Saturday, August 21, 2010

Main kya chaahta hoon

main jeewan ke kitaab ke kuch panne pichhe palatna chaahta hoon,
jo lamhe kho diye hain maine unhe fir waapas paana chaahta hoon,

main fir ek baar zindagi ka saath nibhaana chaahta hoon,
apne hothon pe fir se wo pehle jaisi muskaan chaahta hoon,

ab tak socha na tha ki main khud ke liye kya chaahta hoon,
aaj tanha hoon to jaana maine bas kisi ka saath chaahta hoon,

raah me zindagi ke chalte huye kai log mile, kai bichhad gaye,
main un bichhde huye doston se ek baar fir milna chaahta hoon,

is daudti zindagi me waqt bhi bahut tezi se guzarta gaya,
main khushi ke kuch pal ek baar firse jeena chaahta hoon,

na mila koi aisa jo saath nibhaye mera umra bhar,
main kisi hamsafar ka umra bhar ka saath chaahta hoon...

No comments:

Post a Comment