Tuesday, August 6, 2013

Dil meraa nishaanaa ban gayaa

hamaari mohabbat ka fir ek nayaa afsaanaa ban gayaa
jabse yeh aashiq un ke husn kaa deewaanaa ban gayaa

ek baar milke dobaaraa milne ki khwaahish zaahir ki
firse unki mehfil mein jaane kaa bahaanaa ban gayaa

is zameen pe barson se baarish ki ek boond naa padi
bas unke ek naam se dekho mausam suhaanaa ban gayaa

tinkaa tinkaa jod ke jo khandar banaayaa thaa kabhi
woh aayenge sunke yeh khandar aashiyaanaa ban gayaa

jinko paane ke liye sab nazren bichhaaye baithe the
apnaa unse judaa rishtaa dushman zamaanaa ban gayaa

ab qatl karne ke liye khanjar ki kyaa zaroorat unhe
unki nazar bani teer, dil meraa nishaanaa ban gayaa

unke aankhon ki masti, unke labon ki laali, uffffff
us hasi kaa har andaaz jaise qaatilaanaa ban gayaa

har dard ko sehne ki dil mein taaqat kahaan se aayi
shamaa mein jal jaane ko dil ab parwaanaa ban gayaa

No comments:

Post a Comment