Wednesday, November 27, 2013

Mujhe kho jaane do naa

naa roko tum khudko jaanaa, aur paas aa jaane do naa
mere dil ki pyaas bujhaane seene se lag jaane do naa

kabse maine sunaa nahi hai kehdo naa tum mere ho naa
ab bheegey se ehsaason ko bheegey se ho jaane do naa

saagar si gehri do aankhein, mujhko apne paas bulaati
apni gehri aankhon mein tum, mujhko kho jaane do naa

kholdo apni zulfon ko tum, kuch der main un se khelun 
zulfon ke saaye mein apne, umra bhar reh jaane do naa

hothon se chhuu lene do naa, naram gulaabi honth apne
chhuuke tumhaare hothon ko ab madhosh ho jaane do naa

khwaab ho yaa haqeeqat ho, saamne ho tumhaaraa chehraa
bas dekh ke us chehre ko, paagal mujhe ho jaane do naa

dekhun tum ko, sochun tum ko, tum ko hi chaahun jaanaa
apne is deewaane ko tum, aur zyaadaa ban jaane do naa

shabdon ko ab jod jod ke tasveer tumhaari banaataa hoon
mohabbat ke rangon se apne, ise rangeen ho jaane do naa

'Hriday' tumhaari chaahat mein kyaa ab banna chaahtaa hai
likhun tumhaare chehre par, kavi mujhe ban jaane do naa

Tuesday, November 19, 2013

Majboor kar diyaa

aapki mohabbat ne kuch is tarhaa humpe asar kar diyaa
rokaa bahut khud ko, deewaanaa humein magar kar diyaa

hum khoye rahe nashe mein, aapki aankhon ke raat bhar
pataa hi nahi chalaa ki kab raat se dopahar kar diyaa

naam se aap ke ab hamaaraa naam judne lagaa har jagah
judaa aapse hamaaraa anjaanaa saaraa shahar kar diyaa

maikhaane pe sharaab ke gaye hum hazaaron baar, magar
aapki un do aankhon ne har nashe ko be-asar kar diyaa

jalaate rahe hain chiraag roshani ke liye hum aaj tak
aapki tasveer ne roshan hamaaraa saaraa ghar kar diyaa

yun to nahi hai pyaar 'Hriday' ko jahaan mein kisi se
aapki aankhon ne majboor jaagne ko raatbhar kar diyaa
Tumhaari aankhein

kuch to baat hai tumhaari aankhon mein
jo dekhun to dekhtaa chalaa jaataa hoon
koshish bahut kartaa hoon sambhal jaaun 
par har baar main fisaltaa chalaa jaataa hoon

jo nashaa hai unmein kyaa bataaun jaanaa
dekh lun to bas jhoomtaa reh jaataa hoon
laakh chaahun ki nazar churaa lun un se
apne nazar ko hataa hi nahi paataa hoon

kareeb mujhe bulaati hain tumhaari aankhein
kitne hi sapne dikhaati hain tumhaari aankhein
in aankhon ki mastiyaan kyaa bataaun main jaanaa
mohabbat karnaa sikhaati hain tumhaari aankhein

kisi sharaabi ke liye jaam hain tumhaari aankhein
premi ke liye haseen shaam hain tumhaari aankhein
doob jaaye samundar bhi tumhaari do aankhon mein
meraa har aaghaaz, har anjaam hai tumhaari aankhein

Friday, November 15, 2013

Guzaarish

khwaab hain kaanch ke, kaanch ki har khwaahish hai
hothon par muskaan saji aur aankhon se baarish hai

dil mein hai kuch hamaare aur zubaan kuch aur kahe
hai kis kaa yeh khel saaraa, kiski yeh saazish hai

jisko kabhi kuch naa milaa woh usi mein khush rahaa
jisko milaa jitna zyaadaa, us ki utni farmaaish hai

kaisi deewaali hai, yahaan jashn hai kaisaa bhalaa
zameen pe andheraa ghanaa, aasmaan mein aatish hai

kaanton se saji raahon pe nange paaon chalnaa hogaa
mushkilen hi har taraf hain kaisi yeh aazmaaish hai

kisko yahaan apnaa kahen hum, kaun hai apnaa yahaan
har taraf dikhaawaa hai, har taraf bas numaaish hai

duwaaon mein maangte hain bas taaqat muskuraane ki
naa dekhle koi rote huwe bas itni si guzaarish hai

Thursday, November 14, 2013

Pyaar karne lage hain

humein khwaabon mein sajaakar sanwarne lage hain
aap mohabbat mein aur zyaadaa nikharne lage hain

jab chhooo liyaa humne bheegey labon se labon ko
khwaab haseen se dil mein saare umarne lage hain

hum jab kabhi dekh lete hain aapko khwaabon mein
do kadam khwaabon mein chalke thaharne lage hain

kuch to hai baat aap ke madbhari un aankhon mein
ki baar baar un aankhon se pyaar karne lage hain

kuch haal apnaa deewaano saa ab yun ho rahaa hai
hum kabhi jeene to kabhi aap par marne lage hain

dil ke armaan hamaare hain unn patangon ke jaise
dor jiski chhodne to kabhi hum pakadne lage hain

baazuon mein aap ko hum apne bharnaa bhi chaahen
magar khud hi kyun tootke hum bikharne lage hain

unn aankhon ki masti, bheegey labon ki woh laali
uuuuffff haddon se mohabbat ke guzarne lage hain

mohabbat aap se bepanaah hai 'Hriday' ko, magar
kadam aage badhaane se hum kyun darne lage hain

Monday, November 11, 2013

Ek aur ilzaam sahi

miley hazaaron humein, ek nayaa ilzaam sahi
ghamon ke samundar mein gham kaa inaam sahi

kisine paagal kahaa, kisine kahaa deewaanaa 
bewafaa jo naam diyaa, ab to yahi naam sahi

raaste ke paththar ko har kisine thukraayaa
kisise hum kyaa kahen, thokrein tamaam sahi

dard leke hi aaye the, dard leke jaanaa hai
dard har subah ab, dard bhari har shaam sahi

maikhaane ke chaukhat pe apnaa thikaanaa ho
apne kismat mein yaaron botal aur jaam sahi

apne kis kaam ke mohabbat bhare jo geet the
baazaar mein bech den kaudiyon ke daam sahi

apne alfaazon mein sur kahaan se laayen hum
ghazal nahi ban paaye ab, aur koi kaam sahi

muskaan kabhi aayi nahi sukhey in hothon par
maut gale lagaa len hum, maut hi aaraam sahi

jee to hum paaye nahi, mar mar ke jeete rahe
dard bhare is jeewan kaa dard hi anjaam sahi