Saturday, March 24, 2012

Tumhe dekhte hi reh jaate hain

jana tumhe dekh ke hum tumhe dekhte hi reh jaate hain,
hum khoke tumhaari aankhon me doobte chale jaate hain,

kai baar tumse kehna chaahaa har baar hum ruuk jaate hain,
chup reh nahi paate hain aur kuch keh bhi nahi paate hain,

muskaan tumhaari dekh ke hum mann hi mann muskuraate hain,
tanhaayi me tumhe yaad kar pyaar ke geet gungunaate hain,

aaj tumhe sab keh denge hum is dil ko roz samjhaate hain,
har baar tumhaare saamne aake kuch kehne se dar jaate hain,

hamaare dil me jo bhi armaa hain wo dil me hi reh jaate hain,
zubaan se kuch bhi kehte nahi bas ghazal bante reh jaate hain...

No comments:

Post a Comment