Friday, August 30, 2013

Yeh kaisaa milan

main rokun khud ko ki jaa ke milun tumse
baahon mein bhar lun yaa rahun dur tumse
kyaa karun main us pal aur kyaa naa karun
chup ranun yaa jaake sab kuch kahun tumse

do kadam ki doori pe tum khade the mujhse
samajh hi naa paayaa kadam badhaaun kaise
ab tak khud ko hi samjhaa nahi paayaa main
tum ki kaho main tumhe kuch samjhaaun kaise

geeli aankhen tumhaari keh rahi thi kuch shaayad
kadmon ko rok rahi thi jo mere aage badhne se
main kisi aur ki hoon ab, jaante ho naa tum
rok rahi thi ye baat tumhe baahon mein bharne se

khushi milan ki hai kyun naa jhoom jaaun main
koi geet milan kaa kyun naa aaj gungunaaun main
aur dard is baat kaa ki tum mere nahi ho sakte ab
tum hi kaho is haalat mein kaise sambhal paaun main

apne is paagal dil ko ab kaise samjhaaun main
dhundun tumhe ki khud hi ab gum ho jaaun main
paayaa is tarhaa se tumhe ki fir paa naa sakaa
jiun khushi mein yaa gham mein hi mar jaaun main

Thursday, August 29, 2013

Mohabbat nibhaayenge

teri hi khushboo se hum sanwar jaayenge
hum mohabbat me toot ke bikhar jaayenge

jab bhi aankh band kar humein dhundegi
hum tere har khwaab mein nazar aayenge

roshan kar mohabbat se teri duniyaa hum
har andhere ko tujh se dur kar jaayenge

cheen ke aansuon ko teri aankhon se hum
zindagi teri khushiyon se bhar jaayenge

kabhi qaraar mile to kabhi beqaraari ho
kuch is tarhaa tujhpe asar kar jaayenge

zarurat pade agar kabhi jaan dene ki to
waadaa hai tujhse pehle hi mar jaayenge
Main kyaa laayaa hoon

dene ke liye tumhein main gulaab laal laayaa hoon
rang dun tumhein isliye thodaa gulaal laayaa hoon

kab se chal rahaa thaa main akele is zamaane mein
ab karne ishq main aashiquon ki chaal laayaa hoon

jo tumhaare khoobsoorat se dil ko pasand aa jaaye
mohabbat kare tum se woh dil bemisaal laayaa hoon 

paagal saa ho gayaa thaa, tumhaari tasveer dekh ke
usko tumhaare deedaar ke liye sambhaal laayaa hoon

kyaa laayaa hoon tumhaare liye, ab kyaa kahun tumse
kyaa rahoge umra bhar saath, yeh sawaal laayaa hoon

naa rahe koi shikaayat tumhe main karun ishq der tak
fursat ke kuch lamhein apne main filhaal laayaa hoon
Mohabbat nibhaanaa tum

aao kareeb to fir duur jaa jaanaa tum
apne kiye har waade ko nibhaanaa tum

badh jaaye kabhi beqaraari is dil ki to
baahon mein bharke seene se lagaanaa tum

pyaas kabhi badh jaaye jo mere is dil ki
apne labon se pyaas ko bujhaa jaanaa tum

jaltaa ho jism jab jaade ke mahino mein
aa ke use thandak pahuchaake jaanaa tum

geet likhun kabhi naam se tumhaare main
apne hi hothon se us ko gungunaanaa tum

roke yeh duniyaa, bandhan ho zamaane kaa
apne kadam ko bas pichhe naa hataanaa tum

deke thodi si mohabbat apne deewaane ko
dil ki deewaangi ko aur badhaa jaanaa tum
Kaafi hogaa

samajhte hain woh hamaaraa dil unke shringaar pe aayaa hai
kyaa bataayen unki saadgi ne humein deewaanaa banaayaa hai

paas aane ke liye har bahaanaa kaafi hogaa
dil lubhaane ke liye sharmaanaa kaafi hogaa

dhadkanein tez karne ke liye kyaa chaahiye
aa ke baahon mein simat jaanaa kaafi hogaa

baarish ke liye baadal ki kyaa zarurat hai
aankhon mein kaajal lagaa lenaa kaafi hogaa

parchhaai khud hi apnaa raastaa dhund legi
sirf tumhaaraa saath nibhaanaa kaafi hogaa

qatl karne ke liye khanjar ki kyaa zarurat
tumhaari nazar ko jhukaa lenaa kaafi hogaa

tasveer khoobsurat koi ban jaaye apne aap
tumhaaraa saamne baith jaanaa kaafi hogaa

kisi ko shaayar banaa de aankhein tumhaari
sirf tumhaaraa nazar aa jaanaa kaafi hogaa

nashey ke liye sharaab ki kyaa zarurat hai
bas tumhaaraa kareeb aa jaanaa kaafi hogaa

mohabbat kisi saadhu ko bhi ho jaaye tumse
pyaar se tumhaaraa muskuraanaa kaafi hogaa

Wednesday, August 28, 2013

Apnaa makaan dhundte hain

jaane kyaa cheez hum ho ke pareshaan dhundte hain
ret pe jaane kiske pairon ke nishaan dhundte hain

kuch to khoyaa hai humne magar kyaa maaloom nahi
bheed mein hum aksar apni hi pehchaan dhundte hain

band lifaafe mein khat daal ke ghumte hain hum aksar 
pahuchaane ke liye ab apnaa hi makaan dhundte hain

hamaare chehre par se woh shaayad gum hai ho chukaa
bachchon ke chehron par ab hum muskaan dhundte hain

bahut bheed hai yahaan, ab mushkil hai saans lenaa
udne ke liye ab khulaa saa ek aasmaan dhundte hain

jis ko dekhaa nahi woh kyaa samajh paayegaa humein
hum ko samajh sake bas ek aisaa insaan dhundte hain

ho koi aisaa jis ko hum jaise se mohabbat ho jaaye
ek aisaa shaqs yahaan to kabhi wahaan dhundte hain

itnaa toote hain hum ki ab dard hotaa hai jeene mein
jahaan koi dil naa tode ek aisaa jahaan dhundte hain

chain miltaa nahi kahin humein dard ke samundar mein
raahat ke liye hum aajkal bas shamshaan dhundte hain

Hum apne shahar mein rahe

hum un ke intezaar mein apne hi shahar mein rahe
band apni hi deewaaron mein, apne ghar mein rahe

roshni yun gayi zindagi se unke jaane ke baad ki
sau chiraag jalaakar andheron ki nazar mein rahe

barsaa agar paani to woh kabhi rukaa nahi yahaan
jahaan thaa sirf banjar, hum uss nagar mein rahe

har rishtey ko bhulaayaa thaa unko paane ke baad
woh miley nahi waapas hum jinki khabar mein rahe

naa sambhaalaa kisi ne humein unke jaane ke baad
yun tute hum ki barson us dard ke asar mein rahe

naa kabhi woh aaye naa hi aayi unki kabhi khabar
bas intezaar mein hum raat aur dopahar mein rahe

Tuesday, August 27, 2013

Yun badhi dooriyaan

dekh tumhaari tasveer tanhaai mein muskuraate rahe
us tasveer ko hi hum apnaa haal-e-dil sunaate rahe

jaane kyaa is dil mein thaa ki keh kuch paaye nahi
jab bhi tum nazar aaye, hum hi nazar churaate rahe

dil ko kyaa chaahiye yeh dil hi samajh paayaa nahi
ret par tumhaaraa naam likhke khud hi mitaate rahe

bahut koshish ki tumne hamaare kareeb aane ke liye
jaane kyaa sochke hum hi kadam pichhe hataate rahe

tum karte rahe intezaar ki haan ho hamaari taraf se
aur hum apni majbooriyon kaa bahaanaa banaate rahe

rishtaa tum se judte judte kitni hi baar reh gayaa
badhti rahi dooriyaan aur hum hi aur badhaate rahe

kyaa yeh mohabbat hai yaa sirf bechaini koi dil ki
kabhi haan to kabhi naa mein hum waqt bitaate rahe

kabhi lagaa tum wahi jo jis se dil kaa rishtaa hai
kabhi ek achchaa dost kehkar dil ko samjhaate rahe
Wo laut aayegi

zindagi meri fir se sambhal jaayegi
kismat kuch dino mein badal jaayegi

kabhi to hogi baarish is taraf bhi
yeh banjar zameen bhi lehlahaayegi

abhi to bhatak gayi hai woh raastaa
panchhi apne ghosle mein laut aayegi

paththar kaa nahi banaa dil us kaa
kab tak meri mohabbat ko aazmaayegi

kabhi to nazar padegi uski mujh par
tabhi meri haalat ko samajh paayegi

naaraaz hai woh mere kisi baat par
ek din woh mujhe dekh muskuraayegi
Kyaa laayaa hoon

bhooley they tum pehli mulaaquaat mein
tumhaaraa wohi main rumaal laayaa hoon

kyaa dun tumhe main samajh paayaa nahi
tumhaare liye ghulaab laal laayaa hoon

rang jaaye khushiyon ke rang se zindagi
saath chaahaton kaa gulaal laayaa hoon

naa karnaa shikaayat paas naa honey ki
kuch pal fursat ke filhaal laayaa hoon

Monday, August 26, 2013

Ishq beshumaar ho

mere aane kaa kuch is tarhaa se intezaar ho
thodi si beqaraari ho, thodaa saa qaraar ho

naa guzre lamhen, jab tak naa pahuchun main
mere pahunch jaane par jee bhar ke pyaar ho

bhool ke duniyaa, meri baahon mein tum raho
dekho meri aankhon mein aur unpe aetbaar ho

bheegey labon se mere labon ko chhoo lo tum
chhooke labon se fir labon kaa shringaar ho

ankahi har baat ko, bin kahe samajh len hum
har baat mein hamaare khumaar hi khumaar ho

do jism se ek jaan ho dooriyaan mitaake hum
kuch naa ho darmiyaan bas ishq beshumaar ho
Tum kyaa ho

tum kyaa ho is baat se khud hi anjaan ho tum
kisi ki mohabbat ho, kisi ki pehchaan ho tum

bachche ke haath se khilauna toot jaaye agar
uske chehre pe lautaane waali muskaan ho tum

jis kaa har sapnaa tootaa ho aaine ki tarhaa
uske liye to pooraa hone waale armaan ho tum

kisi ke paas daulat, kisi ke paas shohrat hai
is gareeb ke liye to ab saaraa jahaan ho tum

kabhi padhaa nahi, na hi jaanaa un kitaabon ko
tum hi meri bible ho aur meri quraan ho tum

saanson me basti ho, ragon ki rawaani mein ho
jaanti ho tum bhi, mere liye meri jaan ho tum
Thodi der lagegi

mausam ke badalne mein thodi der lagegi
phoolon ke khilne mein thodi der lagegi

geeli hain yeh lakdiyaan kai mahino se
abhi in ko jalne mein thodi der lagegi

honth sukhe hain baarish ke naa hone se
abhi to muskuraane mein thodi der lagegi

aansoo soch rahe hain ki nikle yaa nahin
unhe nikalne mein abhi thodi der lagegi

abhi tak to unhe samajh hi rahe the hum
khud ko samjhaane mein thodi der lagegi

puraane woh zakham abhi sukhe nahi hain
hum ko sambhalne mein thodi der lagegi

kisi aur se mohabbat hum ab kaise karlen
unko abhi bhulaane mein thodi der lagegi

Friday, August 23, 2013

Mohabbat

yeh ilzaam naa lagaao ki maine tum se mohabbat nahi ki
aur baat hai ki tumne kabhi samajhne ki koshish nahi ki
dekhaa tumne bas un zamkhon ko jo maine diye hain tumhe
magar kabhi mere gehre zakhmon ki tumne parwaah nahi ki

jaante the naa tum ki main tum bin jee saktaa nahi thaa
jaante the naa main tum bin muskuraa saktaa nahi thaa
tum ban ke meraa sab kuch mujhe hi badbaad kar chale the
jaante the naa tum ki tumse judaa sambhal saktaa nahi thaa

chhaalen tumne dekh liye apne dil ke, woh ginwaa liye mujhse
magar jo chingaariyaan jali thi is dil mein dekhaa nahi kabhi
gaye tum chhod ke meraa sab kuch, tabaah mujhe kar ke us roz
aur kyaa huwaa anjaam meraa palat kar tumne dekhaa nahi kabhi

shaayad tum samajh hi naa paao kabhi ki kyaa ho mere liye tum
magar yeh saansen meri jaanti hain tumhaari kitni zarurat hai
khoon kaa ek ek qatraa jism mein kehtaa hai tumne bhulaa dun
magar yeh dil aaj bhi kehtaa hai ki mujhe tum se mohabbat hai
Yeh kaisi duwaa tumhaari

yeh kaisi mohabbat hai tumhaari
yeh kaisi duwaa hai tumhaari 

jo mujh se meri khushiyaan chheen ke
mujhe khush rehne ko keh rahi ho
deke zakhm mujhe zamaane bhar kaa
kaise mujhe muskuraane ko keh rahi ho
yeh kaisi mohabbat hai tumhaari
yeh kaisi duwaa hai tumhaari 

saansen meri mujh se chheen rahi ho
meri dhadkano ko rukne ko keh rahi ho
ban ke meri zindagi tum jaanaa
kyun khud ko bhul jaane ko keh rahi ho
yeh kaisi mohabbat hai tumhaari
yeh kaisi duwaa hai tumhaari 

jaanti ho naa ki tum bin main kuch nahi
tum bin meraa wajood kuch bhi to nahi
chheen ke mere pairon tale se zameen
tum mujhe sambhalne ko keh rahi ho
yeh kaisi mohabbat hai tumhaari
yeh kaisi duwaa hai tumhaari 

chalo ek waadaa hum bhi kar lete hain aaj tumse
naa milenge tumhe hum tumhaare maut ke baad bhi
jiyenge jab tak, tumse mohabbat karenege hum
aur karte rahenge mohabbat maut ke baad bhi
karke mohabbat mujhse yeh kaisi sazaa di tumne
yeh kaisi mohabbat hai tumhaari
yeh kaisi duwaa hai tumhaari ..........

Thursday, August 22, 2013

Bas itni si mohabbat hai

chhaalen pairon ke aksar poochaa karte hain humse yeh
kyun jaate ho us se milne jise tumhaari zarurat nahi
huye jaa rahe ho paagal tum use seene se lagaane ko
aur woh hai jis ko tumse ratti bhar bhi mohabbat nahi


kyaa bataayen hum pairon ke chhaalon se....


woh nahi hote paas to har taraf kuch kami si rehti hai
honth muskuraate hain, aankhon mein nami si rehti hai

armaan dil ke janam lene se pehle hi dum tod dete hain
aur dil ki har baat zubaan tak aake thami si rehti hai

unki aankhen, unke honth, unki zulfen, kyaa kahen hum
sirf unke khayaal se yeh zindagi shabnami si rehti hai

dard hotaa hai kitnaa yeh bayaan kar paate nahi kisi se
har khwaaish apni barf banke dil mein jami si rehti hai

woh dekhte hain humein apni khidki se jhaank ke har roz
nazar unke deedar ke liye us khidki pe jami si rehti hai 

jhalak unki saason ko zinda karne ke liye hai kaafi hoti
aur dhadkan is dil ki zindaa hone ko thami si rehti hai

kuch to hai rishtaa us haseen chehre se meri saanson kaa
naa dikhe woh chehraa to har jagah kuch kami si rehti hai

dhundti hai yeh nazar bas ek haan unki aankhon mein, aur
isi ummeed ki talaash mein yeh nazar thami si rehti hai
Bouncer

kyaa problem hai jo tum itnaa frustate karti ho
yeh aadat achchi nahi jo itnaa dominate karti ho

khujli karne ke liye dusre ko delegate karti ho
apne aalas ki wajah se har kisi ko late karti ho

kaun kise jhel rahaa hai yeh to sab jaante hain
kyun apne hi bewakoofi pe itnaa debate karti ho

poth kar powder chehre pe chaand banne chali tum
chaand ki roshni ko kyun tum manipulate karti ho

mujhse kehti ho ki main har kisi ko ghoortaa hoon
tum to gali ke har aawaaraa ke sangh date karti ho

agar mil gayaa hai tumko tumhaaraa Mr. Right to
kyun zamaane ko naam batane se hesitate karti ho

chaahti ho ki flight meri chhute honeymoon waali
tum to jaane ke liye bail gaadi kaa wait karti ho 

chalo maan lete hai ki hum thehre tubelight magar
kyaa tum voltage ho jo itnaa fluctuate karti ho

khud lagaati signature ki jagah anguthaa chhaap
magar zamaane ko har baat par educate karti ho

baat kaa mere buraa maano to maan bhi lenaa ji
magar baaton se tum mood kaa chocolate karti ho

udaas se chehre par bhi khulke muskaan aa jaaye
mood kaa apne baaton se change of state karti ho

Wednesday, August 21, 2013

Hajmola

baatein to aisi karti ho ki khud badi polite ho
jaane kyun baat baat pe ladkon se karti fight ho

kitnaa bhaaw khaati ho, jaane kyaa samajhti ho
kyaa taarif karun, tum to sharaafat ki height ho

dekho khud ko kitni paagal si ho rahi ho tum aaj
lag rahaa hai gali ke kisi kutte ne kiyaa bite ho

poth ke chehre pe itnaa powder kyaa sochti ho tum
chehre ho jaaye aisaa jaise nirma super white ho

kar lo thodaa control apne udaanon par tum aaj
lag rahaa hai jaise ladki nahi kati hui kite ho

kab chaahtaa hoon main karnaa tumhaaraa insult
chaahtaa hoon main ki tumhaaraa future bright ho

ho jaaye love tumhe bhi kisi handsome ladke se
usi ki yaadon mein doob ke tumhaari har night ho

magar kyaa karen samajhne mein itni der lagaati ho
lagtaa hai dimaag hai hi nahi, tum to tubelight ho

ummeed hai meri baaton ko dil se naa lagaayaa hogaa
main chaahtaa hoon has haske tumhaari haalat tight ho

Tuesday, August 20, 2013

Mohabbat har baar karun

chaahun tujhe main, teri deewaangi se pyaar karun
teri aankhen ho saamne aur bas unpe aetbaar karun

naa kuch bhi kahun tujhse naa kuch main teri sunu
in labon se chhuke tere labon kaa shringaar karun

zulfon ke baadal mein is tarhaa chhip jaaun kahin
saamne teraa chehraa ho aur usi kaa deedaar karun

leke tujhe baahon mein tere dhadkan pe dastak dun
deewaanaa banaa de tujhe kuch aisaa ab yaar karun

main mehkun teri khushbu mein aur mehke mujhse tu
dhadkan kyaa cheez hai jaan tujh par nisaar karun

meri tujhse har subah ho, tujhse hi har shaam meri
karne ko kuch kaam naa ho mohabbat beshumaar karun

mar bhi main jaaun agar aur janam ho dusraa meraa
bas tujhse hi mohabbt main, jaanaa har baar karun

Saturday, August 17, 2013

Ghazab poochhte hain

woh har sawaal hi to ajab poochhte hain
hamaari haalat humi se ab poochhte hain

woh chheen kar sab kuch hamaaraa hum se
ab hamaare ghum kaa sabab poochhte hain

chhod aaye majdhaar mein hamaari kashti
doobi kahaan woh kashti ab poochhte hain

thaa nahi poochaa dil lagaane se pehle
ab hum se hamaaraa mazhab poochhte hain

ehsaas hi nahi unko lootaa jisne humein
hain hum kitne tanhaa sab poochhte hain

tayyar hain baithe chhodne yeh duniyaa
hamaari razaamandi ab rab poochhte hain

jisne bhi hai maangaa haske diyaa sab ko
dene se pehle kuch hum kab poochhte hain

har baar haan mein hain sar hilaate hum
jab bhi un ke kaanpte lab poochhte hain

kyaa humein ab bhi un hi se mohabbat hai
aji dekhiye woh kyaa ghazab poochhte hain

Friday, August 16, 2013

Tanhaayi

koshish kyaa naa kiya humne usko bhulaane mein
kabhi mile mandir mein to kabhi maikhaane mein

mashoor hote rahe hum mehfilon mein yaaron ke
zikar hamaaraa aayaa ghum ke har fasaane mein

kareeb koi aayaa kabhi to aayaa woh bhoole se
tanhaa hameshaa rahe hum apne aashiyaane mein

mile hain zakhm itne ki ab kyaa bataayein hum  
dard bhar aayaa hai hamaare dil ke paimaane mein

naa hum ne bulaayaa naa hi usne dekhaa mud ke
umar guzaar di ek dusre ko samajh paane mein

dooriyaan thi hi kitni darmiyaan hum dono ke
humne hi waqt lagaa diyaa kadam badhaane mein

chale the dhoondne hum apni zindagi dar badar
jaane kahaan gum ho gaye hum hi is zamaane mein
Mere zakhmon ki kahaani

humein uski yaadein usse dur jaane nahi deti
aur hamaari mohabbat usko bhulaane nahi deti

aainaa poochtaa hai hamaare ghum kaa sabab
hamaari aadat humein kuch bataane nahi deti

jhhad gaye hain phool aur patte shaakhon se
khizaan bahaar kabhi laut ke aane nahi deti

kashtiyaan jo bhatak gaye hain toofaan mein
hawaa saahil tak lautaa ke laane nahi deti

chaahaa kai baar udd jaayen pankh failaa ke
bediyaan pairon ki kadam badhaane nahi deti

har lamhaa koi nayaa dard deti hai zindagi
kabhi zakhmon par marham lagaane nahi deti

shabd kai bikhre pade hain ghazal banne ko
kismat apne hi hunar ko aazmaane nahi deti

poochhte hain zakhmon se, muskuraaye kaise
haalat apni ab humein muskuraane nahi deti

Thursday, August 15, 2013

Zarurat hai

khaamosh si zindagi mein thodi sharaarat ki zarurat hai
tadap rahaa hoon main kabse mujhe raahat ki zarurat hai

ab aur achchaa nahi lagtaa mujhe aansuon ke bich rehnaa
udaas se is chehre par thodi muskuraahat ki zarurat hai

bahut tanhaa hoon, bahut soonaa hai meraa jahaan saaraa
dhund rahi hain aakhein meri, kisi aahat ki zarurat hai

kab tak yun hi bandhe rahen hum unch nich ke bandhan se
ab mohabbat ki khaatir thodi si bagaawat ki zarurat hai

safar mein zindagi ke hai har shaqs ne thukraayaa mujhe
bahut ji chukaa nafraton mein ab chaahat ki zarurat hai
Kiske liye hai

yeh nazar sharaabi kiske liye hai
bheege lab gulaabi kiske liye hai

hain jheel si gehri aankhein teri
aankhon kaa kaajal kiske liye hai

pardaa chehre par zulfon kaa tere
sharam-o-hayaa yeh kiske liye hai

chalti hai to chhann chhann karti
pairon mein paayal kiske liye hai

yun baat baat par hai has deti tu
andaaz-e-sharaarat kiske liye hai

jo dekhe tujhko woh dil de baithe
yeh husn kaa jaadu kiske liye hai

kisi shaayar ki tu ghazal hai koi
par bani ghazal tu kiske liye hai

mere liye to koi khwaab hi hai tu
magar bani haqeeqat kiske liye hai

Wednesday, August 14, 2013

Anjaam nazar aayaa

tumhaaraa chehraa mujhe har shaam nazar aayaa
gehre zakhmon mein tumhaaraa naam nazar aayaa

aankhen meri geeli rahi tum se mili choton se
aur mujhpar hi har qatl kaa ilzaam nazar aayaa

tumne jab bhi daawaa kiyaa apni mohabbat kaa
bas mere hi barbaadi kaa intezaam nazar aayaa

waade tumne bahut kiye har waadaa nibhaane kaa
waadon mein bewafaai kaa paighaam nazar aayaa

aaghaaz khoobsoorat thaa hamaari mohabbat kaa
magar dhokhaa hi chaahat kaa anjaam nazar aayaa

itnaa dard diyaa hai mujhe zindagi ne ab tak ki
maut ko gale lagaane mein hi aaraam nazar aayaa
Aashiqui

aankhon ke samundar ko main aankhon se paar karun
baahon mein leke tujhe main ji bharke pyaar karun

bheege tere hothon se main nazrein do chaar karun
hothon se chhu ke tere hothon kaa shringaar karun

teri zulfon ko chehre se dheere se hataa loon main
haathon mein thaamke tere chehre kaa deedaar karun

karne ko kuch kaam naa ho tujh ko chaahne ke siwaa
har ghadi, har pal ab bas aashiqui mere yaar karun

dhadkane kyaa cheez hain do jism se ek jaan ho hum
mohabbat oh mere sanam main tujhse baar baar karun

is ishq ke nashe se mujhe hosh mein aane naa denaa
bas tu hi mere saamne ho main tujhpe aetbaar karun

Tuesday, August 13, 2013

Pehli mulaquaat kaa samaa

mujhe bhi yaad hai us raat kaa samaa
teri meri pehli mulaaquaat kaa samaa

bheegi si baarish mein bheege huye hum
aur woh teri meethi har baat kaa samaa

woh dooriyaan kab nazdikiyaan ban gayi
mere haathon mein tere haath kaa samaa

baahon mein aake tu yun machal gayi thi
yaad hai mujhe tere us saath kaa samaa

mil ke do jism se kab ek jaan huye hum
jismon ko jalaataa woh barsaat kaa samaa

jaanaa yaad hai mujhe us raat kaa samaa
hasi apni us pehli mulaaquaat kaa samaa
Zakhm abhi gehraa hai

meraa naaraaz saweraa hai
meelon tak andheraa hai

muskaan kahaan se laaun
abhi ghum kaa baseraa hai

mere ghar ke chaukhat par
dard aa ke jo thehraa hai

dard duur naa ho mujhse
kaanton kaa pehraa hai

main kaise bhool use jaaun
meraa zakhm abhi gehraa hai

jisne qatl kiyaa hai meraa
woh ek haseen saa chehraa hai

Monday, August 12, 2013

Ehsaan

woh shaqs jaate jaate aankhon mein paani de gayaa
mujhe jeene ke liye woh ghum ki nishaani de gayaa

maine khwaab kitne hi sajaaye the uske sangh magar
tod ke saare khwaab adhuri si ek kahaani de gayaa

naa koi saahil hai naa hi hai koi sahaaraa kareeb
zindaa rehne ke liye ek kashti baadbaani de gayaa

ghaaw itne gehre kiye ki main usko naa bhulaa saku
ehsaan thaa woh jism mein dard ki rawaani de gayaa

kyaa shikaayat usse karun pehle woh mere saath thaa
kuch palon kaa saath de ke tanhaa zindagaani de gayaa

de gayaa haathon mein woh meraa wahi sukhaa gulaab
is ke saath woh mujhe woh chitthi puraani de gayaa

woh jaate jaate de gayaa mujhe muskuraane ki kasam
meraa lootke saaraa jahaan itni si meherbaani de gayaa

Saturday, August 10, 2013

Ek sawaal meri maa se

apno ko aur apnaa banaanaa tujhse seekhaa
gairon ko bhi apnaanaa bas tujhse seekhaa
tujhse jaanaa maine muskaan ki sahi keemat
rote huye ko hasaanaa maine tujhse seekhaa

teri hi ungliyaan pakadke chalnaa seekhaa
haan sabse pehle maine maa kehnaa seekhaa
tujhse hi seekhaa har dastoor duniyaa kaa
maine tujhse hi to dard ko sehnaa seekhaa

haan maa, bas yahi wajah hai ki main har dard ko seh lungi, uuff tak naa karungi, tu ne sikhaaya thaa bachpan se ab tak ki sasural hi ladki kaa asli ghar hota hai, mujhe yaad hai maa...

magar tu hi bataa....


kyun mujhe hi tujhse duur jaanaa padaa
kyun mujhe hi kisi aur ke ghar aanaa padaa
kyaa kuch galti hui thi maa mujhse kabhi
kyun mujhe hi sab kuch bhulaanaa padaa

woh pyaar teraa, woh dulaar papaa kaa
woh bhaiyaa se baat baat pe jhagadnaa
har baat pe us kaa roothnaa, meraa manaanaa
naa maane woh mujhse to meraa aansoo bahaanaa

woh chhoti chhoti yaadein mere bachpan ki
woh chhoti chhoti baatein tum sab ki
kuch nahi bhooli main, mujhe sab yaad hai
woh din jab tu mere saath thi, mujhe yaad hai

aaj main duur, bahut duur hoon tujhse
kuch naye logon ke saath, naye ghar mein
jaanti hoon tu yahi kahegi ki mujhe yahi rehnaa hai
jaanti hoon main maa, main teri koi baat bhooli nahi

teraa ghar chhod main aa chuki hoon sadaa ke liye
magar ek sawaal tujh se rahegaa meraa hameshaa
main bhi to teri utni hi pyaari hoon naa jitnaa bhaiyaa hai
to kyun fark hai itnaa hum dono mein ki
woh shaadi kar ke bhaabi ko ghar le aayaa
meri shaadi hui to mujhe hi tujhse duur jaanaa padaa

kyaa paapaa jhoot kehte the ki main unko zyaadaa pyaari hoon
agar woh sach kehte the to aaj main unse itni dur kyun hoon
jin ke saath khoobsoorat bees baras beete meri zindagi ke
kyaa galti hui mujh se jo main unhi se aaj itni dur hoon

bataa naa maa, mere is sawaal kaa jawaab de naa
bas ek yahi sawaal hai meraa tujh se maa
mere is sawaal kaa jawaab de naa...

Friday, August 9, 2013

Jab baatein hui ishaaron mein

jab baatein huyi un se ishaaron mein
tab khabar chhap gayi akhbaaron mein

jaa pahunchi aasmaan tak khabar apni
hone lage charche chaand taaron mein

har baat mein baat bas unki hai aayi
agar kissa chhidaa kahin yaaron mein

ab nazar hamaari unko hi dhundti hai
galiyon mein to kabhi baazaaron mein

rog chaahat kaa kuch yun lagaa humko
ab naam aayaa hamaaraa beemaron mein

bheege labz baarish mein ehsaason ke
kai ghazal banne lage bahaaron mein

yeh baat kehne se ab kyaa ghabraanaa
maashooqaa hai hamaari hazaaron mein

Wednesday, August 7, 2013

Mujhe tadpaayaa naa karo

jhooti mooti baatein mujhse banaayaa naa karo
yun meri tasveer ko dekh sharmaayaa naa karo

jaantaa hoon main tumhe mujh se mohabbat hai
dil ki baaton ko mujh se chhipaayaa naa karo

jaante ho tum bhi meraa kyaa haal hai tum bin
yun jaan ke har baat mujhe tadpaayaa naa karo

baitho der tak mere saamne ki dekh loon tumhe
yun mujhse roz naye bahaane banaayaa naa karo

kahin neeyat mein khot naa aajaaye mere kabhi
yun mohabbat ke liye mujhe tarsaayaa naa karo

jaante ho main deewaanaa hoon tumhaare liye
haalat pe mere is tarhaa muskuraayaa naa karo
Judaai

jin raahon se tum duur gaye the
un raahon ko dekhtaa jaataa hoon
kabhi to laut ke aaoge tum, main
khud hi khud ko samjhaataa hoon

tasveer tumhaari dekh dekh kar 
akele hi main muskuraataa hoon
kamre ki deewaaron se ghir kar
tumhaare geet gungunaataa hoon

koi dekh naa le kahin aansoo mere
baarish mein bheegtaa jaataa hoon
chhipaa ke baarish ke paani mein 
apne hi aansooo main bahaataa hoon

ret pe tumhaaraa naam likh kar
khud hi use main mitaataa hoon
lehren unhe bahaanaa chaahe to
mitti se lipat main jaataa hoon

koi nahi jo sambhaale mujhe ab
har kadam pe main ladkhadaataa hoon
bas tumhaare ek deedaar ki khaatir
deewaano saa bhataktaa jaataa hoon

zindagi hi mere saath nahi ab, main
zindagi kaa saath nibhaataa hoon
kabhi to phir se milogi tum mujhse
bas is ummeed se jeetaa jaataa hoon...

Tuesday, August 6, 2013

Zindagi

waqt ne kuch is tarha se li angdaai hai
ki zindagi hum par fir se muskuraai hai

jab mile chaar logo se to maaloom huwaa
samjhe the zindagi kaa naam tanhaai hai

jisse dar kar ab tak bhaag rahe the hum
maaloom huwaa woh apni hi parchhaai hai

baahen failaake jab humne aawaaz di tab
zidagi hamaare baahon mein laut aai hai

dil chaahtaaa hai ab khushi se jhoomnaa
zindagi yeh khushiyon ki shaam laai hai
Asmanjas

aankhon aankhon mein woh izhaar kar jaate hain
kuch kahe binaa woh saamne se guzar jaate hain

unki deewaangi nahi to bhalaa yeh aur kyaa hai
sirf hamaaraa naam sunke woh sanwar jaate hain

shaayad kami hum mein hai abtak keh nahi paaye
manaa naa karden woh yeh sochke dar jaate hain

kitni baar koshish ki keh den dil ki baat hum unse
magar zubaan par laate laate hum thahar jaate hain

pehle aanaa hotaa thaa hamaari gali mein unkaa
ab unke deedaar ke liye unke shahar jaate hain

naa woh kehte hain naa hum se kahaa jaataa hai
koshish mein guzar kai raat dopahar jaate hain

din guzaar dete hain unki khidki ke saamne hum
aur raatein bas unki yaad mein guzar jaate hain
Kaise muskuraaungaa

jin raahon pe teraa haath pakad ke chalaa thaa
main ab un raahon pe akele kaise chal paaungaa

jo tu naa hogi thaamne ko meraa haath paas mere
yakeen hai ki main har kadam par fisal jaaungaa

jaantaa hoon meri muskaan pe tu jaan lutaati thi
tu hi bataa tujhse dur ho ke kaise muskuraaungaa

deke umra bhar kaa pyaar tu mujhse judaa ho gayi
bin tere pyaar ke tujhse alag kaise jee paaungaa

jaantaa hoon meraa har ashq tere liye dard hi hai
tu hi bataa apne aansuon ko ab kaise rok paaungaa
Maine kahaa thaa naa

naa jaanaa chhod ke mujhe, maine kahaa thaa naa
naa jee paaungaa tujh bin, maine kahaa thaa naa

aadat si ho gayi thi tere haathon se bani roti ki
yeh aadat aasaani se naa chhutegi, kahaa thaa naa

haan tere sanskaaron ki wajah se hi main, main hoon
magar ab mujhe kaun sikhaayegaa, yeh bataa do naa

teri roti aankhon ko har baar apne haathon mein liyaa
naa jaanaa apne is laadle se duur, maine kahaa thaa naa

dekh naa tere jaane se kitnaa tanhaa ho gayaa hoon main
naa koi ab kar sakegaa tere jitnaa pyaar, kahaa thaa naa 
Dil meraa nishaanaa ban gayaa

hamaari mohabbat ka fir ek nayaa afsaanaa ban gayaa
jabse yeh aashiq un ke husn kaa deewaanaa ban gayaa

ek baar milke dobaaraa milne ki khwaahish zaahir ki
firse unki mehfil mein jaane kaa bahaanaa ban gayaa

is zameen pe barson se baarish ki ek boond naa padi
bas unke ek naam se dekho mausam suhaanaa ban gayaa

tinkaa tinkaa jod ke jo khandar banaayaa thaa kabhi
woh aayenge sunke yeh khandar aashiyaanaa ban gayaa

jinko paane ke liye sab nazren bichhaaye baithe the
apnaa unse judaa rishtaa dushman zamaanaa ban gayaa

ab qatl karne ke liye khanjar ki kyaa zaroorat unhe
unki nazar bani teer, dil meraa nishaanaa ban gayaa

unke aankhon ki masti, unke labon ki laali, uffffff
us hasi kaa har andaaz jaise qaatilaanaa ban gayaa

har dard ko sehne ki dil mein taaqat kahaan se aayi
shamaa mein jal jaane ko dil ab parwaanaa ban gayaa

Monday, August 5, 2013

Mohabbat baar baar kar loon

aajaao paas mere ki main tumse thodaa pyaar kar loon
doob ke tumhaari aankhon mein unpar aetbaar kar loon

kyaa baat hai tumhaari aankhon me kyaa bataaun tumse
aashiq hoon unkaa, un se mohabbat baar baar kar loon

kab se pyaasi hain dil ki dhadkane mohabbat paane ko
rahaa nahi jaataa ab, naa kaho aur intezaar kar loon

lagaa ke seene se tumhein main mitaa doon duriyon ko
laa ke paas apne tumhe main baahon kaa haar kar loon

jaadoo tumhaare chehre kaa kuch is tarhaa kaa hai ki
apne dil ko qurbaan uspe har baar mere yaar kar loon

Sunday, August 4, 2013

Mohabbat nibhaane aayaa hoon

ret pe naam likh ke mitaataa thaa
aaj kuch alag kaam kar aayaa hoon
jis ret pe naam likhaa thaa uskaa
us ret ko main ghar le aayaa hoon

shaayad is dil ko aaraam miley ab
main sirf yahi soch ke aayaa hoon
mere toote dil ke tukdon ko, main
haathon mein uthaa ke laayaa hoon

mujhe aashiq kaho yaa kaho paagal
main to dil ko lutaane aayaa hoon
tasveer ko uske seene se lagaa ke
aaj ek waadaa nibhaane aayaa hoon

ise junoon kaho yaa kaho mohabbat
main fir se kuch gaane aayaa hoon
har ghazal apni usi ke naam karke
mehfil mein gungunaane aayaa hoon

jo aaj tak kisi se naa keh paayaa
woh main sabko bataane aayaa hoon
elaan-e-chaahat mehfil mein karke
main mohabbat nibhaane aayaa hoon
Laakhon mein meraa yaar hai

bajaaun koi dhun ki aaj haathon mein guitar hai
dosti kaa din hai aur mere saath meraa yaar hai

khushnasib hoon main, meraa yaar mere saath hai
binaa dost ke ho zindagi, to zindagi bekaar hai

bachpan se leke aajtak meraa dost mere saath hai
dost se meri har khushi, aur dost se sansaar hai

har lamhaa jo saath hai sukh dukh baatein meraa
hai agar woh saath mein, har din hi tyohaar hai

jo saath naa chhode kahin ghum ho yaa ho khushi
hai dosti hai zindagi mujhe dost pe aetbaar hai

woh nahi to kuch nahi, us se hai sab kuch meraa
aataa hai hothon pe mere yeh baat baar baar hai

seene se jiske lagke main bhool jaaun ghum sabhi
sach hai yeh baat ki laakhon mein meraa yaar hai

Saturday, August 3, 2013

Deewaanaa aajkal huwaa

jabse natkhat tumhaari aankhon kaa kaajal huwaa
yeh dil meraa fir se mohabbat mein paagal huwaa

jab chehre se apne zulfon ko hataayaa tumne tab
yeh dil meraa barasne ko pyaar kaa baadal huwaa

koshish laakh karlo tum, main duur jaaun tum se
yeh dil meraa tumhaare aur kareeb pal pal huwaa

yun asar kiyaa hai tumhaari aankhon ne mujh par
dil meraa lutne ko tum par paagal har pal huwaa

thaa yeh aashiq barson se haseen har chehre kaa
yeh dil meraa dekh tumhe deewaanaa aajkal huwaa

Friday, August 2, 2013

Chaand saa haseen chehraa

chaand saa haseen ek chehraa dekhte hain
uspe ghani zulfon kaa pehraa dekhte hain 

jab bhi paani laane jaati hai jheel mein
uspal paani ko hote sunehraa dekhte hain

hum un aankhon ki taarif mein kyaa kahen
jinhe samundar jitnaa gehraa dekhte hain

paagal dil apnaa jo ruktaa hi nahi kahin
sirf un par hi jaake thehraa dekhte hain
Mujhe andheron mein rehne do

mujhe aadat nahi mohabbat ki, mujhe nafraton mein rehne do
main kyaa karungaa muskuraa ke, mujhe ghamon mein rehne do

chaar pal kaa saath deke, hai har kisi ne thukraayaa mujhe
naa sambhaalo aake mujhe, tum mujhe thokaron mein rehne do

kitne hi sapne ban ke toote hain, mere apne hi aakhon mein
naa karo koshish sach karne ki, inko aankhon mein rehne do

aadat nahi hai mujhe ab, naazukh phoolon ke sangh rehne ki
naa do phoolon ka haar mujhe, ab mujhe kaaton mein rehne do

naa karo zidd mujhe roshni me le jaane ki, naa jaa paaungaa
dar lagtaa hai zamaane se, ab mujhe deewaaron mein rehne do

khush hoon main ghum ke andheron mein, ab bas andheraa rahe
naa jalaao chiraag koi, tum mujhe ab andheron mein rehne do

Thursday, August 1, 2013

Aisaa kaam karte hain

chalo aaj hum kuch aisaa kaam karte hain
apni hi barbaadi kaa intezaam karte hain

jo baat keh nahi paaye aaj tak hum tumse
us baat kaa elaan sar -e- aam karte hain

jo dhadkane bas tumhaare liye hain dilme
unn dhadkano ko tumhaare naam karte hain

hum khwaab mein tumhaaraa chehraa dekhte
tumhaari baatein subah- shaam karte hain

ret pe tumhaaraa naam likhke mitaate hum
tum se hi mohabbat hum tamaam karte hain
Meri kahaani

dil me dard, aankhon mein thodaa paani hai
mere zindagi ki bas itni si hi kahaani hai

kitaab mein rakhaa huwaa sukhaa gulaab koi
mere paas ek yahi mohabbat ki nishaani hai

mohabbat ko rangeen bataayaa thaa logon ne
dekho kitni berang si meri yeh jawaani hai

kehte hain log kabhi main muskuraataa thaa
main unse kehtaa hoon woh baat puraani hai

bich samundar mein, kashti mere jeewan ki
dekhun jidhar bhi main, paani hi paani hai

koi saathi nahi hai, koi apnaa nahi meraa
jeewan banjar meraa, duniyaa veeraani hai

chalne ko chaltaa hu, kyun yeh maloom nahi
raaste anjaane hain aur manzil anjaani hai

dhundtaa hi rehtaa hoon, kisko maloom nahi
kahin to milegi mujhe jo meri deewaani hai

ab tak koi yun naa milaa jisko apnaa kehdu
jeetaa main hoon lekin, jeenaa bemaani hai