Monday, May 26, 2014

Mujhe chale jaane do

main shaam kaa kaalaa baadal hoon
mujhe hawaaon sangh chale jaane do
main rahungaa to bas dard dungaa
bahut duur mujhe ab chale jaane do

naa roko mujhe ab, na toko mujhe ab
mujhe dur chale hi jaanaa hai
main ghum ke sabhi kaa ek kaaran hoon
mujhe duur ab chale jaane do

ban kaantaa ghulaab mein rehtaa hoon
ban zeher sharaab mein rehtaa hoon
mere hone se bas nuksaan hi hai
naa roko mujhe, mujhe chale jaane do

har shaks ki aankhon mein khaltaa
hoon aag nahi fir bhi jaltaa
main ghaaw bhi hoon, main dard bhi hoon
mujhe duur ab chale jaane do

garam ret kaa koi kann hoon main
dard bharaa ek khsann hoon main
mere hone se kisne kyaa paayaa
main vyarth hoon, mujhe chale jaane do

naa pyaas bujhe, woh saagar hoon
naa raahat de, woh baarish hoon
mujhe jal ke raakh ban jaanaa hai
mujhe jaanaa hai, chale jaane do...

Sunday, May 18, 2014

Ek pal hoon tumhaaraa

aaj baras jaao ji bhar ke, ki main baadal hoon tumhaaraa
sajaalo mujhe aankhon mein, ki main kaajal hoon tumhaaraa

koi shayar mujhe kehtaa hai, to koi kahe mujhe deewaanaa
jaanti to sirf tum hi ho, ki main bas paagal hoon tumhaaraa

meheki si yeh hawaaein bhi, aur mehkaa saa samaa bhi hai
hawaaon sangh udd jaataa hoon, main aanchal hoon tumhaaraa

hansti raho, gaati raho, ki lamhaa yeh mohabbat bharaa hai
pehle chaahe jo bhi huwaa ho, main aaj kal hoon tumhaaraa

dhadkan meri tumse hi hai, tum hi meri jaan bhi ho jaanaa
main hoon hawaa kaa jhaunkaa, bas ek main pal hoon tumhaaraa

Sunday, May 11, 2014

Aisaa mausam de gaye

hothon par hansee aur aankhein nam de gaye
woh jaate huwe jaane kaisaa mausam de gaye

sooni si raahon par ab tanhaayiaan hi hain
bas pal do pal kaa saath woh sanam de gaye

mere ghaawon par pyaar se woh haath ferkar
sau janam ka dard woh bas is janam de gaye

le gaye chhin kar hamaari har khushi humse
tohfey mein umar bhar kaa woh ghum de gaye

denaa hi thaa kuch to de jaate maut humein
par woh to bas muskuraane ki kasam de gaye