Judaai
jin raahon se tum duur gaye the
un raahon ko dekhtaa jaataa hoon
kabhi to laut ke aaoge tum, main
khud hi khud ko samjhaataa hoon
tasveer tumhaari dekh dekh kar
akele hi main muskuraataa hoon
kamre ki deewaaron se ghir kar
tumhaare geet gungunaataa hoon
koi dekh naa le kahin aansoo mere
baarish mein bheegtaa jaataa hoon
chhipaa ke baarish ke paani mein
apne hi aansooo main bahaataa hoon
ret pe tumhaaraa naam likh kar
khud hi use main mitaataa hoon
lehren unhe bahaanaa chaahe to
mitti se lipat main jaataa hoon
koi nahi jo sambhaale mujhe ab
har kadam pe main ladkhadaataa hoon
bas tumhaare ek deedaar ki khaatir
deewaano saa bhataktaa jaataa hoon
zindagi hi mere saath nahi ab, main
zindagi kaa saath nibhaataa hoon
kabhi to phir se milogi tum mujhse
bas is ummeed se jeetaa jaataa hoon...
No comments:
Post a Comment