Friday, August 30, 2013

Yeh kaisaa milan

main rokun khud ko ki jaa ke milun tumse
baahon mein bhar lun yaa rahun dur tumse
kyaa karun main us pal aur kyaa naa karun
chup ranun yaa jaake sab kuch kahun tumse

do kadam ki doori pe tum khade the mujhse
samajh hi naa paayaa kadam badhaaun kaise
ab tak khud ko hi samjhaa nahi paayaa main
tum ki kaho main tumhe kuch samjhaaun kaise

geeli aankhen tumhaari keh rahi thi kuch shaayad
kadmon ko rok rahi thi jo mere aage badhne se
main kisi aur ki hoon ab, jaante ho naa tum
rok rahi thi ye baat tumhe baahon mein bharne se

khushi milan ki hai kyun naa jhoom jaaun main
koi geet milan kaa kyun naa aaj gungunaaun main
aur dard is baat kaa ki tum mere nahi ho sakte ab
tum hi kaho is haalat mein kaise sambhal paaun main

apne is paagal dil ko ab kaise samjhaaun main
dhundun tumhe ki khud hi ab gum ho jaaun main
paayaa is tarhaa se tumhe ki fir paa naa sakaa
jiun khushi mein yaa gham mein hi mar jaaun main

No comments:

Post a Comment