hain mohabbat ab khud se bhi zyaadaa
naa maangiye saboot iskaa, meri baat maan lijiye

mere geeton mein hai naam kiskaa, kiskaa hai asar
dekhiye kabhi gaur se unhein aur pehchaan lijiye

jaanaa dil to de chuke hain aur kyaa den aap ko
agar lenaa chaahen kuch aur, hamaari jaan lijiye

Unhe dekhiye

kabhi to unki aankhon kaa kaajal dekhiye
kabhi to unke zulfon kaa baadal dekhiye

kaisaa suroor hai unke moujudgi kaa
yahaan har koi ho rahaa paagal dekhiye

madhosh hone ke liye aur kyaa chaahiye
unkaa saraktaa huwaa aanchal dekhiye

unki sharm-o-hayaa, adaa ki shokhiyaan
apni aankhon se kar rahi qatal dekhiye

yun to kabhi likhne ko likh hi naa sake
bas naam se hi unke banaa ghazal dekhiye

husn naam hai kiskaa, aur ishq kisse ho
khwaab to dekhe kai, par ab asal dekhiye

Dooriyaan rahi

kabhi meri to kabhi teri majbooriyaan rahi
darmiyaan hum dono ke sirf dooriyaan rahi

haqeeqat mein to kabhi tujhe paa naa sake
bas bajti kaano mein teri choodiyaan rahi

Wednesday, September 18, 2013

Kisi ne apnaayaa nahi

koi thaa nahi apnaa, kisi ne apnaayaa bhi nahi
jise apnaa samjhaa, woh samajh paayaa bhi nahi

bahut andheraa hai yahaan, roshni kaise hogi
koi chiraag maine ghar mein jalaayaa bhi nahi

poochhaa aaine ne mujhse, mere ghum kaa sabab
sach aaine ko kabhi maine, bataayaa bhi nahi

kaisaa hotaa hai ehsaas seene se lagaane kaa
barson se kisi ko seene se lagaayaa bhi nahi

shaayad bhool chukaa hoon matlab mohabbat kaa
arse se mohabbat par ghazal banaayaa bhi nahi

bataao naa kaisaa lagtaa hai muskuraane mein
yeh 'Hriday' sadiyon se muskuraayaa bhi nahi

Tu ne seene se lagaayaa thaa

ek bas tu hi thi, jisne mujhe seene se lagaayaa thaa
teraa hi chehraa dekh, yeh 'Hriday' muskuraayaa thaa

jab gher rakhaa thaa mujhe gham ke ghane andheron ne
tab tune hi pyaar se jeene kaa matlab sikhaayaa thaa

jab sooraj ki roshni bhi kam thi in andheron ke liye
woh chiraag jis se roshni hui woh tune jalaayaa thaa

jab chhat se mujhpar baarish ki boondein tapakti thi
tab tune hi mujhpar apnaa aanchal woh lehraayaa thaa

jab kashti meri fasi thi bich samundar toofaano mein
use saahil tak laane ko tune hi saath nibhaayaa thaa

naa ummeed thi kuch jeene ki, naa hi koi khwaaish thi
khaamosh si zindagi mein aawaaz ban kar tu aayaa thaa

jab thak chukaa thaa main apni zindagi se haar maanke
zindagi khoobsoorat hai, yeh tune hi samjhaayaa thaa

Yun naa sharmaaiye

dekh kar hamaari tasveer aap yun naa sharmaaiye
chehre ko zulfon mein chhipaake naa muskuraaiye

kaantaa chubh jaataa hai dil mein in adaanon se
apni hasi adaaon se humein aap yun naa jalaaiye

honey lagaa hai asar hum par ab aap ke ishq kaa
aap kar ke beqaraar dil ko mere nahi dur jaaiye

naa dekhiye ab pyaar se hamaare chehre ko sanam
badh jaataa hai dard dil kaa, yun naa tadpaaiye

naa sochaa thaa ishq mein kabhi mar mitenge hum
ab kaise huwaa hai ishq humein, aake samjhaaiye

Mohabbat

doon isti khushi tujhe kabhi kam naa ho
tere zindagi mein kabhi koi ghum naa ho

doon itni mohabbat ki tujhe yaad rahe
chaahe zindaa rahe hum, yaa hum naa ho

Thodi barsaat kijiye

khol dijiye zulfen thodi barsaat kijiye
mohabbat se haseen meri har raat kijiye

naa rahiye chup chup ab yun mere saamne
khol sharm kaa pardaa thodi baat kijiye

labon ko apne mere labon par rakh sanam
aake karib saanson se mulaaquaat kijiye

bas itnaa karo to khush ho jaayenge hum
ishq aap hafte mein din bas saat kijiye

naa koi bandishein naa koi rok ho kahin
aazaad ab to aap, dil ke jasbaat kijiye

chiraag ek jalaa dijiye roshani ke liye
roshan mohabbat se shahar-e-zaat kijiye
Mohabbat chhipaaun kaise

raaz aankhon kaa ab main chhipaaun kaise
hai mohabbat mujhe, par ab bataaun kaise

unke hothon ki laali, woh kaano ki baali
unkaa masoom saa chehraa, bhulaaun kaise

zulfon ke pichhe, woh chehraa chhipaanaa
woh unki sharaarat, ab bhool jaaun kaise

maane naa kehnaa, naa ek pal kaa chainaa
ab paagal is dilko, main samjhaaun kaise

baaton mein hain, ehsaason mein hain woh
main ghazal koi binaa unke banaaun kaise

uuufffff woh adaa unki, haaye hayaa unki
sharbati un aankhon se nikal paaun kaise

Tuesday, September 17, 2013

Baaki hai

thahar jaao kuch pal, ki abhi mulaquaat baaki hai
naa jaao chhodke mujhe, abhi to barsaat baaki hai

khol do zulfen ki thodi aur baarish ho jaaye inse
dhali hai shaam bas, abhi to poori raat baaki hai

geele labon ko, labon se apne aur haseen kar doon
abhi to labon se labon ki bahut si baat baaki hai

kyun jaldi hai tumhe jaane ki, kuch der ruk jaao
bas chaand hai, aani sitaaron ki baaraat baaki hai

Kahaan nazar jaaye

yun tumhaari mohabbat kaa ho asar jaanaa
ho zindagi tum se, tumhi par mar jaanaa



tumse hat ke kahaan meri yeh nazar jaaye
mud mud ke ab to yeh bas tumhi par jaaye

jis par nashaa chadhaa ho mohabbat kaa
woh deewaanaa ab kaise apne ghar jaaye

hai shabnami hothon ki laali bhi zaalim
ek baar chhoone ko har koi thahar jaaye

sharbati aankhon kaa jaadu kyaa bataaun
koi chor bhi dekhe to woh sudhar jaaye

dard hotaa hai ishq mein yeh jaante hain
do zakham tum aisaa, deewaanaa mar jaaye

tum ko hi paa ke, sab kuch paa liaa hai
tumse judaa ho ke 'Hriday' kidhar jaaye

Monday, September 16, 2013

Dil yeh bahal jaaye

kabhi yeh fisal jaaye
kabhi to sambhal jaaye

dekh teri hasi ko bas
dil apnaa bahal jaaye

bheege hothon ko dekh
dil apnaa machal jaaye

leke tujhe baahon mein
jism yeh pighal jaaye

doob teri aankhon mein
raat yeh nikal jaaye

shamaa ki mohabbat mein
parwaanaa jal jaaye

baithi rahe saamne tu
ban haseen ghazal jaaye

ho thodi baarish, fir
mausam bhi badal jaaye

Meri aankhon mein utar jaao

bhar len tumhe baahon mein ki toot ke bikhar jaao
chhoo len tumhe is tarhaa tum aur bhi nikhar jaao

tumhaari husn-o-adaa se hum, sharm-o-hayaa se hum
diwaane ho jaayen, hamaari aankhon mein utar jaao

abhi to baarish hai, tumhe aur kareeb aanaa hogaa
tumhe dekh len thik se hum, pal do pal thahar jaao

jaanaa hulchul jo hoti hai paani mein paththar se
mere tan man mein tum, kuch aisi hulchul kar jaao

tasveer tumhaari humne dil mein apne banaa li hai
ek baar tum aakar, usme chaahat kaa rang bhar jaao

'Hriday' diwaanaa hai, bas yahi tum se kehtaa hai
paagal to hain hi hum, aakar aur zyaadaa kar jaao

Hasrat

ek hasrat hai dekhun muskuraataa huwaa chehraa tumhaaraa
dekh lungaa mere liye nafrat hai kitnaa gehraa tumhaaraa

jab bhi dekhaa tumhe, tadaptaa hi dekhaa hai mere kareeb
woh kaun shaqs hai jiske liye mohabbat thehraa tumhaaraa
 

Sunday, September 15, 2013

Ghazal

koi phool, tum kamal ho, koi tumhe kyaa banaayegaa
poori tum ghazal ho, jo 'Hriday' bas gungunaayegaa

Khoobsurat saa pal dekhaa

khoobsurat saa maine pal dekhaa
khwaab haseen maine kal dekhaa

kal titliyon ne bhi rang badlaa
parindon ko karte chahal dekhaa

kal bantaa huwaa mohabbat mein
maine apnaa hi taj mahal dekhaa

main chhoo lene ko daudaa thaa
jab udtaa huwaa aanchal dekhaa

ab bheeg jaaun bas baarish mein
maine ambar mein baadal dekhaa

un rang bhari teri aankhon mein
maine aankhon kaa kaajal dekhaa

bheege huwe se lab tere, jaise
paani mein khilaa kamal dekhaa

kaagaz kalam liye baithun agar
kuch bante nahi aaj kal dekhaa

par jahaan bhi teraa naam aayaa
to bante haasil-e-ghazal dekhaa

Chaai

apne haathon ki bani chaai, mazaa hi kuch aur hai

chini to hai
magar mithaas nahi

peenaa to hai
magar pyaas nahi

achchi bani hai
magar kuch khaas nahi

jise dhundtaa hoon
abhi mere paas nahi

akelaa hoon
magar udaas nahi....

Ehsaas ho tum

saanson mein baste ho, saans ho tum
dil mein chhipe mere, ehsaas ho tum

aankhon mein tumhaare sharaab itnaa
kabhi bujhti nahi, woh pyaas ho tum

kahin dhundne tumhe main kyun jaaun
main jaantaa hoon, mere paas ho tum

bechain ho koi, bas tum dikh jaanaa
jo dil ko sukun de, woh raas ho tum

taazgi geeton mein naam se tumhaare
likhun koi ghazal to mithaas ho tum

tum kyaa ho mere liye kaise bataaun
main sant hoon agar, sanyaas ho tum

Meri mohabbat pasand aaye

kabhi thodi si khushi mile, kabhi thodaa saa hi pyaar ho
kabhi thodaa saa inkaar rahe, kabhi thodaa saa iqraar ho

rab se kahaan kuch maangaa maine, tum se hi sab kuch hai
bas tum hi raho mere saamne, aur tumhaaraa hi deedaar ho

shabnam ki boonden hothon par, aankhon mein kaajal rahe
dekhti rahe duniyaa saari kuch is tarhaa se shringaar ho

kuch bhi naa ho aage pichhe, kisi kaa kabhi naa dar rahe
dekhti raho meri aankhon mein, aar unpe tumhe aetbaar ho

kuch aisaa asar ho aankhon mein, raho kareeb mere harpal
mohabbat meri pasand aaye, mujhi se mohabbat har baar ho

Judaai

naa tum hi mere paas the, naa hum tumhaare paas rahe
kisse hamaare ishq ke zamaane bhar mein mashoor rahe
Talaash

meraa aks meri talaash mein pooraa shahar ghumtaa rahaa
khat jispar naam meraa thaa woh meraa ghar dhundtaa rahaa
Mohabbat

baarish ko zameen par kabhi girte dekhaa thaa
pyaas badhi to maine zameen ko hi chuum liyaa

Saturday, September 14, 2013

Hum mohabbat karne lage hain

dekh un ki tasveer aaj firse armaan machalne lage hain
kyaa huwaa jo kabhi girne to kabhi sambhalne lage hain

aankhon se hain baat karen woh, lab unke khaamosh rahe
abtak aisaa huwaa nahi, kyun aaj hum fisalne lage hain

uff yeh baarish kaa mausam, aur boondein mere jism par

kyaa huwaa aisaa aaj bheeg kar bhi hum jalne lage hain

hain koshish to bahut kar rahe, khud ko sambhaalen hum
magar hamaare kadam aaj, jaane kahaan chalne lage hain

shabd sab bikhre pade the, kahin koi bhi mel nahi thaa
ehsaas mere ab dekho naa ghazal mein badalne lage hain

log kehne lage deewaanaa aisaa apnaa ab haal huwaa hai
bikhre huwe baalon ko leke raahon pe nikalne lage hain

baahon mein bharke use hum, jee bharke bas pyaar karen
khwaab haseen mohabbat ke dil mein apne palne lage hain

uff yeh baarish kaa paani, thandi thandi hawaayein yeh
aasmaan ko chhoone ko hum zameen pe uchhalne lage hain

pehle yahi sochaa karte the, mohabbat nahi karenge hum
ab unki mohabbat mein mom ki tarhaa pighalne lage hain

Kyun use tabaah kiyaa

mehfil mein ab sunaaun kyaa, sur hai naa hi saaz hai
aasmaan tak pahuchun kaise, bandhan mein parwaaz hai

jab sunaa maine, tumhe hamaare rishte se aetraaz hai
sochaa maine, shaayad meraa yaar mujhi se naraaz hai

tum baar baar rooth ke kuch dino mein maan jaati thi
shaayad yeh bhi koi tumhaaraa roothne kaa andaaz hai

hosh mein main thaa nahi, jab tumne mujhse naa kahaa
kal dobaaraa haan kahogi, yeh raat bhar kaa raaz hai

jab alvidaa tumne kahaa mujhe jaate huwe aakhri baar
samajh hi naa paayaa ek nayi zindagi kaa aaghaaz hai

kyaa kahun main safaai mein, jo kiyaa woh kyun kiyaa
ab qaid kisi pinjre mein meraa shaayad har alfaaz hai

jisko thaa tu ne dil diyaa, usi ko kyun tabaah kiyaa
mere dil se raat raat bhar, sirf aati yahi aawaaz hai

Friday, September 13, 2013

Deewaanaa kidhar jaaye

tujhe bhulaane se pehle toot kar bikhar jaaye
kisi aur ko chaahnaa ho to 'Hriday' mar jaaye

geeli aankhon se aansuon ko tere chheen kar
deewaanaa khushi jeewan mein tere bhar jaaye

de itni mohabbat tujhe ki kabhi kam naa pade
tu mohabbat ke hi rang se jaanaa sanwar jaaye

tu chaand hai jis par kahin koi daag hi nahi
paa ke meri mohabbat, tu aur bhi nikhar jaaye

koi saadhu kabhi guzre tere ghar ke kareeb se
bas ek jhalak ke liye woh do pal thahar jaaye

jise aadat si pad chuki hai ab tere pyaar ki
tu hi bataa tujhse judaa hoke ab kidhar jaaye
Dastoor zamaane kaa

sadiyon se zamaane kaa yahi dastoor rahaa
kisi ne qatl kiyaa, kisi kaa kasoor rahaa

mahalon kaa khwaab to dekhaa gareeb ne bhi
magar haalaat ke haathon woh majboor rahaa

nahi fursat thi, kisi ko khaanaa khilaaye
raees daulat ke nashe mein hi choor rahaa

sirf mehnat ke dum par kyaa kartaa bhalaa
betaa majdoor kaa bhi aksar majdoor rahaa

jis bete ko seene se lagaa ke badaa kiyaa
woh betaa hi maa baap se bahut door rahaa

bas meri hi ghazal thi jise thokrein mili
warnaa har shaayar yahaan mash-hoor rahaa

jo maa ki mamtaa ko kabhi samjhaa hi nahi
aisaa betaa maa ki aankhon kaa noor rahaa
Samjhaanaa zaroor

bhoole se hi sahi, kabhi mere kabar par aanaa zaroor
achchaa huwaa chalaa gayaa, keh ke muskuraanaa zaroor

jo gulaab maine tumhe diyaa thaa pehli mulaquaat mein
use laa kar kabhi mere hi kabar par chadhaanaa zaroor

meri mohabbat kamzor thi, jo haar gayi bich safar hi
kitni khush ho jeet ke, apni khushi dikhaanaa zaroor

kyun meri har ek koshish ko thukraa diyaa thaa tumne
kyaa kami thi mujh mein, ek baar tum bataanaa zaroor

jis se qatal huwaa meraa, woh aaj bhi saath hai mere
woh khanjar tumhaaraa thaa, use aake le jaanaa zaroor

main hi woh khilaunaa thaa jo pasand nahi thaa tumhe
kyun chunaa thaa tumne mujhe, kabhi samjhaanaa zaroor

Mujhe ilzaam naa do

pyaar ko mere yun ilzaam naa do
ab mujhe tum bewafaa naam naa do

akelaa hoon bahut tumhaare binaa
ab tanhaa mujhe koi shaam naa do

ro sakun, naa main hans hi sakun
is tarhaa kaa mujhe inaam naa do

main toot ke fir se bikhar jaaun
aisaa abhi koi tum anjaam naa do

meri mohabbat ko jhoot naa kaho
ji naa sakun yun paighaam naa do

mohabbat to anmol hai mere liye
itnaa bhi kam iskaa daam naa do

Soonaa jahaan lagtaa hai

soonaa soonaa saa yeh jahaan lagtaa hai
khaali khaali saa woh aasmaan lagtaa hai

dar lagtaa hai ab apni hi parchhaayi se
ghar khud kaa hi ab shamshaan lagtaa hai

poochhte hai saathi sab yeh aksar mujhse
kyun aajkal tu itnaa pareshaan lagtaa hai

kis se kahun jaake main dil ki baat apne
mujhe har shaqs hi ab anjaan lagtaa hai

itnaa tootaa hoon main sapno ki tarhaa
ab zindaa hi nahi koi armaan lagtaa hai

bharosaa naa karnaa meri baaton par ab
biktaa huwaa saa meraa imaan lagtaa hai

jisne kabhi mohabbat ki poojaa bhi ki thi
woh insaan bhi ab to shaitaan lagtaa hai

Aasaan nahi

apne aansuon ko rok kar muskuraanaa aasaan nahi
dard aisi cheez hai jise chhipaanaa aasaan nahi

tumne to yeh keh diyaa ki hum hi gunehgaar hain
kisi se mohabbat karke bhool jaanaa aasaan nahi

waadaa to bas waadaa hai, ek aur kar lete hain
todnaa aasaan hai, magar nibhaanaa aasaan nahi

hum tumhe naa chaahenge, bhool jaayenge tumhe
kehnaa to aasaan hai, par bhulaanaa aasaan nahi

Thursday, September 12, 2013

Mujhko bhool jaanaa tum

apne is deewaane par bas yeh ehsaan kar jaanaa tum
jab jaan jaa rahi ho is ki aansoo naa bahaanaa tum

chitaa par jab meri laash ho aag lag jaane se pehle
sadaa ke liye alwidaa kehne mere paas naa aanaa tum

bhool jaanaa koi shaqs thaa jise tumse mohabbat thi
apne aansuon ko mitaa ke har lamhaa muskuraanaa tum

ek roz chalte chalte tumhe koi aur bhi mil jaayegaa
woh tumhe bas pyaar degaa, tab usi ke ho jaanaa tum

chaahat meri jo tumse hai kabhi khatam naa ho paaye
tumse main itnaa kahungaa, mujh ko bhool jaanaa tum
Apnaa hunar hum dikhaayenge

apni kaabiliyat aur apnaa hunar hum dikhaayenge
apni mohabbat kaa tujh par asar hum dikhaayenge

dooriyaan darmiyaan hamaare dur is tarhaa se ho
do jism ko badal ek jaan ab kar hum dikhaayenge

jahaan phool khile ho mohabbat ke har dishaa mein
tujhe khoobsoorat saa woh shahar hum dikhaayenge

jiski har deewaar saji hai teri hi tasveeron se
saath tujhe leke apnaa woh ghar hum dikhaayenge

tu maane chaahe naa maane meri baat meri jaanaa
tujhko dil cheer ke apnaa magar hum dikhaayenge
Tumhe yaad karte hain

hum kuch is tarhaa se apnaa jahaan aabaad karte hain
baahon mein bhar ke use hum tumhi ko yaad karte hain

jaante to hain hum bhi ki jaan ho tum ab kisi aur ki
tab bhi hum tumhaare khushiyon ki fariyaad karte hain

bhulaa ke apne aap ko ab hawaaon sang behte hain hum
kuch is tarhaa se hum abhi khud ko barbaad karte hain

jab tak tum kareeb the samajh naa paaye the yeh baat
bahut yaad tumhe ab tumhaare jaane ke baad karte hain

ashkon ki maalaa se apne geeton ko hain sajaate hum 
mehfilon ko unhi geeton se ab hum aabaad karte hain

angaaron par chalte hain hum aaj kal nange pairon se
khud ko zakhmi karne ke tareeke naye izaad karte hain

dil mein  jo chhipi  tasveer  hai  woh aaj  bhi  tumhaari hai
tumhe kyaa bataayen kitnaa tumhe hum yaad karte hain
Mohabbat kaa asar dikhaaun tumhe

jis mein aks dikhe tumhaaraa, woh nazar dikhaaun tumhe
kar de deewaanaa, woh mohabbat kaa asar dikhaaun tumhe

yun to khooshboo phoolon ki hai har dishaa mein, magar
jo mehektaa hai tumhi se aao woh shahar dikhaaun tumhe

pighlaade kisi paththar ko bhi junoon meri mohabbat kaa
lag jaao mere seene se, apnaa yeh hunar dikhaaun tumhe

yun to bhool jaaoge tum meraa chehraa dur jaake, magar
yaad rahe tumhe der tak, kuch aisaa kar dikhaaun tumhe

ek makaan hai jahaan mein, bas eent paththar kaa banaa
jo hai adhuraa tumhaare binaa, woh ghar dikhaaun tumhe

poochhte ho mujhse hi mere udaasi ki wajah hans hanske
dikhaanaa chaahun dil apnaa kaise magar dikhaaun tumhe

Wednesday, September 11, 2013

Uskaa paighaam aayaa hai

sang hawaaon ke mohabbat kaa paighaam aayaa hai
aaj us ki duwaa ke saath uskaa salaam aayaa hai

main sambhlun yaa khushi se aaj paagal ho jaaun
kai barson baad us kaa khat mere naam aayaa hai

thaa uske intzaar mein aankhen bichhaaye rehtaa
mere intzaar kaa haseen saa koi inaam aayaa hai

thaa pareshaan duur usse us ki haalat jaanne ko
bechain dilko mere barson baad aaraam aayaa hai

main samajh hi nahi paayaa aaj kyaa huwaa mujhe
kyun aansoo in aankhon mein sar-e-aam aayaa hai

Tuesday, September 10, 2013

Maasoom mohabbat ki daastaan

kaagaz ki kashti thi apni, baarish mein pighal gayi
yeh un kaa humar thaa, woh ladkhadaake sambhal gayi

kisi ne aag aisaa lagaayaa, ki kuch naa baaki rahaa
maasoom mohabbat thi apni, woh sholon mein jal gayi

yeh unkaa naseeb thaa jo unhein farsh majboot milaa
chikni to yeh zameen thi, jo pairon tale fisal gayi

harpal unke haseen saath kaa dekhte rahe khwaab hum
thaam ke haath kisi aur kaa, muskuraa ke nikal gayi

dil mein thodaa dard hai bas, kuch hare zakham hain
aansoo ki boondein hain kuch jo aaj ban ghazal gayi

kasoor naa kabhi un kaa thaa, naa kami hum mein thi
woh to kismat thi apni, jo waqt ke saath badal gayi

Bade kharaab ho tum

aankhon mein sajaayaa jise woh khwaab ho tum
mere har ek sawaal kaa aaj bhi jawaab ho tum

sambhaal rakhaa hai tumhaari yaadon ko maine
mohabbat ki nishaani koi, laal gulaab ho tum

woh roshni ho jo raat kaa andheraa duur kare
subah aaj bhi meri tumse hai, aaftaab ho tum

nashaa sharaab mein nahi un aankhon mein hai
asar naa kam ho der tak, aisi sharaab ho tum

haseen koi ehsaas ho, jo dilon mein baste ho
gungunaaun main, ghazal koi laajawaab ho tum

kab kahaa maine ki mujhe tumse shikaayat hai
karte nahi yakeen meraa, bade kharaab ho tum
Is tarhaa use bhulaataa hoon

khwaab aankhon mein sajaake kho jaataa hoon
muskuraake apni palkon ko bhigo jaataa hoon
aksar rehtaa nahi hosh mujhe apne safar kaa
jidhar chali hawaa udhar kaa ho jaataa hoon

agar kabhi tanhaa apne kamre mein hotaa hoon
takiye ko seene se lagaa kar main sotaa hoon
agar hai nahi mohabbat tab yeh haal kyun hai
kyun aansuon se main takiye ko bhigotaa hoon

dard jab bhi hadd se zyaadaa badh jaataa hai
dekh uski tasveer main dil ko behlaataa hoon
likh letaa hoon geet koi main usi ke naam se
jaa ke wahi geet mehfilon mein sunaataa hoon

koi poochh le agar kabhi mere ghum kaa sabab
hai bas mohabbat main itnaa hi bataataa hoon
muh fer letaa hoon kuch der us ki tasveer se
kuch is tarhaa main us ko roz bhulaataa hoon
Adhuri khushi

kareeb ho  ke  bhi  darmiyaan   apne  doori rahi
kabhi  meri  to  kabhi    tumhaari  majboori rahi

dekhaa koi khwaab agar to woh pooraa huwaa
magar  ek  mohabbat  thi   apni  jo adhoori rahi

tumhaari  yaad   ne  hi  raaton  ko roshan kiyaa
tumhaare  ehsaas  se   har  shaam  sindoori rahi

kuch  to  baaki  rahaa  tum  bin in geeton mein
ek   tumhaare  naam  se  meri  ghazal poori rahi

tairti   rahi  kashti   apni   bich  samundar  mein
laakh   koshish   par   bhi   saahil   se  doori rahi

shikaayat  thi  shaayad  koi  khudaa  ko hum se 
khushi   kabhi   mili  jab   humein,  adhoori  rahi

Woh mohabbat hai

jab koi duur rehkar bhi paas lage, tab woh mohabbat hai
saare rishton mein koi khaas lage, tab woh mohabbat hai

haseen mausam mein khushi se bharaa ho yeh jahaan saaraa
kisi ke naa hone se dil udaas lage, tab woh mohabbat hai

jab karwaahat ho har taraf, kisi ko kisi ki kadar naa ho
jiski moujudgi se bas mithaas lage, tab woh mohabbat hai

bheegi si baarish mein jab kisi khaas shaqs ki kami lage
us ko paane ke liye gar pyaas jage, tab woh mohabbat hai

tanhaayi mein baith kar kabhi, kisi khaas chehre ke liye
dil mein khoobsoorat se ehsaas jage, tab woh mohabbat hai
Mohabbat unki

unki mohabbat rahi bas zamaane ke liye
karib hamaare rahe to aazmaane ke liye

jab bhi kabhi dil todaa kisi ne un kaa
kareeb hamaare aaye muskuraane ke liye

humne samajhne mein bahut der lagaa di
hum khilaunaa the dil behlaane ke liye

aankhen band thi apni, dekh paaye nahi
kareeb aaye hamaare, dur jaane ke liye

zamaane bhar mein koi milaa nahi humko
ek woh hi mile the dil lagaane ke liye

sochaa thaa basaayenge ghar unke sangh
thodi ret de gaye mahal banaane ke liye

kashti aisi di humein jisme chhed thaa
fir madat poori ki use dubaane ke liye

saleekaa achchaa thaa yeh bewafaai kaa
izazat humse li hume thukraane ke liye

zakham itne diye, kyaa kaafi nahi thaa
kasam de gaye woh, bhool jaane ke liye
Mohabbat unki

unki mohabbat rahi bas zamaane ke liye
karib hamaare rahe to aazmaane ke liye

jab bhi kabhi dil todaa kisi ne un kaa
kareeb hamaare aaye muskuraane ke liye

humne samajhne mein bahut der lagaa di
hum khilaunaa the dil behlaane ke liye

aankhen band thi apni, dekh paaye nahi
kareeb aaye hamaare, dur jaane ke liye

zamaane bhar mein koi milaa nahi humko
ek woh hi mile the dil lagaane ke liye

sochaa thaa basaayenge ghar unke sangh
thodi ret de gaye mahal banaane ke liye

kashti aisi di humein jisme chhed thaa
fir madat poori ki use dubaane ke liye

saleekaa achchaa thaa yeh bewafaai kaa
izazat humse li hume thukraane ke liye

zakham itne diye, kyaa kaafi nahi thaa
kasam de gaye woh, bhool jaane ke liye
Mohabbat unki

unki mohabbat rahi bas zamaane ke liye
karib hamaare rahe to aazmaane ke liye

jab bhi kabhi dil todaa kisi ne un kaa
kareeb hamaare aaye muskuraane ke liye

humne samajhne mein bahut der lagaa di
hum khilaunaa the dil behlaane ke liye

aankhen band thi apni, dekh paaye nahi
kareeb aaye hamaare, dur jaane ke liye

zamaane bhar mein koi milaa nahi humko
ek woh hi mile the dil lagaane ke liye

sochaa thaa basaayenge ghar unke sangh
thodi ret de gaye mahal banaane ke liye

kashti aisi di humein jisme chhed thaa
fir madat poori ki use dubaane ke liye

saleekaa achchaa thaa yeh bewafaai kaa
izazat humse li hume thukraane ke liye

zakham itne diye, kyaa kaafi nahi thaa
kasam de gaye woh, bhool jaane ke liye
Mujhe aazmaate ho

khud hi rulaate ho tum, khud hi hasaate ho
zakhm dete ho pehle, fir marham lagaate ho

yeh kaisi mohabbat hai tumhaari bataao naa
tadpaate ho, to kabhi raahat pahuchaate ho

ghum itnaa dete ho, bas andheraa reh jaaye
fir roshni karne ko tum chiraag jalaate ho

hai agar mohabbat to mujhse tum bataao naa
kyuun dil ki baat apne dil mein dabaate ho

rehte ho yun dur dur mujhse tum jaane kyun
hai koi yeh khel yaa fir mujhe aazmaate ho

Bataayen kaise

us taraf kadam ab hum badhaayen kaise
unki galiyon mein ab hum jaayen kaise

darte hain ki ishq naa ho jaaye firse
magar apne dilko hum samjhaayen kaise

saanson ka bandhan hai unki saanson se
apni saanson ko ab hum bhulaayen kaise

ek waadaa thaa ki naa milenge dobaaraa
apne waade ko ab hum bhool jaayen kaise

ragon mein lahu ban ke behte hain woh
unse khud ko judaa ab kar paayen kaise

meri har dhadkan ko unse mohabbat hai
magar yeh baat unse hum bataayen kaise

Monday, September 9, 2013

Saaraa zamaanaa bhool gaye

panchhi aasmaano ke ghar kaa thikaana bhool gaye
mor jungle ke ab baarish kaa bahaanaa bhool gaye

shahar huwaa begaanaa hai jab se woh hi dur huwe
apne hi shahar mein hum aanaa jaanaa bhool gaye

band lifaafaa pataa likhke rakhaa thaa jeb mein
usko sahi manzil tak hum pahuchaanaa bhool gaye

manzil thi, do raahi the, thodi si mohabbat thi
aisaa hai haal huwaa, safar puraanaa bhool gaye

dard bahut hotaa hai ab hothon ko failaane mein
ab to yun lagtaa hai hum muskuraanaa bhool gaye

saath kaun nibhaayegaa chhodke aaye hum sab kuch
apni parchhaai bhi apne saath laanaa bhool gaye

ehsaason ke samundar mein kashti apni doobi hai
uske door ho jaane se ghazal banaanaa bhool gaye

ek mohabbat naa hone se kuch bhi humko yaad nahi
aisi apni haalat hai, saaraa zamaanaa bhool gaye
Saaraa zamaanaa bhool gaye

panchhi aasmaano ke ghar kaa thikaana bhool gaye
mor jungle ke ab baarish kaa bahaanaa bhool gaye

shahar huwaa begaanaa hai jab se woh hi dur huwe
apne hi shahar mein hum aanaa jaanaa bhool gaye

band lifaafaa pataa likhke rakhaa thaa jeb mein
usko sahi manzil tak hum pahuchaanaa bhool gaye

manzil thi, do raahi the, thodi si mohabbat thi
aisaa hai haal huwaa, safar puraanaa bhool gaye

dard bahut hotaa hai ab hothon ko failaane mein
ab to yun lagtaa hai hum muskuraanaa bhool gaye

saath kaun nibhaayegaa chhodke aaye hum sab kuch
apni parchhaai bhi apne saath laanaa bhool gaye

ehsaason ke samundar mein kashti apni doobi hai
uske door ho jaane se ghazal banaanaa bhool gaye

ek mohabbat naa hone se kuch bhi humko yaad nahi
aisi apni haalat hai, saaraa zamaanaa bhool gaye
Aapko bhi mohabbat hai naa

meri tarhaa aapke bhi armaan machalte honge naa
aap bhi kai baar gir gir ke sambhalte honge naa

kho jaate honge kai baar anjaane khayaalon mein
khoke unmein anjaane raahon pe chalte honge naa

kitni baar aag lag jaati hogi jaadon mein aapko
uss aag se sardiyon mein aap pighalte honge naa

jo shaqs raat mein aake aapki neend udaataa hai
dhundne us ajnabi ko kabhi to nikalte honge naa

silvatein chaddar ki gawaah hain har ek baat ki
use yaad kar aap bhi karwatein badalte honge naa

geeli aankhein aap ki khol rahi hain saare raaz
ehsaas chaahat ke aapke dil mein palte honge naa
Main so jaaungaa

abhi baaki hai raat, aur thodaa dhal jaane do main so jaaungaa
abhi baaki hai dard, kaagaz par nikal jaane do main so jaaungaa

abhi to pi bhi nahi hai sharaab, magar nashaa saa ho rahaa hai
behosh hoon main abhi, thodaa sambhal jaane do main so jaaungaa

aansoo aankhon se mere jaane kahaan gum hain, koi bataa de mujhe
main abhi paththar hoon, thodaa pighal jaane do main so jaaungaa

abhi to meraa ji bhi nahi bharaa mohabbat se, kaise so jaaun main
parwaane ko shamaa mein thodaa aur jal jaane do main so jaaungaa

band kar lun aankhen to ek usi kaa chehraa mujhe nazaar aataa hai
mujhse thodaa duur woh guzraa huwaa kal jaane do main so jaaungaa

bahut bhaari bhaari saa lagtaa hai dil par, dard uski judaai kaa
dard ko aaj mere, ban koi haseen ghazal jaane do main so jaaungaa

bahut shor hai abhi behti hui in hawaaon mein, jaane kab shaant ho
abhi toofaan hai, mausam ko thodaa badal jaane do main so jaaungaa

Sunday, September 8, 2013

Ek teraa deewaanaa thaa

teri bewafaai kaa yeh achchaa bahaanaa thaa
qatl tune kiyaa aur gunehgaar zamaanaa thaa

meri laash par aa ke phool chadhaanaa teraa
hai mohabbat abhi, bas itnaa dikhaanaa thaa

dard, dagaa, zakhm aur bachi thi raakh thodi
inhi se bannaa mere chaahat ka afsaanaa thaa

sadak par jis phool ko kuchal ke gayi thi tu
meraa tujh ko diyaa woh gulaab puraanaa thaa

teri doli saji thi jaane ko tere ghar se jab
tujhe jaate huwe dekh mujhe muskuraanaa thaa

naakaam mohabbat ki koi daastaan likhun main
shayad isi liye mere kareeb teraa aanaa thaa

waastaa diyaa thaa tu ne apne hi rishton kaa
magar shaayad tujhe hi mujhse dur jaanaa thaa

dhuwaan saa uth_taa dikh rahaa hai naa tujhe
adhuri mohabbat thi ant mein jal jaanaa thaa

dekhti kabhi gaur se tu meri in aankhon mein
tujhe usme teraa hi aks nazar aa jaanaa thaa

jis arthi ko jaate dekhaa thaa tu ne us roz
koi aur nahi woh ek teraa hi deewaanaa thaa
Haaye re haaye qaatil

dekhaa jo unhe humne, haathon se fislaa dil
hothon pe kaalaa til, haaye re haaye qaatil

woh sharbati aankhen, woh makhmali zulfen
geele se unke honth, hothon pe til qaatil
kaajal un aankhon mein, laali un hothon par
pehli nazar mein hi woh dil mein hui shaamil

dekhaa jo unhe humne, haathon se fislaa dil
hothon pe kaalaa til, haaye re haaye qaatil

charche bahaaron mein, chaand sitaaron mein
woh ek haseenaa hai kai laakh hazaaron mein
bas unko hi paanaa hai, seene se lagaanaa hai
armaan hai dil kaa ki bas karle unhe haasil

dekhaa jo unhe humne, haathon se fislaa dil
hothon pe kaalaa til, haaye re haaye qaatil

naam hai kyaa unkaa, poochhaa hi nahi humne
dekhaa jo unhe humne, bas dekhte hi rahe hum
taye kar liyaa humne, unhe dhundke laayenge
hum ban jaayen raahi, woh ban jaayen manzil

dekhaa jo unhe humne, haathon se fislaa dil
hothon pe kaalaa til, haaye re haaye qaatil

Wednesday, September 4, 2013

Mujhe naa jalaao yaaron

log ishq mein mar jaate the aisaa ek zamaanaa huwaa kartaa thaa
jisne tumhaare liye jaan di woh koi deewaanaa huwaa kartaa thaa


naa-samajh hoon main, mujhe der tak samjhaao yaaron
naa karun mohabbat, magar kyun yeh to bataao yaaron

maanaa meri kismat mein woh nahi jise chaahaa maine
hai kaun khushnasib, use mere saamne to laao yaaron

kaun hai jis ke haathon mein hai naam likhaa us kaa
haath ki lakeeren kabhi laa ke mujhe dikhaao yaaron

naa mar jaaun kahin meri deewaangi ke badh jaane se
deewaanaa hoon meri deewaangi ko naa badhaao yaaron

hai jalan is baat kaa mujhe mujh mein kyaa kami hai
lagi hai aag mere dil mein, koi aake bujhaao yaaron

sunaate ho kisse uski mohabbat ke kisi aur ke sangh
ab woh kisi aur ki hai yeh kehke naa tadpaao yaaron

rehne do kuch lamhaa aur mujhe mere shareer ke sangh
use aanaa hai, aane se pehle mujhe naa jalaao yaaron

main zindaa hoon abhi laash mein ek deedaar ke liye
meri laash par phool chadhaane ko use bulaao yaaron

Tuesday, September 3, 2013

Ek lamhaa

bas ek baar tumne mud ke dekhaa hotaa
to shaayad aaj hum saath hote, shaayad...

abhi main tumhaari moujudgi ko 
mehsoos bhi naa kar paayaa thaa
ki tumne jaane ki baat kar di
dur hameshaa hameshaa ke liye....

ek lamhe mein main toot gayaa
jaise kuch apnaa chhoot rahaa ho
kuch khaas, jiski mujhe zarurat hai
jiske binaa main bilkul akelaa hoon....

main tumhe jaate huye dekh rahaa thaa
dil se awaaz aa rahi thi tumhe rokun
magar jaane kyun hothon tak pahuchi nahi
kuch thaa jo mujhe rok rahaa thaa....

ek aawaaz kuch koshish mein thi
kuch samjhaa rahi thi, magar kyaa
shaayad kehnaa chaahti thi mujhse
ki tum khush nahi ho, saath mere....

mumkin nahi hai tumhe baandhe rakhnaa
tumhaare liye to khulaa aasmaan hai
kyaa milegaa is gareeb ke paas tumhe
pyaar ke siwaa kuch bhi de saktaa nahi....

bas ki baat nahi mere tumhe kuch doon
kuch khaas jo ho tumhaare jaisaa, anmol
tum chaand ho, aur main hoon kankad koi
zameen par padaa huwaa, jise kuchlaa sabne....

bas inhi khayaalon mein khud ko baandh ke
maine tumhe aawaaz nahi lagaayi, chup rahaa
rotaa rahaa dil meraa, cheekh cheekh ke
aur zubaan khaamosh rahi, main chup rahaa....

kasoor naa tumhaaraa naa meraa hi thaa kuch
kasoor to bas us lamhe kaa thaa jo guzar gayaa
naa maine rokaa tumhe, naa hi tum ruk paaye
woh lamhaa humein sadaa ke liye judaa kar gayaa....

Monday, September 2, 2013

Khwaab

woh musaafir hai laut ke apne shahar jaayegaa
mere aashiyaane ko fir se tanhaa kar jaayegaa

yeh jo chehre par khilaa saa rang dekhte ho
lamhaa hai jo thodi der mein guzar jaayegaa

us ki moujudgi ko mohabbat naa samajh lenaa
yeh to nashaa hai palbhar mein utar jaayegaa

bheeg jaane do mujhe bheegi in barsaaton mein
yeh baarish bhi kuch pal mein thahar jaayegaa

haseen khwaab hai, kuch der khush ho lene do
yeh kuch hi der mein toot ke bikhar jaayegaa