Monday, September 11, 2017

Hum panchhiyon ke par dekhte hain



zindagi mein aaj bhi teraa hi asar dekhte hain
hum ab bhi wahi raat, wahi dopahar dekhte hain

jaante hain ki mumkin nahi apnaa milan kabhi
aaj bhi teri tasveer ko hum aksar dekhte hain

hawaaon ke sangh aajaati hai kabhi yaad teri to
aasmaan mein udte panchhiyon ke par dekhte hain

kuch galtiyaan humse hi hui hongi jaane anjaane
guzraa huwaa kal, guzri hui apni umar dekhte hain

dhundte hain tujhe har taraf apne magar, har baar
band deewaarein, soonaa saa apna ghar dekhte hain

gulaabon ki mehek se door jaa hi nahi paate they
ab murjhaayaa saa apnaa hum yeh shahar dekhte hain

tere chaand se chehre ko dekhaa karte they hum kabhi
ab aasmaan mein us chaand ko hum raatbhar dekhte hain