Ek sawaal meri maa se
apno ko aur apnaa banaanaa tujhse seekhaa
gairon ko bhi apnaanaa bas tujhse seekhaa
tujhse jaanaa maine muskaan ki sahi keemat
rote huye ko hasaanaa maine tujhse seekhaa
teri hi ungliyaan pakadke chalnaa seekhaa
haan sabse pehle maine maa kehnaa seekhaa
tujhse hi seekhaa har dastoor duniyaa kaa
maine tujhse hi to dard ko sehnaa seekhaa
haan maa, bas yahi wajah hai ki main har dard ko seh lungi, uuff tak naa karungi, tu ne sikhaaya thaa bachpan se ab tak ki sasural hi ladki kaa asli ghar hota hai, mujhe yaad hai maa...
magar tu hi bataa....
kyun mujhe hi tujhse duur jaanaa padaa
kyun mujhe hi kisi aur ke ghar aanaa padaa
kyaa kuch galti hui thi maa mujhse kabhi
kyun mujhe hi sab kuch bhulaanaa padaa
woh pyaar teraa, woh dulaar papaa kaa
woh bhaiyaa se baat baat pe jhagadnaa
har baat pe us kaa roothnaa, meraa manaanaa
naa maane woh mujhse to meraa aansoo bahaanaa
woh chhoti chhoti yaadein mere bachpan ki
woh chhoti chhoti baatein tum sab ki
kuch nahi bhooli main, mujhe sab yaad hai
woh din jab tu mere saath thi, mujhe yaad hai
aaj main duur, bahut duur hoon tujhse
kuch naye logon ke saath, naye ghar mein
jaanti hoon tu yahi kahegi ki mujhe yahi rehnaa hai
jaanti hoon main maa, main teri koi baat bhooli nahi
teraa ghar chhod main aa chuki hoon sadaa ke liye
magar ek sawaal tujh se rahegaa meraa hameshaa
main bhi to teri utni hi pyaari hoon naa jitnaa bhaiyaa hai
to kyun fark hai itnaa hum dono mein ki
woh shaadi kar ke bhaabi ko ghar le aayaa
meri shaadi hui to mujhe hi tujhse duur jaanaa padaa
kyaa paapaa jhoot kehte the ki main unko zyaadaa pyaari hoon
agar woh sach kehte the to aaj main unse itni dur kyun hoon
jin ke saath khoobsoorat bees baras beete meri zindagi ke
kyaa galti hui mujh se jo main unhi se aaj itni dur hoon
bataa naa maa, mere is sawaal kaa jawaab de naa
bas ek yahi sawaal hai meraa tujh se maa
mere is sawaal kaa jawaab de naa...
No comments:
Post a Comment