Wednesday, August 18, 2010

Zindagi ka safar

har subah ek naya rang leke aata hai,
suraj har subha ko roshan kar hi jaata hai,

hoti hai andheri raat agar berehem,
har subah sukoon ki saans leke aata hai,

toofaan me agar doob jaati hai koi kashti,
lehron ke saath wo saahil tak aa hi jaata hai,

kuch pal ke liye agar ghum ho zindagi me,
agle pal hothon pe muskaan aa hi jaata hai,

har raat hoti nahi andheri amaawas ki tarha,
ghar ke koney me ek chiraag jal hi jaata hai,

chot khaake insaan gir to jaata hai kai bar,
par waqt ke saath wo sambhal hi jaata hai,

tanha hai agar jeewan ka safar kuch pal ke liye,
kuch doori pe haseen hamsafar mil hi jata hai...

No comments:

Post a Comment