Saturday, March 31, 2012

Hum tumse duur chale jaayenge

zamaane ki thokaron se hi humne jeena sikha hai,
tumhaari nafraton ke bhi hum zulm seh jaayenge,

uff tak na hogi kabhi na koi dard hi bataayenge,
tumhaari gustaakhiyon ko haste huye seh jaayenge,

ek roz hum tumse bahut duur chale jaayenge,
banaawat ki duniya ko pichhe chhod jaayenge,

tum kabra pe aake hamaare phool agar chadaaoge,
un phoolon ki khushboo se hum to mehek jaayenge,

baaki reh jaayenge nishaa hamaare chaahat ke,
aur kuch sukhe gulaab kitaabon me reh jaayenge...
Har taraf ghum sa lagta hai

mere geeton me aajkal wazan kuch kam sa lagta hai,
muskuraata to hoon par har taraf gham sa lagta hai,

kitaab ke panno ke bich kuch sukhe huwe gulaab mile,
mila bahut mujhe par pyaar kuch kam sa lagta hai,

kisi ne chaaha tha kabhi, chaah ke thukraaya mujhe,
aajkal har chehra mujhe mere us humdum sa lagta hai,

bhulaana chaahta bahut hoon main par bhulaaun kaise,
bhulaane se yaad karna dushwaar kuch kam sa lagta hai,

aasaan nahi hai muskuraana dil ke toot jaane ke baad,
muskuraata to hoon par ye kuch kam sa lagta hai...

Friday, March 30, 2012

Main tumhe dekhta jaata hoon

tumhaare deedaar ke liye main bahaane naye banaata hoon,
muskaan tumhaari dekh main mann hi mann muskuraata hoon,

main tumhaari galiyon se hi subah shaam aata jaata hoon,
dekh dekh tumhaari surat main khusi se jhoom jaata hoon,

aankhon ko tumhaari jheel samajh unme doob jaata hoon,
tumhaare nashili aankhon se dil ki pyaas bujhaata hoon,

khwaabon me bhi chehra tumhaara main dethka jaata hoon,
julfon ko baadal samajh main saawan ke geet gaata hoon,

pyaar nahi hai mujhko tumse ye main tumhe bataata hoon,
tumko apni jaan samajh main tumpe hi jaan lutaata hoon...
Main tumhe pehchaanta hoon

aaj tumhaare dhadkano me jo tadap hai
use main samajhta hoon, jaanta hoon,
bas ek baar mili thi humse tum lekin
tumhaare chaahat ki kashish ko
main jaanta hoon, pehchaanta hoon,

kitna rakhoge bachaake khud ko humse,
ek roz daude chale aaoge hamaare paas,
tumhaare dil ki is agan ko barso se,
main pehchaanta hoon, tumhe jaanta hoon,

aasaan nahi hai ek baar kareeb aake duur jaana,
aajaaoge bahut jald tum hamaare baahon me,
tumhaare aane ki ummeed ko apne seene me paalta hoon,
tum aajaaoge ek din is baat ko main jaanta hoon,
haan main tumhe pehchaanta hoon,

bandhi ho tum aaj kahin kisi bandhan me,
kab tak khud ko us bandhan me baandh paaoge,
tod ke us bandhan ko tum ek roz mere ho jaaoge,
yakeen hai mujhe apni mohabbat pe, khud pe,
tum aoge, is baat ko main jaanta hoon,
haan meri jaana main tumhe pehchaanta hoon....
Main bataun kaise

aankho me jo chehra hai main dikhaaun kaise,
mujhe kiska intezaar hai main bataaun kaise,

dil me jo mere shor hai main dabaaun kaise,
dhadkano ki awaaz main tumhe sunaaun kaise,

tum mere paas ho ke bhi mere paas nahi ho,
apne is duuri ka dard tumhe samjhaaun kaise,

chaahun to tumhe khinch ke seene se laga lun,
par khud me aisi himmat aaj main laaun kaise,

dil me jo bhi baat hai main chhupaaun kaise,
mujhe mohabbat hai tumse main bataaun kaise...

Thursday, March 29, 2012

Tujhe paane ki ek koshish

main aaj tujhe paane ki ek saazish aur kar lunga,
ya to tu mil jaaye mujhe ya maut haasil kar lunga,

chaukhat pe tere baith ke tera naam pukaar lunga,
ya to tu mil jaaye mujhe ya khud ko hi haar lunga,

tu aajaaye agar laut ke baahon me tujhe bhar lunga,
hothon ko tere chhoo ke main pyaar tujhe kar lunga,

aana tujhe hai, tu aayegi, main intezaar kar lunga,
seene se lag jaana mere main tera aetbaar kar lunga,

tod ke sab bandhano ko main tujhe sweekaar kar lunga,
ye pyaar hi to hai mujhe, tujhse hazaar baar kar lunga,

main aaj tujhe paane ki ek saazish aur kar lunga,
ya to tu mil jaaye mujhe ya maut haasil kar lunga...

Naina ye naina

naina na churao humse naino me humein reh lene do,
jo kuch bhi humein kehna hai naino ko keh lene do,

naino ki jo baatein hain naino ko samajh lene do,
naino ka jo bhi jaadu hai naino ko chala lene do,

naina hamaare naino se karte kuch ishaarein hain,
un inshaaron ke matlab ko naino ko samajh lene do,

tumse jo humein kehna tha wo baat aaj keh lene do,
zubaan se jo keh na paaye naino ko hi keh lene do,

naina ye mere naina hain, naino se inhe pyaar hai,
pyaar banke is pyaar ko tum dil me apne reh lene do...
Na karo pyaar humse

tumhe humse mohabbat nahi na sahi, na karo pyaar humse,
kuch pal saath baitho, baate karlo, na karo inkaar humse,

hume to bas ye soch ke hi khush ho jaate hain ki tum ho,
humse duur jaane ki baatein is tarha na karo yaar humse,

aadat nahi hai sharaab ki hum ko maikhaane me kya karen,
tumhaari aankhon se hi pee lene do, na karo inkaar humse,

ankahi baatein kuch kahun aur tumhaare dil ki bhi sunoo,
maanga hai bas saath tumhaara, tum na karo inkaar humse,

meri bechaini ko samjho, kuch pal zaraa saath nibhaa lo,
baitho zaraa paas aake hamaare, na karo yun inkaar humse,

tumhe humse mohabbat nahi na sahi, na karo pyaar humse,
kuch pal saath baitho, baate karlo, na karo inkaar humse...
Zindagi zindagi na hogi

tumhaare na hone se ye zindagi zindagi na hogi,
na honge hum, aur hamaari parchaayi bhi na hogi,
saath jeete jee na mil paayaa tumhaara na sahi,
mar jaayenge hum, kisi ko shikayat bhi na hogi...
Pyaar aaya to bahut hoga

dil ko apne tumne samjhaaya to bahut hoga,
ek roz humpe bhi pyaar aaya to bahut hoga,

maan nahi sakte ki tumne dekha nahi humko,
aankhon ko tumne humse churaya bahut hoga,

sakhiyon ke sangh tumko jaate huye dekha tha,
hamaari nazro se khudko chhipaaya bahut hoga,

mere geeton ko tumhe gaate huye maine dekha,
aaj se pehle bhi tumne gungunaya bahut hoga,

hum maan nahi sakte ki tumhe pyaar nahi hoga,
chhipaate ho lekin mujhpe aaya to bahut hoga...

Wednesday, March 28, 2012

Kho jaaun

kuch keh rahi ho shayad tum mujhse,
par mujhe hosh kahaan ki samajh paaun,
main tumhaari aankhon me dooba hoon,
aur shaayad unhi me aaj main kho jaaun...
Main bewafaa hoon

badi asaani se jaate huye keh gayi ki main bewafaa hoon,
aankhon ka har andaaz keh raha tha ki main bewafaa hoon,
mere dil se wafaa ki aawaaz chikh rahi thi par, tumhaare
dil ke har ek dhadkan ko yakeen tha ki main bewafaa hoon,

lo aaj is pal me tumse kehta hoon ki main bewafaa hoon,
tumko chaaha tha khud se badh ke par main bewafaa hoon,
meri parchhaayi hi mera saath chhod ke chali gayi, aaj
main apne har ek saans se kehta hoon main bewafaa hoon,

jeeta bhi tha tumhaare liye, marta bhi tha tumhaare liye,
aaj main apne har dhadkan se kehta hoon main bewafaa hoon,
maut ne poochha mujhse aane se pehle ki wajah kya hai, to
marne se pehle maine kahaa usse ki main bewafaa hoon....
Mere dil ka qatl kar jaate hain

hum subah shaam unke aaane ka intezaar karte jaate hain,
aur wo aate hi hummein 'goodbye' kehke nikal jaate hain,

kabhi kahun unse ki itni jaldi kya hai jaaane ki tumhe,
to wo muskuraake humein 'sorry' kehke chale jaate hain,

taarif agar main karna chaaahun unke husn ki kabhi, to
wo sharmaake 'thank you so much' kehke chale jaate hain,

aisi kya berukhi humse unki ya hai koi naraazgi humse, ki
paas aate aate har baar humse bahut duur chale jaate hain,

tadpaake is dil ko mere dil ka hi to qatl kar jaate hain,
aur meri haalat ko dekh wo bade pyaar se muskuraate hain...
Tujhi se pyaar karte hain

teri baaton pe marne waale bahut honge,
humto teri aankhon pe marte hain jaana,
tujhe dekh ke ghazal likhte hain hum to,
aur pyaar bas tujhi se karte hain jaana...
Wo guzraa huwa kal yaad aata hai

pyaar ka wo pehla pal mujhe yaad aata hai,
tera muskuraata huwa chehra yaad aata hai,
maasoom se rishtey ki woh shuruwaat, aur
haath me liya huwa tera haath yaad aata hai,

tere sangh guzaara huwa wo kal yaad aata hai,
khushiyon me doobaa huwa wo pal yaad aata hai,
ab to bahut duur aa chuke hain hum us pal se,
par mohabbat ka har lamha aajkal yaad aata hai,

paas baithi mere aankhon me kho jaati thi tu,
rakh ke apna sar meri godi me so jaati thi tu,
dheere se tere gaalon pe haath ferta tha main,
tera chupke se aankhon ka kholna yaad aata hai,

wo chori se chhip chhip ke milna yaad aata hai,
ghabraate huye dabe paaon chalna yaad aata hai,
meri baahon me tera chehra chhipaana yaad aata hai,
tere saath bitaaya wo guzra zamaanaa yaad aata hai,

kitaab ke panno me chhippe gulaab ko dekhkar aaj,
saath bitaaya huwa haseen har ek pal yaad aata hai,
tu nahi hai saath mere iska koi gham nahi hai aaj,
tere saath gaaya huwa pyaar ka ghazal yaad aata hai...

Meri mohabbat ko aazmaalo

apne dil ko yun sare aam na uchhaalo tum,
meri baahon me aake aaj mujhe apnaalo tum,
ki hogi tumne mohabbat pehli kai baar magar,
aake meri mohabbat ko ek baar aazmaalo tum...
Mohabbat ka diya

seene me kabhi mohabbat ka diya jalaaya tha humne,
kisi haseen chehre se kabhi dil lagaaya tha humne,
suna tha ki mohabbat me bahut dard milta hai, par
khud ko uusi mohabbat me bahut tadpaaya tha humne...
Dard badh jaane do

is judaai ke dard ko thoda badh jaane do,
aansuon se ankhon ko thoda nikhar jaane do,
aaunga main milne tumse ye waada hai tumse,
apne dil ki bekaraari ko aur badh jaane do....
Aetbar kar ke dekho

ek baar meri saanso ko mehsoos kar ke dekho,
thoda sa humse bhi pyaar tum kar ke dekho,
paaoge nahi deewaana tum dhund ke bhi humsa,
tum hamaari mohabbat pe aetbaar kar ke dekho....
Kuch kaam baaki hai

hamaare seene me dabi hui kuch baatein baaki hain,
aankhon me kuch sapne dil me kuch armaan baaki hain,
sanse bhi meri saath chhod jaane ko tayyar nahi hain,
shayad marne se pehle abhi kuch aur kaam baaki hain...

Tuesday, March 27, 2012

Main chup rehta hoon

main dil me dabaake apne har ek baat chup rehta hoon,
tumhaara chhoot na jaaye saath isliye chup rehta hoon,

kehne ko bahut hain baatein dil me par kya kahun tumse,
kahin ladkhada na jaaye ye zubaan isliye chup rehta hoon...
Koi to apna hoga

kisi kone me is jahaan ke koi to apna hoga,
jise meri talaash hogi, mera intezaar hoga,

koi chehra khoobsurat sa mere liye bhi hoga,
jiski aankhon me bas mere liye hi pyaar hoga...
Mohabbat

na roko khud ko tum ki aaj behek jaane do,
apni deewaangi ho hadd se guzar jaane do,
ye lamha aaya hai barso ke intezaar ke baad,
meri baahon me aake khud ko bikhar jaane do,

lag jao seene se mere tod ke bandhan saare,
baahon me aake mere dil ko dhadak jaane do,
aankhon se pila do aaj humein ki jhoom jaaye,
aankhon ke samundar me humein doob jaane do,

tod ke bandhan saare tum aaj aisa kuch kar jaao,
saanson me ghul ke tumhaare madhosh ho jaane do,
mehek jaayen tumhaari khushbu se hum aaj is tarha,
ki doobke tumhaari mohabbat me behosh ho jaane do,

chhoo lene do naazuk hothon ko mere hothon se,
apni julfon ke andheron me mujhe kho jaane do,
kuch karo aisa ki is raat ki subah na ho paaye,
aur mujhe tum apni baahon me hi aaj mar jaane do...
Batao na kya ye pyaar hai

raat ko khwaabon me kisi ka chehra nazar aata hai,
batao na kya ye gawaah hai ki mujhe pyaar hai,
kisi ki aahatein sun jaag jaata hoon main neend se,
batao na kya ye gawaah hai ki mujhe pyaar hai...
Wo pyaar nahi

jo zubaan se zaahir ho wo pyaar nahi,
jo dil me chhipa rahe wo inkaar nahi,

pehli nazar me tumhe pyaar ho jaaye,
wo kuch aur hi hai lekin pyaar nahi,

pyaar ko umra lag jaata hai hone me,
jo pal bhar me ho jaaye wo pyaar nahi,

kisi ki aankhon me doob jaana pyaar nahi,
kisi ki julfon me kho jaana pyaar nahi,

kisi ka khwabon me aajaana pyaar nahi,
kisi ka har pal yaad aana pyaar nahi,

pyaar saanson ka bandhan hai saanso se,
jo bandhan tut jaaye kabhi wo pyaar nahi,

jo dil me chhipa rahe wo inkaar nahi,
jo zubaan se zaahir ho wo pyaar nahi...

Monday, March 26, 2012

Humein kuch to hota hai

muskuraake tum humse yun aankhen na milaaya karo,
dekh tumhaari aankhon ko humein kuch to hota hai,

nashe ki aadat nahi hai humein ye sach hai, par
tumhaari aankhon me doob ke hume nasha hota hai,

wo maathe ki bindi tumhaari chehra sajaati hai,
dekh tumhaari bindi ko humein kuch to hota hai,

chaand ek upar hai par ek chaand yahaan bhi hai,
wo raat me dikhta hai aur ye dono pahar hota hai,

saj dhaj ke tum humse milne kabhi aaya na karo,
dekh tumhaari surat ko humein kuch to hota hai,

muskuraake tum humse yun aankhen na milaaya karo,
dekh tumhaari aankhon ko humein kuch to hota hai...
Jaate jaate palat ke muskuraana tumhaara

jaate jaate palat ke muskuraana tumhaara,
thoda ruk ke fir chale jaana tumhaara,
aa aa ke raaton ko jagaati hai humein,
wo muskaan tumhaari, wo chehra tumhaara,

jab se dekha hai humne tumhe kareeb se,
harpal mehsoos karta hoon ehsaas tumhaara,
tumhaari hi khushboo se mehekta hoon aajkal,
aur nazar aata hai humein sringaar tumhaara,

chaand ke jaisi bindi tumhaare maathe ki,
aur aankhon me hota hai kaajal tumhaara,
julfon ko kholke nikalti ho tum kareeb se
dekhta hi reh jaata hai ye aashiq tumhaara....

Saturday, March 24, 2012

Tumhe dekhte hi reh jaate hain

jana tumhe dekh ke hum tumhe dekhte hi reh jaate hain,
hum khoke tumhaari aankhon me doobte chale jaate hain,

kai baar tumse kehna chaahaa har baar hum ruuk jaate hain,
chup reh nahi paate hain aur kuch keh bhi nahi paate hain,

muskaan tumhaari dekh ke hum mann hi mann muskuraate hain,
tanhaayi me tumhe yaad kar pyaar ke geet gungunaate hain,

aaj tumhe sab keh denge hum is dil ko roz samjhaate hain,
har baar tumhaare saamne aake kuch kehne se dar jaate hain,

hamaare dil me jo bhi armaa hain wo dil me hi reh jaate hain,
zubaan se kuch bhi kehte nahi bas ghazal bante reh jaate hain...
Kuch armaan bacha hai

mohabbat ke bazaar me ab bhi,
mera kuch samaan bacha hai,
sab kuch luta chuka hoon par,
ab bhi kuch armaan bacha hai,

sukhey huye gulaab hain kuch,
yahaan sirf veeraan bacha hai,
mehfil dekh ke aaya tha yahaan,
par ab bas shamshaan bacha hai...

Friday, March 23, 2012

Koi apna sa hone lagta hai

kyun kisi chehre ko dekh dil khone lagta hai,
kuch hi palon me koi apnaa sa hone lagta hai,

raah me zindagi ke kai log mile, kai bichhade,
kuch chehron ka asar kuch khaas hone lagta hai,

kuch yaadein hain jo dil se kabhi duur nahi hoti,
koi koi yaad dil ko aansuon se bhigone lagta hai,

chaahke bhi bhulaana mushkil hota hai kuch lamho ko,
jin lamho me kisi chehre se mohabbat hone lagta hai,

kyun beete dino ki yaad me dil tadapta hai har pal,
unhi baaton ko soch ke ye dil mera rone lagta hai,

kyun kisi chehre ko dekh dil khone lagta hai,
kuch hi palon me koi apnaa sa hone lagta hai...
Aaj pehli baar pi hai

sharaabi naa samajhna maine pehli baar pi hai,
aaj peene ki himaakat maine pehli baar ki hai,

ye to yaaron ne zid kiya to mu laga liya humne,
yaaron ki baaton me aane ki khata humne ki hai,

nashe me hoon par sambhal jaaunga kuch pal me,
khud ko sambhalne ki koshish pehli baar ki hai,

kahaa yaaron ne ki peene se dard kam hota hai,
to usi dard ko bhulane ki maine chaahat ki hai,

tumko bhulaane ki koshish aaj pehli baar ki hai,
bas isi koshish ma maine aaj pehli baar pi hai...
Maikhaane tak jaa pahucha

kinaare ki talaash me main samundar tak jaa pahucha,
peene ki aadat nahi par main maikhaane jaa pahucha,

koshish sabhi ne kiya ki mera dil behla sake thoda,
bheed ki talaash me main tanhaayi tak jaa pahucha,

chalaa tha paane main chaand ko apna samajh ek din,
chaandni na mili aur main andheron tak jaa pahucha,

saanson pe bas na chaala na dhadkano ne kehna maana,
zindagi ki talaash me main shamshaan tak jaa pahucha,

apno ka saath naa mila aur gairo ne bhi diya dhokhaa,
pyaar ki talaash me main barbaadiyon tak jaa pahucha,

aghaaz ki khabar nahi mujhe anjaam tak jaa pahucha,
peene ki aadat nahi par main maikhaane jaa pahucha...
Mujhe pyaar huwa

meri aankhon ka jab se teri aankhon se deedar huwa,
aisa kyun lag raha hai jaise firse mujhe pyaar huwa...
Main bhi tadapta hoon

tumhaari chaahat ki bekaraari ko khoob samajhta hoon,
batata nahi par main bhi tumhaaare liye tadapta hoon...
Ghum ki raah dikhaaya na karo

haste huye hi achchi lagti ho, tum yun royaa na karo,
tum apne moti jaise aansuon ko kabhi bahaaya na karo,

tumhe to pata bhi na hoga tumhaare aansuom ki keemat,
ro ke apne is khajane ko tum kisi pe lutaaya na karo,

achchi nahi lagti tum gumsum khoyi khoyi si kabhi bhi,
khud ko dukhi rakh ke tum is dost ko sataaya na karo,

aadat hai tumhaare muskuraate hue chehre ko dekhne ki,
khud ki muskaan chhipaake humein tum rulaaya na karo,

tumne hi to sikhaya humein kaise ghum ko bhulaate hain,
khud ghumgeen ho ke hume ghum ki raah dikhaaya na karo...
Mujhe tumhaara ho jaane do

mujhe tumhaare julfon ke baadal me kho jaane do,
aaj mujhe tumhaare pyaar me tumhaara ho jaane do,

na roko mujhe aaj ki baahon me bhar loon main tumhe,
saanson ko apni meri saanso se hoke guzar jaane do,

dhadkane bhi aaj kuch betaab si hain tumhaare liye,
tum apni dhadkano ko bhi aaj zara shor kar jaane do,

paayaa hai humne tumhe khoke sab kuch apna oh jaana,
aaj tumhe apne seene se lagaake humein mar jaane do,

chhooke tumhaare honth shabnami aaj jhoom jaun zara,
doob ke nashe me ishq ke aaj hadd se guzar jaane do,

kho jaaun aankhon me tumhaare na jagaao tum mujhe,
ki aaj mere dil-o-dimaag me aashiqui chadh jaane do

rukh hawaaon ka bhi aaj kuch yun hain ki kya kahun,
aaj khud ko meri baahon me toot ke bikhar jaane do...

Thursday, March 22, 2012

Mohabbat to kar jaao na

kabse tadap raha hoon me main mohabbat ke liye,
aake ek baar tum meri tadap ko dur kar jaao na,

aajao meri baahon me, aake seene se lag jaao na,
priye ek baar meri dhadkano ko mehsus kar jaao na,

bheed me bhi tanha hoon main koi yahaan apna nahi,
aake ek baar tum meri tanhaayi ko dur kar jaao na,

aao na , aajaao na, tum mujhse itna dur jaao na,
aake mujhse ek baar tum mohabbat to kar jaao na...
Zindagi

zindagi har ek mod pe humein aazmaati hai,
kabhi haqeeqat to kabhi khwaab dikhaati hai,
sikhne ko bahut kuch mila is zindagi se humein,
ab zindagi humein hamaare hi kisse sunaati hai...
Mujhe na chhod jaana tum

kehta hoon tumse ki mere itne kareeb na aana tum,
khaayi hai bahut chot humein ishq na sikhana tum,
ab to dar lagta hai mohabbat karne se is dil ko,
jhoote khwaab dikhaake mujhe na chhod jaana tum...
Kyun chaandni ki mujhpe hi basaat hui

kal raat sitaaron se meri kuch baat hui,
jab meri unse ek haseen mulaaquat hui,

kehna tha unka ki chand to unke paas hai,
par kyun chaandni ki mujhpe hi basaat hui...
Main aashiq aajkal hoon

kabhi chalta hoon main, to kabhi thahar jaata hoon,
koi poochhe mujhse to kahun main paagal pawan hoon,

kabhi garajta hoon main, to kabhi baras jaata hoon,
koi poochhe mujhse to kahun main ghana baadal hoon,

paani me rehta hoon main, aur baagon ki shaan hoon,
koi poochhe mujhse to kahun main khilta kamal hoon,

koi rakhe mujhe hothon pe, kisi ke main dil me hoon,
koi poochhe mujhse to kahun main to koi ghazal hoon,

khud ka mujhe hosh nahi, khoya main kahi rehta hoon,
koi poochhe mujhse to kahun main aashiq aajkal hoon...
Zindagi yunhi guzar jaayegi

zindagi tumhari yunhi guzar jaayegi,
kabhi kabhi bas hamaari yaad aayegi,
bhool jaaoge sab kuch pal bhar mein,
khushi ki jab bhi koi lahar aayegi...
Tum na samajh paaoge

dikhaane se aaj hamaara ghum na dekh paaoge,
tum humse duur hi the aur duur chale jaaoge,
hum to naasamajh the jo mohabbat kar baithe,
tum hamaari chaahat ko kabhi na samajh paaoge...

Wednesday, March 21, 2012

Mera dil deewaana huwa

mera jo dard seene me tha wo mujhse anjaana huwa,
dekho na kaise aaj fir se mera dil deewaana huwa,

tumhaari chaal ko dekh ye pagal aaj mastaana huwa,
jaana tumhaari surat ka mere dil me bas jaana huwa,

dekh mujhko to tumhaari aankhon ka sharmaana huwa,
haaye, tumhaari is adaa pe to mera mar jaana huwa,

aaj fir se kisi ke ishq me mera gum ho jaana huwa,
ki tumhe dekh mera is duniyaa ko bhool jaana huwa,

tumhaari surat ko dekh jo kuch gungunaana huwa,
kuch to hai ki aaj is ghazal ka ban jaana huwa...

Tuesday, March 20, 2012

Jabse tumhaari galiyon se mera aana jaana huwa

jabse tumhaari galiyon se mera aana jaana huwa,
to kehne lage log dekho ek aur deewaana huwa,

humein to maloom hi nahi deewangi kya hoti hai,
par har baar tumko dekh mera thahar jaana huwa,

jab bhi nikalti ho tum saj sawarke apne gharse,
mere paagal dil ka har baar machal jaana huwa,

khuli julfon me tumhe dekha hai humne kai baar,
lagaa jaise ghane baadalon ka baras jaana huwa,

shabnami honth tumhaare jaise ho maye ke pyaale,
unhe dekh har baar mera nashe me doob jaana huwa,

baahon me bharne ki tumhe hai khwaaish hamaari,
par is khwaish ka seene me dafan ho jaana huwa,

kahaan tum mahalon ki raani aur main ek tinka,
bas tumhe dekh kar hi dil ka bahal jaana huwa,

hum to ye soch ke chal lete hain ki tum dikh jao,
par humein dekh tumhaara har baar palat jaana huwa,

jabse tumhaari galiyon se mera aana jaana huwa,
tumhe dekh roz ek naye ghazal ka ban jaana huwa...
Kyun gumsum hoon main aaj

kora ek kaagaz ka tukda liye baitha hoon main aaj,
likhna hai, par jaane kahaan khoya hoon main aaj,
likhna hai bahut kuch par shuru kahaan se karun,
ek haseen khwaab ke baare me mujhe likhna hai aaj,

dekha hai maine khwaab me haseen sanam ka chehra,
us chehre ko dekh jaane kahaan khoya hoon main aaj,
dekha hai maine ek masoom sa chehra khwaab me apne,
uski reshmi julfon ke saaye me khoya hoon main aaj,

aake mere khwaab me usne seene se lagaaya tha mujhe,
paas aake bade pyaar se gaalon ko sehlaaya tha usne,
hothon ko chhoo ke mere kaano me kuch boli bhi thi wo,
kuch pal ka hi sahi par dil ko mere behlaaya tha usne,

main to nadaan tha na samajh saka wo khwaab hi tha,
us khwaab ko sachchaai samajh khush hoon main aaj,
aaya hoon likhne par kuch bhi to main likh na sakun,
apne is haalat ka khud hi zimmedaar hoon main aaj,

na mujhe hosh hai khud ka na khabar kisi ki abhi,
kuch to huwa hai aisa ki paagal sa hoon main aaj,
kya ise meri mohabbat samjhun ya kuch aur hai ye,
koi aake bataaye zaraa kyun gumsum hoon main aaj...

Monday, March 19, 2012

Koi tumhe bulaa raha hai

ek meetha sa ehsaas aaj is dil ko gudguda raha hai,
koi to hai jo mujhe is pal me aaj yaad aa raha hai,
dekho na aasmaan me udte panchhi kuch keh rahe hain,
aisa lag raha hai jaise koi khoya huwa aa raha hai,

saanson me mere kuch ajeeb si kashish hai aaj jaana,
shayad ye tumhaare saanson ko mehsoos kar raha hai,
aankhen meri tumhaari raahon pe aake tham gayi hain,
aur ye dil, tumhaare aane ka intezaar kar raha hai,

hawa me ek jaani pehchaani si mehek hai aaj,
jo mujhe chhu ke mere dil ko dhadka raha hai,
yakeen tha mujhe meri mohabbat pe ki tum aaoge,
dekho na aaj ye ehsaas mujhe gudguda raha hai,

aaj aake simat jaao meri baahon me fir ek baar,
ye aashiq aaj bas tumhaare hi geet gaa raha hai,
dil firse chaah raha hai ki koi ghazal banaye,
aajaao na jaana, ye dil tumhe aaj bulaa raha hai,

maloom hai mujhe ki tum ho yahin kahin mere paas,
kyun tadpaate ho, dekho na koi tumhe bula raha hai,
bas ek baar aake tum mujhe apne zulfon me chhupa lo,
tumhara chahne waala tumhaare liye maraa ja raha hai...
Jee karta hai

un dino me laut ke jaane ka jee karta hai,
firse tujhe apna banaane ka jee karta hai,

chhupke zamaane se hum milte the tujhse,
tera chhupke milne aana yaad aata hai,
mujhe dekh ke tera rang nikhar jaata tha,
mujhe dekh tera muskuraana yaad aata hai,

firse tere sang muskuraane ka jee karta hai,
firse tujhe apna banaane ka jee karta hai,

raat si kaali zulfen bikherti thi tu mujhpe,
tera mere seene se lipat jaana yaad aata hai,
gulaabi honth tere kamal ke phool jaise,
mera tere hothon ko chum lena yaad aata hai,

firse tere hothon ko chhoone ka jee karta hai,
firse tujhe apna banaane ka mera jee karta hai,

jaate jaate ye kahaa tha ki laut aayegi tu,
tera wo duur jaata huwa chehra yaad aata hai,
main un raahon pe aankhen bichhaye baitha hoon,
un raahon pe mujhe tera chehra nazar aata hai,

firse tujhe paane ka mera jee karta hai,
firse tujhe apna banaane ka jee karta hai...

Saturday, March 17, 2012

Aadat hai rone ki

in aankhon ko ab to aadat hai nam hone ki,
koi ummeed nahi hai mohabbat kam hone ki,
yaadein hain jo saath hi nahi chhodti meri,
unhe yaad kar humein to aadat hai rone ki...
Mera dard

mera dard aaj tujhse anjaana hai,
ye saath to bas ek bahaana hai,
har kisi ko mujhse nafrat hi hui,
tera saath bhi lagta afsaana hai...
Ek Din

hume kahaan maloom tha
ki pyaar kar jaayenge ek din,
kisi ki aankhon me doob ke
hum mar jaayenge ek din,

tumhi ko dekha karte hain hamesha,
tumhi ko socha karte hain hamesha,
humein bhi kahaan maloom tha ki
tumhe dekh muskurayenge ek din,

baahon me bhar ke tumhe hum,
seene se lagaa lenge ek din,
humein ye kahaan maloom tha ki,
tumhi ko hum chaahenge ek din....

Friday, March 16, 2012

Tum hi ho

haal-e-dil sunana hai tumhe,
aaj kuch bataana hai tumhe,
kab se intezaar kiya is din ka,
aaj sab kuch bataana hai tumhe,

har subah jiski talaash hoti hai,
raat mere khwabon me jo hoti hai,
kaise bataun tumse meri jaana,
wo tumhi ho, tumhi ho, tumhi ho,

dekh tumhaari muskaan muskurata hoon main,
tumhaare liye sirf khushi chahta hoon main,
meri mohabbat ka naam agar poocho to main kahun,
meri mohabbat bas tumhi ho, tumhi ho, tumhi ho,

tumse hi shuru har kahaani meri,
tumpe hi khatam har ghazal meri,
jiske naam se likhta hoon main,
wo tumhi ho, tumhi ho, tumhi ho,

baarish ki har ek boond me tum ho,
suraj ki har kiran me tum ho,
tumse hi saanse hain meri,
meri mohabbat tumhi ho,
bas tumhi ho, tumhi ho, tumhi ho...
Tumhaari yaad humein aati hai

har baat pe tumhaari baat kyun aati hai,
subah shaam tumhaari yaad kyun aati hai,

tanha akela jeewan ke safar me,
chal raha hoon anjaan dagar me,
koi kabhi apna sa lagne lagta hai,
duje pal wo paraaya ban jaata hai,

judaai ke palon me mujhe tumhaari yaad kyun aati hai,
subah se lekar shaam tak tumhaari yaad kyun aati hai,

khaaye hain bahut dhokhe humne,
bahaayen hain bahut aansu humne,
dard ka rishta kuch aisa hai humse,
ki dard ko seene se lagaaya humne,

aansu ke har ek boond me tumhaari surat nazar aati hai,
subah se lekar shaam tak tumhaari yaad humein aati hai,

aaine me khud ko dekhta hoon,
tumhaari surat dikhti hai usme,
kaagaz pe kuch likhta hoon,
tumhaara naam likhta hai usme,

mohabbat me likhe har ghazal me tumhaari tasveer nazar aati hai,
o jaana, subah se lekar shaam tak tumhaari yaad humein aati hai...
Hum unhi se mohabbat kiye jate hain

wo humpe ye ehsaan kiye jaate hain,
roz ek zakham naya diye jaate hain,

unhe hamaari parwaah nahi ek pal ki bhi,
hum unke liye apni jaan diye jaate hain,

dekhke bhi andekha kar dete hain wo humein,
aur hamaari nazron se duur huye jaate hain,

hum saath chalte hain unki parchaai ban ke,
aur wo humse hi khud ko chhupaaye jaate hain,

wo guzarte hain hamaare kareeb se jab bhi,
unki khushbu se hum madhosh huye jaate hain,

unki nashili aankhon ke baare me kya kahen,
dekh ke ekbaar bas dekhte hi reh jaate hain,

yun to humein likhne ki aadat nahi ye sach hai,
par unhe dekh jaane kaise ghazal ban jaate hain,

unko pasand hai hamaare har baat pe naraaz hona,
hum unki naraazgi se hi mohabbat kiye jaate hain,

hum apne dil ko rakh dete hain unke kadmo me,
wo har baar use kuchalte huye chale jaate hain,

wo hain jo humse sirf nafrat kiye jaate hain,
aur hum bas unhi se mohabbat kiye jaate hain...


Tuesday, March 13, 2012

Teri judaai ka dard

tujhse milke tujhse bichhadna mushkil hoga,
ki tujhse bichhadke hum reh nahi paayenge,

na jaana humse duur o jaana kabhi mu ferke,
ki teri judaai ka dard seh nahi paayenge...
Tum hi tum the

jaana hi tha tumhe to chale jaate pehle,
ab to meri dhadkano me tum utar aaye ho,
tumko to shaayad ehsas bhi na hoga iska,
ki tum hi tum meri saanso me samaaye ho,

tum thi mere har geet me mere ghazal me,
mere sang tum bhi wo geet gungunaaye ho,
duniya me har kisi ne thukraya tha mujhe
sirf tum hi to the jo mujhe apnaaye ho,

khushiyon ke jo bhi khwaab the haseen,
o jaana, tum hi humein wo dikhlaaye ho,
jaane kya khataa hui humse is baar,
ki humein is tarha tum thukraaye ho,

kehte ho ki hum nahi samjh paaye tumhe,
tum bhi humein kahaan samajh paaye ho,
raahon pe aankhen bichhaaye baithe rahe hum,
aur tum aaj kisi aur ki dulhan banke aaye ho...
Mujhe sharaab ki aadat nahi

mujhe sharaab ki aadat nahi, aankhon se pilaaya na karo,
yun khilkhilate huye tum, kabhi mere kareeb aaya na karo,

tadap meri dhadkano ki tum nahi samajh paaoge meri jaana,
tabhi to kehta hoon meri baahon me aake tadpaaya na karo,

hothon pe haath ferke tum mere paagal kar deti ho mujhe,
oh jaana, paas aake mere gaalon ko tum sehlaaya na karo,

mujhe aadat nahi geeton ki, tum yun kabhi gaaya na karo,
mohabbat ke koi geet mere paas baithe gungunaaya na karo,

kyun pyaar karti ho mujhse, mujhe aadat nahi mohabbat ki,
mohabbat ek haseen ehsaas hai ye mujhe samjhaaya na karo,

mohabbat to bas ek khwaab hai, humne bhi dekha tha kabhi,
tuta mera khwaab tha jo tum fir se hume dikhaaya na karo...
Aaj fir uski yaad aayi hai

aaj fir us jheel ke kinaare baith
uski yaad aayi mujhe
haan us haseen sathi ki yaad
jiske sang ghnato baitha karte the
batein kiya karte the
ek aisa saathi jiske hone se
has lamha khoobsurat lagta tha
aur jiske chale jaane se
jaise andhera chhaa jaata tha
haan fir se dekho na kyun
usi khoobsurat saathi ki yaad aayi hai
sang apne kuch khushiyan
kuch aansoo laayi hai

wo haseen lamhe jo bitaaye the humne sang
unhi lamho ki yaad fir se laut aayi hai
wo chhoti chhoti baaton pe hasna khilkhilaana
wo uska roothna aur wo mera manana
wo uska duur jaate fir theher jaana
wo aake fir uska mere seene se lag jaanaa
dekho na kyun aaj uski yaad fir se aayi hai
lag raha hai jaise wo laut aayi hai

par ye sach nahi hai bas ek sapna hai
main tanha akele usi jheel k kinaare baitha hoon
wo apni duniya me kahin khush hai
jaane kyun baar baar uski yaad aati hai mujhe
aana hi hai to yaad kyun, wo kyun nahi
mujhe yaadon ki aadat na pad jaaye
ki jaao koi use mere paas le aao
ab nahi raha jaata uske bina
bin uske mujhe ab nahi hai jeena

koi poochhe jaake usse ki
kya main itna bura hoon
kyun ek baar bhi
use meri yaad nahi aati
kyun main rota hoon yahaan tanha akele
kya isiliye pyaar kiya tha mujhse
ki yun akela chhod jaaye yahaan
ab to meri saanse bhi chaahti hai
ki main azaad kar doon unhe
unhe bhi mera saath pasand nahi
tanha tha main tanha aaj bhi hoon....

Monday, March 12, 2012

Use bhi mujhse pyaar ho

uski galiyon se hoke guzarta hoon main har roz,
dil me liye ye baat ki kabhi to uska deedaar ho,

ek hi ummeed liye dil me, aankhen kholta hoon roz,
ae khuda, kuch karo aisa ki aaj koi chamatkaar ho,

ye deewana tayyar hai bikne ko kisi ke mohabbat me,
par kaise, is bazaar me koi to haseen kharidaar ho,

thokren khaai hain kai baar is dil ne usse magar,
aaj bhi chaahat hai meri ki use mujhpe aetbaar ho,

kami nahi aayi hai kabhi meri mohabbat me uske liye,
magar ae khuda, kabhi to use bhi mujhse pyaar ho...

Saturday, March 10, 2012

Teri tasveer ko aankhon me

teri tasveer ko aankhon me basaa rakha hai,
pyaar ko is dil me ab bhi jaga rakha hai,

teri yaadon ko maine dil me chhupa rakha hai,
diya ummeed ka maine ab bhi jala rakha hai,

tere baaton ki mehek aaj bhi yahaan aati hai,
har ek andaaz ko tere ab bhi yaad rakha hai,

tu nahi paas mere is baat ka koi ghum bhi nahi,
aana tujhko hai yahaan is dil ko bata rakha hai,

tere geeton ko maine dil me chhipa rakha hai,
tu meri saansen hain tujhe jaan bana rakha hai.

Friday, March 9, 2012

Anjaana sa chehra

sotey jaagte kisi ka chehra nazar aata hai,
koi to hai jo mujhe apne paas bulaaata hai,
dhundli si wo tasveer kisi apne ki lagti hai,
par ye dil use pehchaan hi nahi paata hai....
Pyaar kahaan se laun

badi mushkil se sambhaala hai maine khudko,
firse pyaar karne ki himmat kahaan se laaun,

kisi ki pyaari surat dekh muskurata tha main,
ab main wo pehle jaisi muskaan kahaan se laaun,

mohabbat ko bhagwaan samajh pooja karta tha main,
ab main wo pehle jaise ehsaas kahaan se laaun,

kisi ki aankhon ko dekh ghazal banaata tha main,
ab main wo pehle jaise shabd kahaan se laaun,

sab kehte hain ki dhund loon fir se koi humsafar,
par main is toote dil me firse pyaar kahan se laaun...
Baaaki to nahi

kahin ye awaaz kisi apne ki to nahi,
jisse hoon duur wo mere kareeb to nahi,
wo kitaab jo main jalaa aaya hoon kal,
uske kuch panne kahin baaki to nahi...
Duur hoon usse

jaanke bhi main anjaana hoon usse,
kareeb hoke bhi begaana hoon usse,
uski yaadon ko main bhula baitha hu,
kareeb hoke bhi bahut dur hoon usse...
Jaan kahunga

pyaar banke main tumhaare dil me rahunga,
saaya banke main tumhaare saath chalunga,
chah ke bhi duur tumse main ja na sakunga,
saansen ho tum, main tumhi ko jaan kahunga...
Apna

jo kho diya hai tumne wo koi sapna tha,
jo paas hai wo hamesha tumhara apna tha,
baahen failaa ke khushiyon ko sametlo,
tadap chuke ho jitna tumhe tadapna tha...
Kya hai ye ?

kuch khona hai, kuch paana hai,
yahi to jeewan ka fasana hai,
paas samundar ho ya kuwa ho,
hume to bas pyaas bujhaana hai...
Jee na sakenge

tere itne kareeb hain ki dur jaa na sakenge,
tujhse judaa hoke kabhi muskuraa na sakenge,
koi saanson ko khud se judaa kar paata hai kya,
apni saanso se duur jaake hum jee na sakenge....

Thursday, March 8, 2012

Tujhe hi chahenge

tera har sitam hum haske sahenge,
tu kahe to hum jaan bhi de denge,
imtihan me ishq ke maanenge nahi haar,
tujhe chaaha hai bas tujhe hi chahenge...
Ek insaan hoon main

wo kehti thi uske hothon ki muskaan hoon main,
par koi bhagwan nahi, bas ek insaan hoon main,

muskuraata tha usi ka chehraa dekh ke har lamha,
aaj wo kehti hai uske liye koi anjaan hoon main,

muskurana padta hai ye sochke ki koi jaan na le,
koi aashiq nahi bas ek tuta huwa makaan hoon main,

ashiqui ki thi sochke ki koi haseen ehsaas hai ye,
ab apni usi soch ke kaaran pareshaan hoon main,

kehte hain log ki duwa karo wo khush rahe jahaan hai,
par kaise? koi bhagwaan nahi, bas ek insaan hoon main...
Achchi baat nahi

kisi ki yaad me rona achchi baat nahi,
khud ko yun tadpaana achchi baat nahi,
main ye nahi kehta ki bhula do usko tum,
par khud ko sataana achchi baat nahi,

duur hai tumse kuch majboori hogi uski,
use bewafaa samajhna achchi baat nahi,
kuch lamhe khushi k sang bitaaye honge,
un lamhon ko bhulaana achchi baat nahi,

kuch pal hi sahi khushi thi tumhaare saath,
un haseen palon ko bhulaana achchi baat nahi,
yaad kar un palon ko fir muskurao na tum,
ghamon ko yaad kar rona achchi baat nahi....
Wo humein bhulaa gaye

humein to aadat thi unke baahon me rehne ki,
par khafaa hoke humse wo daaman chhuda gaye,

unke aane se hamare jeewan mein bahaarein thi,
jaate jaate wo humein firse banjar banaa gaye,

wo humein apna banaake kyun bhulaa gaye,
kuch pal hasaake humein firse rulaa gaye...
Tanha akela

ghumon se mera rishta kuch is qadar jud gaya,
jo bhi mera apna raha mujhse duur chala gaya,
main dhundta raha ki koi humsafar mile mujhe,
mile to bahut par har koi mujhse bichhad gaya...
Kabhi to aaya karo

yun kisi bahaane se humein na bulaaya karo,
jab chaahe tumhaara dil tum hi aa jaaya karo,
hum to kabse aankhen bichhaye baithe hain,
chupke se aake mere seene se lag jaaya karo,

ye dard judaai ka ab humse saha nahi jaata,
kyun sataate ho, aake humse mil jaaya karo,
bhoolen nahi hain hum tumhaari koi baat ab bhi,
yaadon me rehte ho, kabhi haqeeqat me aa jaya karo,

achchi nahi ye aadat tumhaari humein tadpaane ki,
kabhi to is tute dil pe tum taras khaaya karo,
mar na jaaye kahin ye dard-e-judaai me o jaana,
aake zaraa is dil pe pyaar ka marham lagaaya karo...
Abhaaga

pyaar sabko milta hai bas main hi ek abhaga hoon,
pyaar ki talaash me hi mera jeewan nikal jaayega,

tum to pyaar ki devi ho, tumhi ko sab chahte hain,
mujhe thoda pyaar doge to tumhaara kya chala jaayega,

thokron ki mujhe aadat hai, tum bhi thokar maar hi do,
par ye aashiq laut ke tumhaari chaukhat par hi aayega...

Wednesday, March 7, 2012

Tum hi tum ho

shayaron ki mehfilon me khud ko tanha paata hoon,
pagal mujhe samajhte hain jab main gungunata hoon,

tum se hi subah meri, bas tumse hi meri shaam hai,
tum hi tum ho har jagah, bas tumhaara hi naam hai,

tum ho meri zindagi main tumko hi bas chaahta hoon,
tum ho meri yaadon me bas tumhaare geet gaata hoon...
Koi ansuni si awaaz

koi ansuni si awaaz hai jo mujhe apne paas bulaati hai,
aur kareeb aate aate mujhse bahut duur chali jaati hai,
main dhundta rehta hoon use kaale raat ke andheron me,
jaane kyun wo awaaz kabhi mere saamne hi nahi aati hai...
Mohabbat ki laash

na aansoo kahin hote, na dard kahin hota,
agar itna aasaan hota bhulana mohabbat ko,
jeewan ke har ek raah pe raakh bichhi hoti,
agar itna aasaan hota jalaana mohabbat ko...
Aur kareeb aa jaate ho

deewaangi ko apne tum nafrat ka libaas kyun pehnate ho,
ye mohabbat hai, tabhi do kadam chal ke theher jaate ho,

tum har ek koshish zid me karte ho humse duur jaane ki,
har baar humse duur jaate jaate aur kareeb aa jaate ho...
Meri manzil

tut ke kai baar me tukdo me bikhar jaata hoon,
jab tumhe yaad kar ke khudko tanha paata hoon,

aagaaz tum, anjaam tum, manzil bhi meri tum hi thi,
ab safar me zindagi ke har kadam pe thahar jaata hoon...