Wednesday, November 8, 2017

Woh to hum par marte hain


hamaari tasveer ko chhip chhipke dekhaa karte hain
humse unhein mohabbat hai, kehne se bas darte hain

milne ki hai khwaahish magar kisi se keh paate nahi
woh aaine ke saamne baith, sajte aur sanwarte hain

khwaab dekhaa karte hain ki baahon mein bharlen hum
aankh moond kar tanhaa hi toot_te aur bikharte hain

kehte nahi kabhi hothon se, humse woh chhipaate hain
jaante hain hum lekin yeh, woh to hum par marte hain

"Hriday" ek deewaanaa hai, kyaa kisi ko samjhaayein
kehte nahi kisi se lekin hum pyaar unhi se karte hain


Friday, October 13, 2017

De deedaar ek baar ke liye


tadap uth_te hain hum jin ke deedaar ke liye
aajaayein saamne hamaare bas ek baar ke liye

kab kahaa humne woh aake hamaari ho jaayein
bas ek jhalak bahut hogi is bimaar ke liye

mohabbat to adhuri thi, adhuri hi rahegi ab
isse buraa kyaa hogaa is gunehgaar ke liye

de den deedaar woh is dil ke sukuun ke liye
naa to inkaar ke liye, naa hi iqraar ke liye

jahaan bhi rahein khush rahein woh humeshaa
duwaayein maangte hain apne us yaar ke liye



Tuesday, October 10, 2017

Har khabar mein hoon main



veeraane se kisi shahar mein hoon main
ajnabi saa apne hi ghar mein hoon main

jo chhooke bhi chhoo naa paai kinaare ko
samundar ke har us lahar mein hoon main

afwaaon ki kami nahi hai is shahar mein
akhbaar ki har khabar mein hoon main

yun to log jaante nahi ki kaun hoon main
bhatke huwe musafir ke safar mein hoon main

dhund rahaa hoon jise mandiron mein main
woh kehtaa ki har paththar mein hoon main

Khwaab bhi tum ho

haqeeqat bhi tum ho, khwaab bhi tum ho
mere har sawaal kaa, jawaab bhi tum ho

meri subah tumhi se, shaam bhi tum se
chaand bhi tum ho, aaftaab bhi tum ho

chain bhi tum se, bechaini bhi tum se hai
seene mein uthtaa huwaa sailaab bhi tum ho


Monday, October 9, 2017

Hamaari bhool sahi



dard ke baagiche mein ek dard kaa aur phool sahi
qatl hamaaraa hi huwaa aur hamaari hi bhool sahi

kab hamaari mohabbat ko woh samajh paaye bhalaa
thik hai, humein yeh gunaah bhi hai qubool sahi




Monday, September 11, 2017

Hum panchhiyon ke par dekhte hain



zindagi mein aaj bhi teraa hi asar dekhte hain
hum ab bhi wahi raat, wahi dopahar dekhte hain

jaante hain ki mumkin nahi apnaa milan kabhi
aaj bhi teri tasveer ko hum aksar dekhte hain

hawaaon ke sangh aajaati hai kabhi yaad teri to
aasmaan mein udte panchhiyon ke par dekhte hain

kuch galtiyaan humse hi hui hongi jaane anjaane
guzraa huwaa kal, guzri hui apni umar dekhte hain

dhundte hain tujhe har taraf apne magar, har baar
band deewaarein, soonaa saa apna ghar dekhte hain

gulaabon ki mehek se door jaa hi nahi paate they
ab murjhaayaa saa apnaa hum yeh shahar dekhte hain

tere chaand se chehre ko dekhaa karte they hum kabhi
ab aasmaan mein us chaand ko hum raatbhar dekhte hain



Sunday, August 6, 2017

Armaan Adhure Se


armaan kuch adhure se
is dil mein bhi machalte hain
kehnaa chaate hain baatein kai
magar jaane kyun chup reh jaate hain
aksar tanhaayi mein
dil mein angdaai lete hain
akele hi muskuraate hain
kisi ki tasveer dekhkar
dheere se kuch kehte hain
jaane kyaa , jaane kyun....

kabhi darte hain
kabhi ghabraate hain
kabhi thodi himmat karke
sab keh lenaa chaahte hain
magar kyaa, kaise kahein
bas yahi soch kar
chup se ho jaate hain
khaamosh reh jaate hain...

haan kuch armaan is dil ke
is dil mein bhi machalte hain
chhipaake dil mein kuch baat
aksar tanhaayi mein
khud se hi baatein karte hain
kehte hain jaane kyaa
bas paagal se yeh armaan
dil mein hi paagal bane rehte hain...

kyaa tumhe maloom hai?
kyun karte hain yeh aisaa paagalpan
kyun deewaane se huwe jaate hain?
poochho naa tum apne geele labon se inse
nashili aankhein dekhkar tumhaari
shaayad keh de kuch tumse yeh
dil ki saari baatein apni...

haan kuch armaan adhure se
is dil mein bhi machalte hain...


Saturday, August 5, 2017

Benaam rishtaa


benaam se is rishte ko aap koi naam dijiye
in saanson ke liye bas ek hasi shaam dijiye

hum to kab se aankhein bichhayein baithe hain
deke deedaar apnaa in aankhon ko aaraam dijiye

jaante hain hum bhi ki majboor hain aap wahaan
magar kisi bhi bahaane koi to paighaam dijiye

meri mohabbat tadapti hai mere seene mein tanha
is tadapte mohabbat ko aap koi to inaam dijiye

yaa to aake lagaa lijiye apne seene se aap humein
yaa in sanson ke ruk jaane ke liye intzaam kijiye



Wednesday, August 2, 2017

Deewaanaa Dil


geeli aankhon ko main chhipaaun kaise
tum hi kaho tumse duur reh paaun kaise

jaankar duur nahi huwaa, majboori thi
kyaa thi majboori tumhe bataaun kaise

jaanti to tum bhi ho naa ki mohabbat hai
meri mohabbat ko main bhulaaun kaise

log poochh lete hain dard ki wajah mujhse
logo ko dard bhari daastaan sunaaun kaise

tumhaari yaad mein dhadaktaa hai dil aaj bhi
in paagal dhadkano ko main ab samjhaaun kaise

kasak hameshaa se rahi hai 'Hriday' mein
ab is uth_ti kasak ko main dabaaun kaise

naa tumhaare paas reh saktaa hoon naa duur
deewaane is dil ko main bhalaa manaaun kaise

Sunday, May 7, 2017

Tumhe yaad kar letaa hoon



hote kareeb to keh bhi lete dil ki baat tumnse
mujhe mere woh guzre huwe lamhein lautaa do naa


main apne khwaabon mein tum se mulaaquaat kar letaa hoon
ab to bas tumhaari tasveer se hi main baat kar letaa hoon

din to guzar jaataa hai kisi tarhaa sooraj ke sahaare ab
apnaa hi dil jalaa kar ab roshan har raat kar letaa hoon

geeli aankhein nazar nahi aane detaa kisi ke saamne magar
tanhaayi mein main apne aansuon ki barsaat kar letaa hoon

log jab bhi kehte hai mujhe mohabbat kaa kissa sunaane ko
geeton mein bayaan apne dard bhare jazbaat kar letaa hoon




Thursday, May 4, 2017

Deewaanaa



zindagi kaa saath kuch yun mujhe nibhaanaa hai
har dard chhipaake ab bas mujhe muskuraanaa hai

tum to meri saansin ho, ab tum hi bataa do naa
tumhe yaad karnaa hai, yaa tumhe bhulaanaa hai

faislaa to tumhaaraa hi thaa naa duur jaane kaa
ab jhoot moot kaa kyun yeh aansoo bahaanaa hai

tanhaa thaa, tanhaa hoon, tanhaa rahungaa main
safar mein zindagi ke tanhaa hi chalte jaanaa hai

bikhre lafz thode, aur hain bikhre ehsaas thode
adhuri mohabbat kaa yeh adhuraa saa afsaanaa hai

bhulaa denaa saath bitaaye haseen lamhein saare
bhool jaanaa tum ki tumhaaraa koi deewaanaa hai


 

Monday, May 1, 2017

Zindaa rehnaa mushkil to nahi hai



humein shauk thaa pairon tale raunde jaane kaa....
unhone hamaare isi shauk kaa faidaa uthaa liyaa...



khud kaa hi qatl kiyaa humne, magar hum woh qaatil to nahi hain
mohabbat to kar liyaa hai unse, magar unke qaabil to nahi hain

koi jeetaa to koi haaraa yahaan, aashiqui koi khel to nahi hai
kitne hi dil toote hain yahaan, ek humaaraa hi dil to nahi hai

mehfil mein hazaaron hain, aur hum bheed mein bhi tanhaa hain
jiskaa chehraa dhundte hain, woh inmein shaamil to nahi hai

kisi ko maut ne hai maaraa, humein to zindagi ne maaraa hai
chaahte to bahut kuch hain magar, kuch bhi haasil to nahi hai

saansein to chalti hain magar, kyun yeh chalti hain kyaa pataa
zindagi jee len magar, zindaa rehnaa kahin mushkil to nahi hai



Sunday, April 30, 2017

Kyaa yahi mohabbat hai

kabhi aankhein milaanaa teraa
kabhi aankhein churaanaa teraa

kabhi kisi ko yaad kar ke
chupke se muskuraanaa teraa

apne hi khayaalon mein kho ke
akele mein sharmaanaa teraa

sab kuch jaan ke samajh ke bhi
naasamajh saa ban jaanaa teraa

kyaa isi ko kehte mohabbat hain
aaj tu hi humein bataanaa zaraa 





Saturday, April 29, 2017

Tujhpe koi kitaab likh dun




tere har sawaal kaa main jawaab likh dun
tere naam main apne saare khwaab likh dun

puraane gulaabon mein jaan kahaan hai ab
naam tere main nayaa har gulaab likh dun

firse kuch taarif likhun teri geeton mein apne
aankhon ko samundar, labon ko sharaab likh dun

tujhse hi din ho meri, tujhse hi raatein ho
tujhe hi chaand aur tujhe hi aaftaab likh dun

bas ek teraa saath umar bhar rahe to
tujh par hi mohabbat ki har kitaab likh dun



Monday, April 24, 2017

Main kidhar jaaungaa



naa roko is tarhaa se mujhe
ki main kuch kar jaaungaa
baahon mein bharke tumhe
aaj hadd se guzar jaaungaa

geeley labon par tumhaare
lab apne main saajaa lungaa
aaj kho kar tum mein hi main
raat bhar thahar jaaungaa

nashaa aankhon mein tumhaare
aankhon mein doob jaaungaa
aankhon ke raste se main fir
tumhaare dil mein utar jaungaa

saanson ki garmi ko tumhaare
main saanson mein bhar lungaa
nikalkar zulfon ke ghere se
bhalaa main kidhar jaaungaa

tumse hi to dil hai meraa
tumse hi har dhadkan hai
judaa tumse honaa pade agar
jaanaa main to mar jaaungaa...



Tuesday, February 28, 2017

Aankhein Tumhaari


ehsaason se bhari do aankhein tumhaari
dil ki har baat jo bayaan kar deti hain
do baatein kar lo naa apni do aankhon se
jo har shaqs ko deewaanaa bana deti hain

kyaa zarurat tumhe alfaazon ki bataao naa
har afsaanaa aankhon se bayaan ho jaataa hai
haseen ghazal jaisi do aankhein tumhaari
jo dekhte hi bas apnaa hi banaa leti hain

jaane kitne ghazal likhe tumhaari do aankhon par
aaj bhi apne hothon se main unhe gungunaataa hoon
jab bhi kabhi yaad aati hai tumhaari aankhon ki tab
jaane kaise woh aankhein kuch na kuch likhwaa hi leti hain...





Saturday, February 25, 2017




aksar baatein kartaa hoon main
apni unhi puraani kitaabon se
ab bhi wahin pe rehtaa hoon main
apni band deewaaron mein....









Friday, February 3, 2017

Agar tum paas hote to

  
udaa dete neendein tumhaari
baahon mein bhar lete tumhe
kaash hum tere paas hote to
seene se lagaa lete tumhe

khel lete zulfon se tumhaare
chhoo lete geeley labon ko
sharbati aankhon mein doobkar
apni dhadkan banaa lete tumhe

hum rok lete suraj ki kirno ko
subah naa hone dete kabhi fir
saanson mein saansein ghol kar
hum apni jaan hi banaa lete tumhe...

 




Sunday, January 29, 2017

Chaahat



naa rahe qaaboo khud par hamaaraa
kuch aisaa jaadu saa ho jaaye aaj
main bas tujhi mein samaa jaaun aur
tu mujhme is tarhaa samaa jaaye aaj

roknaa chaahe zamaanaa humein aaj
yaa fir roke bandishein humein
shor machaati dhadkane is dil ki
tez aur tez si ho jaayen aaj

keh rahe hain dil ke armaan mere
kahaan the mere sanam aaj se pehle tum
mile ho aaj to naa jaanaa duur kabhi fir
aajaao do jism aur ek jaan ho jaayen hum