Thursday, August 29, 2013

Kaafi hogaa

samajhte hain woh hamaaraa dil unke shringaar pe aayaa hai
kyaa bataayen unki saadgi ne humein deewaanaa banaayaa hai

paas aane ke liye har bahaanaa kaafi hogaa
dil lubhaane ke liye sharmaanaa kaafi hogaa

dhadkanein tez karne ke liye kyaa chaahiye
aa ke baahon mein simat jaanaa kaafi hogaa

baarish ke liye baadal ki kyaa zarurat hai
aankhon mein kaajal lagaa lenaa kaafi hogaa

parchhaai khud hi apnaa raastaa dhund legi
sirf tumhaaraa saath nibhaanaa kaafi hogaa

qatl karne ke liye khanjar ki kyaa zarurat
tumhaari nazar ko jhukaa lenaa kaafi hogaa

tasveer khoobsurat koi ban jaaye apne aap
tumhaaraa saamne baith jaanaa kaafi hogaa

kisi ko shaayar banaa de aankhein tumhaari
sirf tumhaaraa nazar aa jaanaa kaafi hogaa

nashey ke liye sharaab ki kyaa zarurat hai
bas tumhaaraa kareeb aa jaanaa kaafi hogaa

mohabbat kisi saadhu ko bhi ho jaaye tumse
pyaar se tumhaaraa muskuraanaa kaafi hogaa

No comments:

Post a Comment