Guzaarish
khwaab hain kaanch ke, kaanch ki har khwaahish hai
hothon par muskaan saji aur aankhon se baarish hai
dil mein hai kuch hamaare aur zubaan kuch aur kahe
hai kis kaa yeh khel saaraa, kiski yeh saazish hai
jisko kabhi kuch naa milaa woh usi mein khush rahaa
jisko milaa jitna zyaadaa, us ki utni farmaaish hai
kaisi deewaali hai, yahaan jashn hai kaisaa bhalaa
zameen pe andheraa ghanaa, aasmaan mein aatish hai
kaanton se saji raahon pe nange paaon chalnaa hogaa
mushkilen hi har taraf hain kaisi yeh aazmaaish hai
kisko yahaan apnaa kahen hum, kaun hai apnaa yahaan
har taraf dikhaawaa hai, har taraf bas numaaish hai
duwaaon mein maangte hain bas taaqat muskuraane ki
naa dekhle koi rote huwe bas itni si guzaarish hai
No comments:
Post a Comment