Friday, March 16, 2012

Hum unhi se mohabbat kiye jate hain

wo humpe ye ehsaan kiye jaate hain,
roz ek zakham naya diye jaate hain,

unhe hamaari parwaah nahi ek pal ki bhi,
hum unke liye apni jaan diye jaate hain,

dekhke bhi andekha kar dete hain wo humein,
aur hamaari nazron se duur huye jaate hain,

hum saath chalte hain unki parchaai ban ke,
aur wo humse hi khud ko chhupaaye jaate hain,

wo guzarte hain hamaare kareeb se jab bhi,
unki khushbu se hum madhosh huye jaate hain,

unki nashili aankhon ke baare me kya kahen,
dekh ke ekbaar bas dekhte hi reh jaate hain,

yun to humein likhne ki aadat nahi ye sach hai,
par unhe dekh jaane kaise ghazal ban jaate hain,

unko pasand hai hamaare har baat pe naraaz hona,
hum unki naraazgi se hi mohabbat kiye jaate hain,

hum apne dil ko rakh dete hain unke kadmo me,
wo har baar use kuchalte huye chale jaate hain,

wo hain jo humse sirf nafrat kiye jaate hain,
aur hum bas unhi se mohabbat kiye jaate hain...


No comments:

Post a Comment