Tuesday, February 23, 2010

Shayar Bana Diya

Hum to aashiq the unki adaon ke,
Unke andaaz ne humein shayar bana diya,
Hume kya maloom tha ki humara unse rishta kya hain,
Unki baaton ne humein unka bana diya....

Nahi Bhoolen Hain

Hum bhoolen na tujhe hain na teri baaton ko,
Na bhula paayen hain tere saath huye mulaqaton ko,
Chahe tu humse mohabbat kare ya na kare,
Apne dil ke kisi kone me jaga de dena is diwaane ko...

Dosti Kya Hai

Dur rehkar yaad aana dosti hai,
Raat ko sapno me aana dosti hai,
Paas rehkar jo mile to kya mile,
Bin mile hi roz milna dosti hai....

Pyaar

Pyar kisi se itna na karo ki wo duniya bhool jaye,
Sabke saath hote hue bhi use tumhaari yaad aaye,
Dil se use itna majboor na karo ki wo khud ko bhul jaaye,
Ki har saans ke saath uski tumhaara naam aaye...

Ishq

Ishq me ye jahaan jannat nazar aati hai,
Kya bala hai ye ki aankhon se neend ud jaati hai,
Waqt nahi milta kuch aur sochne ko,
Kya karen har pal yaar ki yaad bahut aati hai....

Bhool

Bhoole se hum koi bhool kar baithe hain,
Kisi pagal premi se pyar kar baithe hain,
Laakh chaha ki dil ki baat dil me dabake rakhen,
Par uske pyar me doobkar izhaar kar baithe hain....

Kabhi Sochte Hain

Kabhi sochte hain ki kaash aap hamari zindagi me aaye na hote,
To shayad aapki yaadon ko seene se lagake jeene ki aadat na hoti,
Kabhi sochte hain ki kaash aap hamare dost na hote,
Sach kahen tab shayad ye zindagi zindagi na hoti....

Usi Ka Asar hai Shayad Ye

aaj mausam mein khamoshi hai,
toofan shant ho gaya,
usi ka asar hai shayad ye,
kahin aag lagi thi,
wo bujh gayi ,
usi ka asar hai shayad ye...

kal tak ek wajah thi mere jeene ki,
wo wajah khatam ho gayi,
usi ka asar hai shayad ye,
kal tak khoya rehta tha khwaab me,
aaj Wo khwaab tut gaya,
usi ka asar hai shayad ye...

saath chalna tha humko safar me,
baantke ghum aur khushiyaan,
kuch pal saath chalen bhi the hum,
aaj wo safar khatam ho gaya,
usi ka asar hai shayad ye...

jab milne jaata tha main usse,
Kehti mujhse, o preetam, o pyare,
tumse mujhe mohabbat hai,
aaj wo mohabbat khatam ho gayi,
usi ka asar hai shayad ye....

aaj mausam mein khamoshi hai,
toofan shant ho gaya,
usi ka asar hai shayad ye...

Duniya Sawar Denge

Baahon me aapki apni poori zindagi guzaar lenge,
Na mile aap to aapki yaadon k saath ji lenge,
Shayad aapko maloom na ho ki humein aapse kitni mohabbat hai,
Mauka de agar aap to hum aapki duniya sawar denge....

Ek Ajnabi Chehra

Ek ajnabi chehra tha, jiski aankhon me thi umeed nayi,
Ek jhalak dikhake humko hamare hosh uda gayi,
Mili humein jab pehli baar, pehli nazar me hua tha pyar,
Unko ye ehsaas na tha ki hamara dil wo chura gayi,

Yaaron se hum kehte the ki bahut pyaari hai hamari jaan,
Dekhoge jab ek din usko jaan jaoge pasand hamari,
Darte the kehne se unko, jaane kya hoga anjaam,
Unko to maloom na tha ki wo hi thi khwabon me hamari,

Unke bahut kareeb bhi aaya, par dil ki baat na keh paaya,
Hasi hasi me izhaar kiya to, us pal unhe bahut rulaya,
Kaash kabhi main sach keh paata, karta hoon main unse pyar,
Sochta hoon jab is baare me, kai baar mera dil bhar ayaa...

Pyar ka Izhaar

Pyar me tumhaare shayar ban gaya,
Bheja karta roz sher naye,
Roz dekhta ek sapna naya,
Aur karta pyar main dher tumhe,

Ghadi aayi jab imtehaan ki,
Pyar ka mere izhaar karne ki,
Dara bhi tha main, sehma bhi,
Dar tha tumhare inkaar karne ki,

Dost thi meri sabse pyari,
Lagti thi mujhe sabse nyari,
Keh dyu tumhe jo sachchi baat,
Tut na jaaye yaari hamari,

Kehna chaha jab mere dil ne,
Tha wo bahut bade mushkil me,
Keh du tumhe main saari baatein,
Ya rehne du apne dil me,

Is duwidha me tumse keh daala,
Kar baitha izhaar dilwaala,
Kai saalo se baat thi dil me,
Aaaj tumse sab kuch keh daala....

Sulagti Cigar

Sulagti cigar thi zindagi apni,
Jisne chaha aake ek kash laga gaya,
Thodi si jo saanse bachi thi apni,
Usme bhi koi pyar ka rog laga gaya ...

Saturday, February 20, 2010

Apnapan Tera

Apnapan tera kahin mujhse mere apno ko na lele,
Saadgi teri kahin mujhse mera imaan to na lele,
Humko to inkaar hai ki hume tujhse mohabbat hai,
Darte hain kahin ye jhoot humse hamari jaan to na lele......

Wo Mere Saanso Me Samai Hai

Taqdeer log banake laate hain us jahaan se,
Humne to apni taqdeer khud banayi hai,
Log kehte hain ki wo tere naseeb me nahi,
Par sach to ye hai ki wo mere saanso me samayi hai,

Bhool pana unko asaan na hoga,
Wo to mere rag rag me samayi hai,
Uparwala ek baar to sochega jarur,
Ki unke bina mere jeewan me kitni tanhayi hai,

Shikwa hai na koi shikayat hai unse,
Unhone ne hi to hamari duniya basai hai,
Kismat me agar wo hamare nahi to kya gham hai,
Bhala kisi ko apne saanso se shikayat ho paai hai.....

Friday, February 19, 2010

Meri Zindagi

Kya shikwa kya gila kare zindagi se,
Jo hamare kismat me na tha wo bhi mila,
Jo doosro ke liye rakha tha wo bhi mila...
Pyar , dosti, zindagi sab kuch to mila.........

Jaane anjaane me hum dhoonda karte the jeewan ko dar dar,
Kya kahen aapse ki ab ye bas ek shunya banke reh gaya,
Socha karte the ki har khushi har jeet haasil karenge hum,
Kya kahen ki apna jeewan hi ek prashna chinha banke reh gaya.....

Rukh hawaon ne is kadar moda hamari taraf,
Ki apni khushiyaan to khaak banke reh gayi,
Sochte the ret ka mahal khada karenge hum,
Ek toofan k jhauke se wo baalu ka dher banke reh gayi......

Dost teri dosti

Hasraton ko kuchalte hue zindagi k safar pe chala tha mai,
Tamannaon ka kabra khodte hue har pal chala tha main,
Is jahaan k saare rishte saare bandhan ko bhulate hue chala tha main,
Dost teri dosti ka amrit bin piye marne chala tha main...

Thursday, February 18, 2010

Waqt bhi bewafa hota hai

Waqt...

Waqt bhi jaane q kaise kaise khwab dikhata hai,
apno ko gair banata hai aur dur walo ko kareeb le ata hai,
waqt ka mazaq samjhe ise ya manle jiwan ki sachhai,
ki ek pal me wo hame itna kareeb le aata hai ki agle pal dur jaane se dar lagta hai.....


Bewafa...

Bewafa se wafa ki umeed karke hum khudko hi tod baithe the,
Kisi sangdil ko apna samajhke hum apno se mu mod baithe the,
Khata unki nahi gunehgaar to hum the jo unse dil laga baithe the,
Dil jab apna tuta to hume ehsaas hua ki hum apne saanso se naata tod baithe the...

Tum Aa Gaye

Bhatak raha tha anjaan dagar me,
Hamsafar banke tum aa gaye,
Tanha tha main jeewan safar me,
Hamsafar banke tum aa gaye....

Khush hota tha ye soch k ki main khush hoon,
Shayad maalom na tha ki khsuhi kya hoti hai,
Muskurata tha ye soch k ki main khush hoon,
Shayad maloom na tha ki muskurahat kya hoti hai,
Raah me kai log mile mujhe ,
Kuch khaas banke tum aa gaye
Tanha tha main jeewan safar me,
Hamsafar banke tum aa gaye...

Hosh na tha ye khud ko ki jaana kahaan hai mujhe,
Aankhen band karke zindagi k safar pe chala tha main,
Ek pal k liye bhi ye na socha ki q chal raha hoon main,
Badhawas hoke zindagi k safar pe chala tha main,
Na koi khwaaish thi zindagi se meri,
Ehsaas dilane tum aa gaye,
Tanha tha main jeewan safar me,
Hamsafar banke tum aa gaye...

Kabhi kabhi ye khayal aata hai mujhe,
Saanse chalti hain to wo chalti q hain,
Saathi kai hain mere apne, par fir bhi
Tumse milne ko umange machalti q hain,
Jaana chahta tha main zindagi se dur,
Par zindagi banke tum aa gaye,
Tanha tha main jeewan safar me,
Hamsafar banke tum aa gaye...

Kal ki hi baat hai tum mere liye paheli thi,
Poocha karta tumse main yahi baat har baar,
Kaun ho tum, meri zindagi me q aaye ho tum,
Muskurake tum ye kehti, dost hoon main,
Ghayal kiya tha mujhe kisi bewafa ne,
Aitbaar banke tum aa gaye,
Tanha tha main jeewan safar me,
Hamsafar banke tum aa gaye...

Aasoon mere sathi the, ghum the mere humdam,
Dard se ishq hua tha mujhko, gumsum rehta tha mai hardam,
Tumne aake haath jo thama bhool gaya tha main har gham,
Dil ko mere jo tumne chhua to bajne lage the sargam,
Zindagi meri thi sukhi niras,
Sangeet banke tum aa gaye,
Tanha tha main jeewan safar me,
Hamsafar banke tum aa gaye...

Aasmaan me chaand sitaare, lagte kitne pyaare pyaare,
Baagon me jab phool khile to sundar ho jate hain ye nazaarein,
Ek tere aa jaane se sawar gaya hai jeewan apna,
Sukhi banjar bhoomi me bhi ab to aane lagi baharein,
Berang tha ye jeewan mera,
Sringaar banke tum aa gaye,
Tanha tha main jeewan safar me,
Hamsafar banke tum aa gaye...

Bhatak raha tha anjaan dagar me,
Hamsafar banke tum aa gaye,
Tanha tha main jeewan safar me,
Hamsafar banke tum aa gaye....

Yaadein Teri

Yaadein teri aati hain hawa k jhaunke ki tarha,
Chhed jaati hai mujhe aksar meri tanhaayi me,
Kal ki baat hai ye hawa mehka deti thi mujhe khushboo ki tarha,
Aur aaj ye pagal dehka deti hai mere dil ko kisi angaar ki tarha....

Pyar ki paribhasha

Gunehgaaron ki is duniya me ek gunaah humne kiya to kya gunaah kiya ,
Pyaar to sabhi karte hain humne kiya to kya bura kiya ,
Pyaar ki paribhaasha unse kya poochte ho jinhone ise shabdo se jaana ,
Paribhaasha to unse poochho jinhone dosti ko hi pyar maana ......

Chehra

Chehra ye chehra, ye hai kitna khaas,
Chahe koi dur jaana, to ye bulaye paas,
Kabhi ye roni, kabhi ye khush, kabhi ye rehta udaas,
Chehra sajati tumhaari do aankhen, kaisi hai inme pyaas,
Jaane ye aakhen kisko dhoondti, kisko bulati paas,
Chehra ye chehra, masoom sa chehra,kuch to hai inme khaas.....

Chand sa ye chehra,hai jo tumhara,
Duniya mein humko sabse hai pyara,
Jheel si aankhen inme basi hain,
Chehra sajati saara tumhara,
Chehra kya hai , ek maya hai,
Moh ki jisme adbhut chhaya hai....

Man jo tumhara bhari hota, rang uska chehre par aata,
Hont tumhaare kuch hai kehte, chehra tumhara kuch aur batata,
Kaash tumhara chehra padhke man ki tumhaare baat jaan pata,
Kaash tumhare ghamo ki chhaya chehre se tumhaare dur kar paata...

Chehra man ka pratibimb hai hota,
Man dukhta to chehra hai rota,
Man khush to chehra muskata,

Is chehre par taras tum khao, Sachhi muskaan ispe tum lao,
Yahi dua hai meri ki tum sansaar me sirf khushiyaan hi pao....

Khwaab aur haqeeqat

Jinhe dhoondte hain sapno main
Woh haqeeqat main nahi hai
Jo haqeeqat main hai saamne
Woh hamare sapno main nahi hai


Jo Dil main hai hamare
Woh hamare qareeb nahi hai
Aur jo qareeb hai hamare
Woh hamare Dil main nahi hai

Jis se Pyaar karte hain hum
Woh hamare baare main sochta nahi hai
Jo sochte hain humaare baare main
Un se Pyaar hum karte nahi hain

Hum jinka intezaar karte hain
Woh kabhi aate nahi hain
Aur jo aa jaate hain saamne
Unka intezaar hum karte nahi hain

Zindagi k teen rang

Dost....

Dost teri yaadon ko seene se laga rakha hai maine,
Teri baaton ko kabhi kabhi yaad karta hoon main,
Dost teri pyari muskaan jise kho diya hai maine,
Teri aankhon me usey wapas dekhna chahta hoon main....

Kal ki yaad...

Kal tak jo meri mohabbat thi aaj kisi aur ki hai,
Kal tak zindagi meri poori thi, aaj adhuri si hai,
Kal tak hamari mohabbat k charche the yaaron me,
Aaj unki baaton me tere naam ki kami si hai....

Mohabbat aur jang...

Kehte hai log mohabbat aur jang me sab jayaz hai,
Par kal tak jo meri mohabbat thi aaj wo meri jang hai,
Aasaan nahi hota hai kisi bhi jang ko jitna is jahaan me,
Kal tak mujhe pyar tha tumse aaj usi baat ka gham hai...

Kuch jyada kuch kam

Kuch kam suraj ki garmi hai,
Kuch kam aankhen nam bhi hai,
Kuch kam tezi hawa mein hai,
Kuch kam dil me gham bhi hai.......

Kuch kam teri baatein hain,
Kuch kam meri baatein hain,
Kuch kam bhuli mulaqatein hain,
Kuch kam bhuli yaadein hain....

Ab sochta hoon....

Kuch jyada main kahun,
Kuch jyada tu sune,
Kuch jyada hum sang rahen,
Kuch jyada kuch kam kahen....

Bheed me bhi tanhaayi

kal ki hi baat hai teri saanso ki aahat se jaag jata tha main raaton ko,
haan sach hai ye ki nahin bhool paaya hoon main aaj bhi teri baaton ko,
Bahut hain log mere aas paas par bheed me bhi main tanha akela hoon ,
Chahta bahut hoon bhulna magar main bhul nahi paata hoon teri yaadon ko...

Kambakht Ishq

Pyaar to hum bhi karna chahte hain dilo jaan se,
Par is kambakht se koi pyar kare to sahi,
Hum to pyaar me apni jaan luta dene ko tayyar hain,
Par usse pehle koi humse hamari jaan maange to sahi...

Shayar

( Baat to sach hai... khud bhi likhta hoon aur ye khud bhi mehsoos karta hoon.... ki jo maine aage ki kuch panktiyon me likha hai wo sach hai.....)

Shayar sab paagal hain hote,
Khud hi sochte , khud hi rote,
Darta bahut hoon main bhi unse,
Premi majnu aashiq wo hote....

Jaane kahaan se shabd dhundte,
Jaane kin khwaabo me ghumte,
kabhi kabhi to apni soch pe,
Pagal hoke wo khud hi jhoomte....

Kabhi kabhi hoon main bhi likhta,
Jaane mujhko kya kya dikhta,
Anjaane chehro k liye main,
kaise kaise nazm hoon likhta...

Wednesday, February 17, 2010

Tadap

Haan ye to sach hai ki maine kabhi pyaar kiya tha tujhse,
Haan ye to sach hai kabhi bas tu hi jeene ki wajah thi meri,
Jaane kya mod aaya zindage me, jaane kya khata hui mujhse,
Kuch yaadein thi teri jo ab tadap ka kaaran ban gayi meri....

Bhool Nahi Pata Hoon

kal ki hi baat hai teri saanso ki aahat se jaag jata tha main raaton ko,
haan sach hai ye ki nahin bhool paaya hoon main aaj bhi teri baaton ko,
bahut hain log mere aas paas par bheed me bhi main tanha akela hoon ,
chahta bahut hoon bhulna magar main bhul nahi paata hoon teri yaadon ko...

Sunday, February 14, 2010

Janamdin Aapka

saal me aata hai ek baar janamdin aapka,
anginat tofon se bhar jata hai ye din aapka,
kuch samajh nahi paaye kya tofa de hum aapko,
to kuch panktiyaan likh raha hai ye dost aapka...

zindagi ka safar bahut kathin hota hai ae dost,
duwa karenge ki har safar ho aasaan aapka,
saare ghum aur dard chura le koi aapse,
khushiyon se bhar jaaye har din aapka...

suraj ki har kiran khushiyaan laaye aapke liye,
kaali ghatayen kabhi aapke khushiyon k aade na aaye,
baarish ki har boond aapke sangh muskuraye,
har pal ye duwa karta hai ye dost aapka...

khushiyaan hi khushiyaan ho jeewan me aapke,
phoolon sa khil jaaye sansaar aapka,
aapki khushiyon k aage ek janam kam na pad jaaye,
aapki lambi umar ki duwa karta hai ye dost aapka...